Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1401 - 1410 of 1962, Page 141 of 197 pages.

Jhotay Ilzaam Meri Jan Lagaya Na Karo
Dil Hai Nzuk Issay Tum Dukhaya Na Karo
Meri Ankho Main Jo Achay Nai Lagtay Ansoo
Tu Tum Yoon Mughay Jalaya Na Karo

 0 People liked it
0 Ratings

Hum dosti ehasaan wafa bhool gaye hain
zinda to hain jine ke ada bhool gaye hain
khushbu jo lutate hain masalate hain usi ko
ehasas ka badala ye milta hai kali ko
ehasas to lete hain sila bhool gaye hain
karte hain muhabbat ka aur ehasas ka sauda
matalab ke liye karte hain iman ka sauda
dar maut ka aur khauf-e-khuda bhool gaye hain
ab mom mein dhalakar koi pathar nahi hota
ab koi bhi qurban kisi par nahi hota
q bhatake hain manzil ka pata bhool gaye hain

 0 People liked it
0 Ratings

Raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
hum ne khush hoke bhanvar bandh liye paon mein
un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ke talash
bund tak bo na sake jo kabhi saharaon mein
ae mere ham-safaron tum
bhi thake-hare ho
dhup ke tum to milavat na karo chaon mein
jo bhi aata hai batata hai naya koi ilaj
baat na jaye tera bimar masihaon mein
hausla kis mein hai yusuf ke kharidari ka
ab to mahangai ke charche hai zulaikhaon mein
moderator's note:
references to yusuf and zulaikha can be
found in various ghazals and nazms yusuf (joseph), son of
yaqub (jacob) was a very handsome man he was sold in
market of egypt where he was bought by zulaikha zulaikha
married him after her husband died
jis barahaman ne kaha hai ke ye saal acha hai
us ko dafnao mere hath ke rekhaon mein
moderator's note:
the first misra (line) is obviously a reference to ghalib's
“ik barhamin ne kaha hai ki ye saal acha hai”
wo khuda hai kisi tute hue dil mein hoga
masjidon mein use dhundho na kalisaon mein
hum ko aapas mein muhabbat nahi karne dete
ik yahi aib hai is shahar ke danaon mein
mujh se karte hain “qateel” is liye kuch log hasad
kyon mere sher hain maqabul hasinaon mein
 
 
Poet of The Poem or Ghazal or Nazam is Qateel Shifai

 0 People liked it
0 Ratings

Rat Gehri Hai Dar Bhi Saktey Hain
Hum Jo Kehtey Hain Kar Bhi Saktey Hain
Aap Jo Roothey To Itna Bhi Na Soocha
Hum To Pagal Hain Mar Bhi Saktey Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Wafa Ki Keemat Pata Chal Jayegi Kabhi Mujhe Aazma K Toh Dekh
Kabhi Mere Aansuon  Ko Apni Ankhon Pe Saza K Toh Dekh
Mere Dard Ko Mehsus Karna Hai Toh
Kabi Kisi Bewafa Se Pyar Ka Rishta Nibha K Toh Dekh

 0 People liked it
0 Ratings

Vo Pyaase Jhonke Bahut Pyaase Laut Jaate Hain
Jo Door-Door Se Baadal Uda Ke Laate Hain

Sitara Banke Bhatakte Hain Saari-Saari Raat
Jo Vaada Karke Wafa Karna Bhool Jaate Hain

Main Din Hoon Meri Jabeen Per Dukhon Ka Suraj Hai
Diye To Raat Ki Palkon Pe Jhilmilate Hain

Gulab Sa Vo Badan Kya, Hawa-E-Dard Mein To
Ghane Darkhton Ke Jangal Bhi Sookh Jaate Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Be-Khuloos Logo’n Se,Ijtinab Karna Hay
Mujhy Apne Rishto’n Ka,Ehtisab Karna Hay
Usay Bhool Jana Hay Ya,Usay Yaad Rakhna Hay
Dukh Tou Ek Jesa Hay Bs,Intikhab Krna Hay

 0 People liked it
0 Ratings

Bebasi Jurm Hai Hausla Jurm Hai
Zindagi Teri Ek Ek Adaa Jurm Hai
Ae Sanam Tere Baare Mein Kuch Soch Kar
Apne Baare Mein Kuch Sochna Jurm Hai
Yaad Rakhna Tujhe Mera Ek Jurm Tha
Bhool Jana Tuje Doosra Jurm Hai
Kya Sitam Hai Ke Tere Haseen Sheher Mein
Har Taraf Gaur Se Dekhna Jurm Hai…

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1401 - 1410 of 1962, Page 141 of 197 pages.