Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1581 - 1590 of 1962, Page 159 of 197 pages.

Yun Ainon Say Kab Tak Dil Behlao Gay
Jab Andhera Hoga Khud Ko Tanha Paogay
Hum Jesa Koi Dost Rahey Agar Tumhare Sath
Tu Qasam Say Umer Bhar Muskurao Gay..

 0 People liked it
0 Ratings

Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain
Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain
Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain
Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain
Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain

 0 People liked it
0 Ratings

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

 0 People liked it
0 Ratings


Khwahishon ko dabaana galat hai,
Rah-rah ke kisi ko sataana galat hai.
Dushman hain wo insaniyat ke,
Jo kahte hain dil lagana galat hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Bari mudat sey chaha hey tumhain
Bari duaoon sey paya hai tumhain.
Tumhain bhulaaney ka socho b kasey
Kismat ki lakiron se churaya hai tumhain.!!
`
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log
Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log.
`
Raabton, Rishton Mai Uljhan Thi Bohot
Is Nizam-E-Shehr Mai Rehne Ki Himmat Hi Na Ki
Lafz Yeh Logon Mai Raij Tha “Bohot”
Is Liye Is Shehr Mai Hum Ne Mohabbat Hi Na Ki.
`
Har Taraf Aap Ki Yaad Par Laga Ke Pehra
Jee Kara Kar Ke Betha Tha Ke Mat Yad Aye
Nagahan dil kisi baat par aesa dukha,
Mai Bohot Roya, Mujhe Aap Bohot Yad Aye.
`
Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare
Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare
Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten
Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare.
`
Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain
Hansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante Hain
Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale
Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain.
`
Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat
Wo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai
Yeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai
Paana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai..
`
Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan
Yaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne Zindaganiyan
Guzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab Dost
Sath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan..
`
Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte Hain
Hum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte Hain
Ghamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo Amjad
Kisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain..
`
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai
Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai
Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin
Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Kul Raat Janai Kya Hova
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Kuch Ashq Milnai A Gai
Kuch Khwab Bhi Totai Hovai
Kuch Log Bhi Bholai Hovai
Kuch Rasta Bhutki Hoi
Kuch Gurd Mai Lipti Hoi
Bai-Rubt Si Souchain Kai
Bhooli Hoi Baatai Kai
Ik Shaks Ki Yaadai Kai
Phir Dair Tuk Jaga Raha
Souchon Mai Gum Baitha Raha
Ungli Sai Thundai Fursh Pur
Ik Naam Bus Likhta Raha
Kul Raat Hi Wo Raat Thi
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Mai Dair Tuk Roota Raha

 0 People liked it
0 Ratings

Duniya Kisi Ke Pyaar Mein Zannat Se Kam Nahin
Ek Dilruba Hai Dil Mein Jo Phoolon Se Kam Nahin
Duniya Kisi Ke Pyaar Mein…
Tum Baadshaah-E-Husn Ho Husn-E-Jaahan Ho
Jaan-E-Bafa Ho Aur Mohabbat Ki Shaan Ho
Jalwein Tumhare Husn Ke Taaron Se Kam Nahin
Duniya Kisi Ke Pyaar Mein…
Bhule Se Muskuraaon Tou Moti Baarash Pade
Palke Utha Ke Dekhon Tou Kaliya Bhi Hash Pade
Khushbu Tumhari Julf Ki Phoolon Se Kam Nahin
Duniya Kisi Ke Pyaar Mein Zannat Se Kam Nahin
Ek Dilruba Hai Dil Mein Jo Phoolon Se Kam Nahin
Duniya Kisi Ke Pyaar Mein…

 0 People liked it
0 Ratings


Tere gamon pe hum kya hasenge,
Ham to khud hi gamon ke haare hain.
Tere dil ham kya todenge ,
Hum to khud hi tere dil ke sahare hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1581 - 1590 of 1962, Page 159 of 197 pages.