Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1601 - 1610 of 1962, Page 161 of 197 pages.

Pani Ka 1 Katra Aankh Se Gira Abhi,
Kya Tumne Mujhko Yaad Kiya Abhi,
Tujhse Mile Zamana Hua Magar,
Yun Laga Koi Mujhse Mil K Gaya Abhi

 0 People liked it
0 Ratings


Is Zulem Ke Duniya Mainfaqat Payar Meri Maan
Hai Mery Ley Saya-e-Diwar Meri Maan
Nafrat Ky Jazeron Sy Mohabat Ke Hadun Tak
Bus Payar Hai Haan Payar Hai Payar Meri Maan

 0 People liked it
0 Ratings

Mere Paoon Chalni Hoe Magaar
Kahin Ruk Saka Na Mera Safar
Meri Narsaii K Hath Maain
Na Chiragh Hai Na Koi Hunar
Kisi Raste Ki Talash Main
Hai Lahoo Lahoo Meri Chashm-E-Tar
Meri Bebasi K Azab Main
Ae Mere Khuda Mere Mautabar
Koi Hamsafar
Koi Hamsafar

 0 People liked it
0 Ratings


Kahan Tha Itna Azab Ashna Mera Chehra
Jale Chiragh Tu Bujhne Laga Mera Chehra
Woh Tere Hijar K Din Woh Safar Sadiyon K
Tu Un Dino Men Kabhi Dekhta Mera Chehra
Judaiyon K Safar Men Rahe Hen Sath Sada
Teri Talash Zamane Hawa Mera Chehra
Mere Siwa Koi Itna Udas B To Na Tha
Khizan K Chand Ko Acha Laga Mera Chehra
Kitab Khol Raha Tha Woh Apne Mazi Ki
Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra
Sehar K Nor Se Dhulti Howi Teri Ankhen
Safar Ki Gard Men Lipta Howa Mera Chehra
Hawa Ka Akhri Bosa Tha Ya Qayamat Thi
Badan Ki Shakh Se Phir Gir Para Mera Chehra
Jise Bujha K Hawa Sogwar Phirti Hai
Woh Shama-e-Sham-e-Safar Thi K Mera Chehra
Yeh Log Kiyon Mujhe Pehchante Nahi “Mohsin”
Men Sochta Hon Kahan Reh Gaya Mera Chehra

 0 People liked it
0 Ratings

Kis Desh Mein Ye Kafila-E-Waqt Ruka Hai
Aariz Ke Ujale Hain Na Julfon Ki Ghata Hai

Kuch Meri Nigaho Ke Tale Dhundh Bahut Hai
Kuch Jashan-E-Chiragan Se Andhera Bhi Badha Hai

Ae Shokh Ghazalo! Yahan Do Phool To Rakh Do
Is Kabr Mein Khwabida Mohabbat Ka Khuda Hai

Ab Aao Kaleje Se Lipatkar Mere So Jao
Bahar Kahan Jaoge Badi Sard Hawa Hai

Kuch Der Mein Saanso Ki Bhi Aahat Na Milegi
Dil Raat Ke Sannaate Mein Yoon Doob Raha Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Sundar Hai Jag Me Sabse, Naam Bhi Nayara Hai
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai
Jaha Jati-Bhasha Se Badh Kar Desh-Prem Ki Dhara Hai
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai
Jita Tha Prem Se Sabko, Hai “Baapu” Us Ka Naam
Desh Ke Khatir Jisne Kiya Apna Jeewan Balidan

Jaha Pe Vir Bhagat, Azad Aur “Bose” Ka Nara Hai
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai
Jaha Pe “Suraj” Puja Aur Nadion Me Mata Ganga
Chandrama Pe Lahraya Jisne Apna Dhwaj “TIRANGA”,
Vishv Ko Jisne ZERO Dekar Kiya Navyug Ka Ujiyara Hai,
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai
Jo Sadion Se Aaj Bhi Har Rishte Se Pyara Hai
Sincha Jisko Khun Se Humne Aur Mamta Se Sawara Hai
Jaha Ajuba Hai Vishv Ka, Kehlata “TAJ” Humara Hai
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai
Jis Desh Ko “Mata” Keh Ke Hum Sab Ne Diya Samman
Wo Hai Bharat Desh Mahan, Wo Hai Bharat Desh Mahan

 0 People liked it
0 Ratings

Momin Ki Talwaar Naara Haydar Ka
Maar Malanga Maar Nara Haydar Ka
Aag Lagaake Baatil Ko Tarpaata Hai
Haal Dilon Ka Chehron Par Le Aata Hai
Aysa Hai Sarkaar Naara Haydar Ka
Isne Hamaare Dil Ke Andhere Chhaat Diye
Ghaddaaron Ke Seenon Mein Dil Kaat Diye
Do Dhaari Talwaar Naara Haydar Ka
Ek Yehi Qissa Hai Qissa Khaanon Mein
Din Ki Kashti Jab Bhi Ghiri Toofanon Mein
Kar Gaya Beraa Paar Naara Haydar Ka
Dozakh Mein Pahuncha Deta Hai Baatil Ko
Tukre Tukre Kar Deta Hai Ye Dil Ko
Jab Karta Hai Waar Naara Haydar Ka
Naade Ali Behtar Hai Sab Payghaamon Se
Naam-E-Ali Hai Aala Saare Naamon Se
Naaron Ka Sardaar Naara Haydar Ka
Jab Bhi Parhaa Hai Waqt Koi Mushkil Gauhar
Kehte Hain Sab Wali Nabi-o-Payghambar
Kaam Aaya Har Baar Nara Haydar Ka

 0 People liked it
0 Ratings

Han Chalo Jhoot Sahi Wahday Wafa Ho Jatay
Yoon Bichadtay K Mairay Lab Py Dua Ho Jatay
Kiya Zaroorat Thi Zamaanay Ko Khabr Karny Ki
Ghar Jalana Tha To Chupkay Say Diya Ho Jatay

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1601 - 1610 of 1962, Page 161 of 197 pages.