Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1491 - 1500 of 1962, Page 150 of 197 pages.

Hai Zindagi Bhi ‘Ajab Aan-Baan Orhe Hue
Khamosh Jism Men Muztarr Si Jaan Orhe Hue
Har Ek Chehraa Jahaan Kaa Niqaab-Posh Hai, Dost!
Har Ik Badan Hai Koi Jhooti Shaan Orhe Hue
Hai Uske Shahr Kaa Muflis Bhi Kitnaa Daulat-Mand!
Zameen Pe Sotaa Hai Woh, *Aasmaan* Orhe Hue!
Agar Che Dil Ko To Us Par Yaqeen Bhi Aa Jaataa
Magar Yeh ‘Aql Thi Sau Sau Gumaan Orhe Hue
Na Poochh Kaise Kati Us Ke Hijr Men Apni
Thaa Lamha-Lamha Hazaar Imtihaan Orhe Hue
Miraa Libaas Meri Zaat Ki Nishaani Hai
Miloonga Tumko Main *Hindositaan* Orhe Hue
Hai Us Ka Tarz-E-Takallum Bhi Bas! Khudaa Rakhhe!
Har Ek Baat Hai Ik Daastaan Orhe Hue
Jagaao Mat Ise, Soyaa Hai Bas Abhi Khursheed,
Ik ‘Umr Bhar Ke Safar Ki Thakaan Orhe Hue

 0 People liked it
0 Ratings

Paon ke zakhm hain farsh-e-gul-e-tar hone tak
reh dushvar hai aagaz-e-safar hone tak
ye alag baat ke khamosh hain ahal-e-zindan
warna ye qaid hai divar mein dar hone tak
ek nazar naqsh-e-kaf-e-pa ka hunar to dekho
kahkashan si nazar aati hai sahar hone tak
haye wo bij jo matti mein daba rehta hai
kin marahil se guzarata hai shajar hone tak
kya khabar tum ko ki ye saqf ye divar hain kya
hum pe kya guzri hai is chaon ke ghar hone tak

 0 People liked it
0 Ratings

Hajoom Itna Ho Tumhari Zindgi Main Khushion Ka
Gham Guzarna B Chahe To Usae Rasta Na Mile

 0 People liked it
0 Ratings

Raz ke baten likhi aur khat khula rahane diya
jane kyon rusavaion ka silasila rahane diya
umr bhar mere sath rahakar wo na samajha dil ke baat
do dilon ke daramiyan ik fasala rahane diya
apni fitarat wo badal paya na isake bavajud
khatm ke ranjish magar gila rahane diya
main samajhata tha khushi degi mujhe “sabir” fareb
is liye main ne gamon se rabata rahane diya
Poet of The Poem or Ghazal or Nazam :Sabir Jalalabadi

 0 People liked it
0 Ratings

Ek Roz Hum Se Kehne Lagi Ek Gulbadan
Ainak Se Baandh Rakhi Hai Kyun Aap Ne Rasan
Milta Hai Kya Isi Se Ye Andaz-E-Fikr-O-Fun
Hum Ne Kaha Ki Aisa Nahi Hain Janab-E-Man
Baithe Jahan Hasin Hon Ek Bazm-E-Aam Mein
Rakhte Hain Hum Nigaah Ko Apni Lagaam Mein…..

 0 People liked it
0 Ratings

Andaz-E-Bandagi Hai Nirala Hussain (A.S) Ka,
Sajdon Me Lajawab Hai Sajda Hussain (A.S) Ka,
Bedagh Zindagi Ka Yahi To Kamal Hai,
Har Shakhs Parh Rha Hai Qasida Hussain (A.S) Ka

 0 People liked it
0 Ratings

Sok Da Akhtar Da Para Zan Joravi,
Sok Panjedare Sok Botaan Joravi.
Da Cha Sengar V Tar Sahara Jari,
Sok Tar Pa Tar Sere Grewan Joravi.
Sok Shonde Sre Lasona Sra Garza V,
Sok Naray Poze La Pezwaan Joravi.

Der Bewatana Armani Da Watan,
Da Tarmo Ohko Cheraghan Jora V.
Mong Badqismata Khpal Naseb Jaravi,
Qismat Khwarah Da Yar Zulfan Jorawe.
Sok Pa Sangal Da Yar Khobona Kavi,
KHIYAL Tasverona Da Janan Jorawe.

 0 People liked it
0 Ratings

Sach Baat Maan Leejiye Chehre Pe Dhuul Hai
Ilzaam Aaiinon Pe Lagaanaa Fazuul Hai
Terii Navaazishen Hon To Kaantaa Bhii Phuul Hai
Gham Bhii Mujhe Qubuul, Khushii Bhii Qubuul Hai
Us Paar Ab To Ko’ii Teraa Muntazir Nahiin
Kacche Ghare Pe Tair Kar Jaanaa Fizuul Hai
Jab Bhii Milaa Hai Zakhm Kaa Tohfaa Diyaa Mujhe
Dushman Zaruur Hai Vo Magar Baa-Usuul Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1491 - 1500 of 1962, Page 150 of 197 pages.