Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1551 - 1560 of 1962, Page 156 of 197 pages.

Aap ko dekh kar dekhata rah gaya
kya kahun aur kahane ko kya rah gaya
un ke aankhon mein kaise chalakane laga
mere honton pe jo majara rah gaya
aise bichde sabhi rah ke mod par
aakhari hamsafar rasta rah gaya
soch kar aao ku-e-tamanna hai ye
janeman jo yahan rah gaya rah gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Kitabon Mein Rakh Kar Sula Gaya Humko
Aankh Band Kar Bhula Gaya Humko
Ajeeb Musavvar Tha Jo Barishon Mein
Deewaron Pe Bana Gaya Humko.

 0 People liked it
0 Ratings

Ek Raat Vo Mile Khwab Me
Hamne Pucha Kyo Thukraya Aapne?
Jab Dekha Unki Aankho Me Bhi Aansu The
Phir Kaise Puchte Kyo Rulaya Aapne

 0 People liked it
0 Ratings

Yaad Rakhna Mout Ki Tijarat Ko Zindagi Nahi Kahte
Insaan Ke Dushaman Ko Insaan Nahi Kahte

 0 People liked it
0 Ratings

Har ek ruh mein ek gham chupa lage hai mujhe
ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe
jo aansu mein kabhi raat bhig jati hai
bahut qarib wo aavaz-e-pa lage hai mujhe
main so bhi jaun to meri band aankhon mein
tamam raat koi jhankata lage hai mujhe
main jab bhi us ke khayalon mein kho sa jata hun
wo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhe
main sochata tha ki lautunga ajanabi ke tarah
ye mera gaon to pahachana sa lage hai mujhe
bikhar gaya hai kuch is tarah aadmi ka vajud
har ek fard koi saneha lage hai mujhe

 0 People liked it
0 Ratings

Ik Shakhs tanha rota Raha hai,
apne aansuo ko palko pe parota raha hai,
akeeda to tha usey piyar k karishmo par,
phir bhi karne se darta raha hai,
Chahat thi sada pas rakhne ki kisiko,
utna hi us se koi door jata raha hai,
Hai umeed usey kisi k lout aney ki aaj bhi,
Isi gumaan me janey kab se jeeta raha hai,
Posheeda hai ik taweel si dastaa us me,
Kon janey kisey chahta raha hai,
So jo nahi paa raha pathar k bichoney pe,
yakeenan kisi ki baaho me sota raha hai,
kasoor fakkat itna tha nadaa ka,
k gham duniya se chupata raha hai,
aaj tum kiska matam karte ho logo,
Wo to janey kab se marta raha hai,

 0 People liked it
0 Ratings

Khamosh Guzar Jate Hain Woh Kareeb Se
Sawal Uthte Hain Dil Mein Ajeeb Se
Woh Khafa Hain Ya Ye Unki Ada Hai
Shikayat Bhi Kya Karein Apne Naseeb Se.

 0 People liked it
0 Ratings

Hussain Ibn Haider Pay Lakhuun Salam
Jin Ko Dhoke Se Kofa Bulaya Gaya
Jin Ko Bethe Bithaye Sataya Gaya
Jin Ke Bacho Ko Pyasa Rulaya Gaya
Jin Ki Garden Pe Khanjar Chalaya Gaya
Jis Ne Haq Karbala Mai Ada Kar Diya
Jis Ne Nana (S.A.Q) Ka Wada Wafa Kardiya
Us Husaain Ibn-E-Haider Pe Lakhon Salam

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1551 - 1560 of 1962, Page 156 of 197 pages.