Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1461 - 1470 of 1962, Page 147 of 197 pages.

Kis se puchen hum ne kahan wo chehara-e-roshan dekha hai
mehfil mehfil dhundh chuke hain gulshan gulshan dekha hai
kis ko dekhen kis ko na dekhen, phul bhi hain kaliyan bhi magar
jis se lagayi aankh usi ko dil ka dushman dekha hai
rang-e-bahar-e-subah-e-gulistan kya dekhe wo diwana
jis ki nazar ne ek hi gul mein sara gulshan dekha hai
ahl-e-wafa ke khoon ke chinten dur tak udakar jati hain
mera tadapana dekhane wale apna bhi daman dekha hai?
aj unhen jo chahe samajh lo warna yahi ‘taskin' hain jinhen
kal tak hum ne ku-e-butan mein khakbadaman dekha hai

 0 People liked it
0 Ratings

Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein
Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein

 0 People liked it
0 Ratings

Mujhse Bichhud Ke Khush Rehte Ho
Meri Tarah Tum Bhi Jhuthe Ho

Ujle Ujle Phool Khile The
Bilkul Jaise Tum Hanste Ho

Mujhko Sham Bata Deti Hai
Tum Kaise Kapde Pehne Ho

Dil Ka Haal Padha Chehre Se
Sahil Se Lehrein Ginte Ho

Tum Tanha Dunia Se Ladoge
Bachhon Si Baatein Karte Ho

 0 People liked it
0 Ratings

Dard Ke Baad Dua Na Ho Jaana,
Dekh Lena, Saza Na Ho Jaana,
Mushkile To Beshumar Aayengi,
Thak Na Jaana, Juda Na Ho Jaana,
Ishq Ki Intiha Nahi Hoti,
Ishq Ki Intiha Na Ho Jaana,
Zindagi Dard Se Ibarat Hai,
Zindagi Se Khafa Na Ho Jaana,
Ek Tumhi Ko Khuda Se Manga Hai,
Tum Kahi Bewafa Na Ho Jaana..!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Kahin Safar Hain Kahin Raasta Hain Manzil Kaa
Ye Raat Din Kee Ghutan Kyun Azaab Hain Dil Kaa

Rawan Hain Kashti Magar Har Taraf Andhera Hain
Kisi Kaa Dosh Nahi Ye Kusoor Mera Hain

Bujha Hai Mere Hii Haathon
Chirag Saahil Kaa

Kahin Safar Hain Kahin Raasta Hain Manzil Kaa
Ye Raat Din Kii Ghutan Kyun Azaab Hai Dil Kaa

 0 People liked it
0 Ratings

Aisi hi sard sham thi wo bhi
jab wo mahandi rachaye hathon mai
apani aahat ke khauf se larazan
surkh aanchal mai muh chipaye hue
apne khat mujh se lene aayi thi
us ke sahami hui nigahon mai
kitni khamosh iltijayen thin
us ke chehare ke zard rangat mai
kitni majaburiyon ke saye the
mere hathon se khat pakadate hi
jane kya soch kar achanak wo
mera shana pakad kar roi thi
us ke yaqut rang honton ke
kapkapate hue kinaron par
saikadon ankahe fasane the
sard shamon mai der tak aksar
jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai hathon se
mujh ko apani taraf bulata hai
hum nasheen ruth kar na ja mujh se
aisi hi sard sham thi wo bhi

 0 People liked it
0 Ratings

Mere Khudaya Mein Zindagi Kay
Aazaab Likhoon K Khawab Likhoon
Yeh Mera Chehra Yeh Meri Aankhain
Bujhay Huwe Charaagh Jaisay
Jo Phir Say Jalnay Kay Muntizar Hon
Woh Chand Chehra, Sitaara Aankhain
Woh Meharbaan Saaya-Daar Zulfain
Jinhon Nay Paemaan Kiye The Mujhsay

Rifaaqaton Kay Muhabbatoun Kay
Kaha Tha Mujhsay Keh Ae Mussafir Reh-E-Wafa Ke
Jahan Bhi Jaae Ga Ham Bhi Aain Gay Saath Teray
Banain Gay Raaton Mein Chandani Ham
Tou Din Mein Saae Bakhaer Dain Gay
Woh Chand Chehra, Sitaara Aankhain
Woh Meharbaan Saaya-Daar Zulfain
Wuh Apnay Paemaan Rifaaqton Kay Muhabbatoun Kay
Shikasst Kar Kay Ajaane Abb Kis Ki Reh-Guzar Ka
Minaar-E-Roshni Hue Hain
Magar Mussafir Ko Kya Khabar Hay
Woh Chand Chehra Tou Bujh Geyaa Hay
Sitaara Aankhain Tou So Gaii Hain
Woh Zulfain Be-Saaya Ho Gaii Hain
Woh Roshni Aur Woh Saae Meri Atta Thay
So Meri Raahon Mein Aaj Bhi Hain
Keh Mein Mussafir Reh-E-Wafa Ka
Woh Chand Chehra, Sitaara Aankhain
Wuh Meharbaan Saaya-Daar Zulfain
Hazaaron Chehron Hazaaron Aankhon
Hazaaron Zulfon Ka Aik Saelaab-E-Tund Lay Kar
Meray Taqub Mein Aa Rahay Hain
Har Aik Chehra Hay Chand Chehra
Hain Saari Aankhain Sitaara Aankhain
Tamaam Hain Sayya-Daar Zulfain
Mein Kis Ko Chahun Mein Kis Ko Daikhoon
Mein Kis Kay Saae Mein Baeth Jaoun
Bachoon Keh Toofaan Me Doob Jaoun
Keh Mera Chehra, Na Meri Aankhain
Mere Khudaya ! Mein Zindagi Kay
Aazaab Likhoon K Khawab Likhoon

 0 People liked it
0 Ratings

Ab Mera Janaza Is Zamane Se Nikla
Mere Janaze Ko Dekhne Sara Zamana Nikla
Magar Mere Janaze Mein Woh Na Nikla
Jiske Liye Mera Janaza Zamane Se Nikla

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1461 - 1470 of 1962, Page 147 of 197 pages.