Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1281 - 1290 of 1962, Page 129 of 197 pages.

Yun na reh reh kar hamen tarasaiye
aaiye, aa jaiye, aa jaiye
phir wohi danista thokar khaiye
phir meri aagosh mein gir jaiye
meri duniya muntazir hai aap ke
apni duniya chod kar aa jaiye
ye hawa ‘sagar' ye halki chandani
jee mein aata hai yahin mar jaiye

 0 People liked it
0 Ratings


Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai
Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle
Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai
Yuh to hai kayi fasle tere mere bich
Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai
Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri
Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai
Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse
Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai
Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye
Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai
Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine
Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai
Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din
Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai
Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai
KAMSIN ko akhir wo itna satata kyu hai
Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Mita Dain Gay Yeh Doori, Yeh Faslay Sab Hi
Kaho Gi Aik Baar K Milo Aa K Kabhi
Na Hoon Gay Door Phir Tum Say Is Zindagi Main
Khulra Rakho Tum Dar Apna, Hum Aatay Hain Abhi

 0 People liked it
0 Ratings

Diya hai dil agar us ko, bashar hai kya kahiye
hua raqib to ho, namabar hai, kya kahiye
ye zid, ki aj na aave aur aaye bin na rahe
qaza se shikwa hamen kis qadar hai, kya kahiye
rahe hai yun gah-o-begah ke ku-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye
zih-e-karishma ke yun de rakha hai hamako fareb
ki bin kahe hi unhen sab khabar hai, kya kahiye
samajh ke karte hain bazar mein wo pursish-e-hal
ki ye kahe ki sar-e-rahaguzar hai, kya kahiye
tumhen nahi hai sar-e-rishta-e-vafa ka khayal
hamare hath mein kuch hai, magar hai kya kahiye
unhen saval pe zaom-e-junun hai, q ladiye
hamen javab se qata-e-nazar hai, kya kahiye
hasad saza-e-kamal-e-sukhan hai, kya kije
sitam, baha-e-mataa-e-hunar hai, kya kahiye
kaha hai kis ne ki “ghalib” bura nahi lekin
sivay isake ki aashuftasar hai kya kahiye

 0 People liked it
0 Ratings

Tare Asman Me Chamkte Hain
Badal Itni Dur Hai Fir Bhi Barste Hain
Hum Bhi Kitne Nadan Hain
Aap Dil Me Rehte Hain
Or
Hum Apse Milne Ko Tarste Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Khatm Ik Din Ye Teeragii Hogi
Mere Aangan Mein Raushnee Hogi
Bewafayi Ka Kab Iraada Tha
Zeest Majboor Ho Gayi Hogi
Jab Kabhii Us Ka Saamna Hoga
Woh Qayaamat Ki Hii Gharii Hogi
Meri Raahon Pe Ehtiaat Se Chal
Koi Khwahish Mari Parii Hogi
Aap Aansoo Samajh Rahay Hen Jise
Koi Hasrat Tapak Rahii Hogi
Waqt-E-Rukhsat Mujhe Bhi Ghum Hoga
Teri Aankhon Mein Bhi Nami Hogi
Dheere Dheere Mujhe Bhula Do Ge
Phir Tarap Bhi Kabhii Kabhii Hogi
Zindagi Darbadar Thi Pehle Hi
Phir Safar Per Nikal Parii Hogi
Haal Anmol Ka Batayen Kya
Baithi Qismat Ko Ro Rahii Hogi

 0 People liked it
0 Ratings


Ye baat hawao ko bataye rakhna ,
Roshni hogi chirago ko jalaye rakhna ,
Lahu dekAr jiski hifazat humne ki.
aise TIRANGE ko sada Dil me basaye rakhna..
Happy Indian Independence Day

 0 People liked it
0 Ratings

Dikhla Ke Yahi Manzar Baadal Chala Jata Hai
Pani Se Makaano Pe Kaise Likha Jata Hai

Us Mor Pe Hum Dono Kuch Der Bahut Roye
Jis Mor Se Duniya Ko Ek Rasta Ho Jata Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1281 - 1290 of 1962, Page 129 of 197 pages.