Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1301 - 1310 of 1962, Page 131 of 197 pages.

Zindagi Main Kuch Paya Or Kuch Koya
Lakin Tuje Kona Nhi Chahtha Maa
Zindagi Na Kabhi Hasaya Or Kabhi Rulaya
Lakin Tuje Rulana Nhi Chahtha Maa
Yaad Athi Hai Uhoht Tere Bachpan Ki Wo Lory
Isi Liye Tere Ghod K Ilawa Kahin Or Sona Nhi Chahtha Maa
Kithna Danta Tha Tune Bachpan Main
Ab Q Nhi Dandthi Tu Muja Maa
Kesa Zinda Reh Paonga Main Tere Baghair
Kabhi Fursat Mile Muja Tu Ye Tho Batha Maa
Kiya Hoon Main Tere Dil Main Ab Thak?
Kabhi Tho Dhek Mere Dil Ko Cheer K Apne Aap Ko Maa
Zindagi Tu Na Tho Meri Roshan Kar Di
Lakin Khud Kiss Andhera Main Ko Gayi Tu Maa
Kabhi Tho Kila Muja Apne Hath Ki Roti
Aaj Kal Bhuk Bohoth Lagthi Hai Muja Maa
Kahaan Ho Tum, A Kar Lagalo Gale Iss Bebas Ko
Na Jane Kis Kash Main Nikal Jaye Meri Saans Maa

 0 People liked it
0 Ratings

Dard Minnat Kashe-Dawa Na Hua
Main Na Acha Hua, Bura Na Hua
Jama Karte Ho Kyon Raqibon Ko
Ik Tamasha Hua Gila Na Hua
Ham Kahan Qismat Azmane Jayen
Tu Hi Jab Khanjar Azma Na Hua
Kitne Shirin Hain Tere Lab K Raqib
Galiyan Khak Bemaza Na Hua
Hai Khabar Garm Un K Ane Ki
Aj Hi Ghar Mein Boriya Na Hua
Kya Wo Namard Ki Khudai Thi
Bandagi Mein Mera Bhala Na Hua
Jan Di, Di Hui Usi Ki Thi
Haq To Yun Hai K Haq Ada Na Hua
Zakhm Gar Dab Gaya Lahu Na Thama
Kam Gar Ruk Gaya Rawa Na Hua
Rahzani Hai K Dilsitanee Hai
Lek Dil, Dilsitan Rawa Na Hua
Kuch To Parhiye K Log Kahte Hain
Aj ‘Ghalib' Gazalsara Na Hua

 0 People liked it
0 Ratings

Jo Ab Tak Naa Khola, Woh Khun Nahi Pani Hai
Jo Desh Ke Kaam Naa Aaye Woh Bekaar Jawaani Hai!!

 0 People liked it
0 Ratings

Nigaho Me Tum Humko Bitha Lo
Dil Me Tum Hume Hi Basa Lo
Pyar Itna Kro Ki Hum Bhool Jayein Sabko
Humari Wafa Ki Tum Tasveer Bana Lo.

 0 People liked it
0 Ratings

Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !

 0 People liked it
0 Ratings

Tamaam Umar Zindagi Se Dur Rahe
Teri Khusi Ke Liye Apni Khushi Se Dur Rahe
Ab Isse Badkar Wafa Ki Saja Kya Hogi
Ki Tere Hokar Bhi Tujhse Dur Rahe

 0 People liked it
0 Ratings

Vahi Taj Hai Vahi Takht Hai
Vahi Zahar Hai Vahi Jaam Hai
Ye Vahi Khuda Ki Zameen Hai
Ye Vahi Buuton Ka Nizaam Hai

Bade Shauk Se Mera Ghar Jala
Koi Aanch Tujhpe Na Aayegi
Ye Zubaan Kisi Ne Khareed Li
Ye Kalam Kisi Ki Gulaam Hai

Yahan Ek Bacche Ke Khoon Se
Jo Likha Hua Hai Use Padhein
Tera Keertan Abhi Paap Hai
Abhi Mera Sajda Haraam Hai

Main Ye Maanta Hoon Mere Diye
Tere Aandhiyon Ne Bujha Diye
Magar Ek Jugnoo Hawaaon Me
Abhi Roshni Ka Imaam Hai

Mere Fikr-O-Fun Teri Anjuman
Na Urooj Tha Na Zawaal Hai
Mere Lab Pe Tera Hi Naam Tha
Mere Lab Pe Tera Hi Naam Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Ye aish-o-tarab ke matavale bekar ke baten karte hain
payal ke gamon ka ilm nahi jhankar ke baten karte hain
nahak hai havas ke bandon ko nazzara-e-fitarat ka dawa
aankhon mein nahi hai betabi didar ke baten karte hain
kahate hain unhin ko dushman-e-dil naam unhin ka naseh bhi
wo log jo reh kar sahil par majhadhar ke baten karte hain
pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahi kuch naz-e-safar
chalne ka jinhen maqadur nahi raftar ke baten karte hain

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1301 - 1310 of 1962, Page 131 of 197 pages.