Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1381 - 1390 of 1962, Page 139 of 197 pages.


Mujhe tum maff kardena
kabhi jo ruth jaye hum
hume apna jarur kehana
chahe jitne bhi dur ho jaye hum

ye duniya ko humne jan kar bhi nahi jana
fir bhi agar is duniya me kho jaye to
ye mat samajh na tum ko bhul jaye ge
par us dooriyoo ke liye tum
mujhe tum maff kardena
kabhi jo ruth jaye hum ..

kabhi is jindagi me
tum hume awaz to dena
humari nadaniya bhula kar
mujhe tum maff kardena
kabhi jo ruth jaye hum

 0 People liked it
0 Ratings


Rishto ne har kadam par imtihan liya,
Tanhayi ne har mod par dhokha diya.
Zindagi se fir bhi shikayat nahi,
Kyonki zindagi ne apsa dost diya.

 0 People liked it
0 Ratings

Uss Ko Kissi Aur Ke Saath, Dekh Kar Dil Jalta Hai,
Uss Ki Rah Dekhti Rehti Hoon Din Bhar,
Magar Wo Kisi Aur Raaste, Se Nikalta Hai,
Dil Ko Samjhana Aasaan Nahi,
Ki Har Shakhs Iss Duniya Mein Rang Badalta Hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Saza Pe Chor Diya Jaaza Pe Chor Diya
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De
Usi Ka Kam Tha Us Ki Raza Pe Chor Diya
Ab Us Ki Marzi Bhuja De Ya Jala De
Charagh Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chor Diya
Ab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehain Gain Hum
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chor Diya
Is Liye Tu Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

 0 People liked it
0 Ratings

Jine wale qaza se darate hain
zeher pikar dawa se darate hain
zahidon ko kisi ka khauf nahi
sirf kali ghata se darate hain
aah jo kuch kahe hamen manzur
nek bande khuda se darate hain
dushmanon ke sitam ka khuaf nahi
doston ke wafa se darate hain
azm-o-himmat ke bavajud “shakeel”
ishq ke ibtada se darate hain

 0 People liked it
0 Ratings


Zuban hi sirf ek jariya nahi,
Jo aap lafzon ko samajh payenge.
Kabhi aankon me jhank kar dekhna,
Hazaron alfaz khud-ba-khud bikhar jayenge.

 0 People liked it
0 Ratings

Kuch Pathro Me Phul Khil Jate Hai
Kuch Anjane Bhi Apne Ban Jate Hai
Kuch Lasho Ko Kafan Nasib Nahi Hota
To Kuch Lasho Pr Tajmahal Ban Jate Hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Ye Kaisi Doori Hain Humare Beech
Anchahi Majboori Hain Humare Beech
Laakh Koshishon Kei Baad Bhi Naa Aa Sake Kareeb
Kaisi Lakhon Meel Kii Doori Hain Hamare Beech
Dharkano Se Dharkano Ka Gehra Rishta Hai Do Dilon Kaa
Phir Kyon Do Jismo Ki Doori Hai Humare Beech

Saath Samundra Ka Faasla Hai Humare Milan Main
Kyon Waqt Ki Kami Hai Humare Beech
Pyar Beshumar Hai Humare Masoom Dilon Main
Phir Kaisi Laachaari Hai Humare Beech
Do Dilon Main Duri Kaa Door Tak Koi Nishaa Nahi
Phir Kyon Hoti Hai Aansuo Ki Barsaat Humare Beech
Ye Kaisi Doori Hain Humare Beech
Anchahi Majboori Hain Humare Beech

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1381 - 1390 of 1962, Page 139 of 197 pages.