Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1611 - 1620 of 1962, Page 162 of 197 pages.

Chahe Wafa Me Thokre Khate Raho,
Fir Bhi Rasme Wade Nibhate Raho,
Yahi To Ishq Ka Dastoor Hai Yaaro,
Ki Jakhm Khate Raho Aur Bas Muskurate Raho

 0 People liked it
0 Ratings

Tumne Jo Meri Kabr Par, Aakar Yun Muskura Diya
Bijli Chamak Kar Gir Padi, Sara Kafan Jala Diya……
Main So Raha Tha Chain Se, Yun Hi Kafan E Mazaar Mein,
Yahan Bhi Sataane Aa Gaye, Kisne Pata Bata Diya……
Tumne Chadhaye Phool To, Ehsaan Kya Kiya
Humne Tumhare Ishq Mein, Sara Chaman Luta Diya…..
Pucha Na Jeete Ji Kabhi, Dard E Dil Ka Haal
Aaye Ho Kabr Par Meri, Mitti Mein Jab Mila Diya…..
Aaye Ho Mazaar Par Mere, Dekh Liya Ab Mera Haal
Thukra Ke Mere Pyar Ko, Kisi Aur Ko Apna Bana Diya….
Ab Ho Gaya Hai Ilm Tumhein, Ek Shikayat Meri Jaan Lo
Kiya Jo Hashar Tumne Mera, Apno Ko Begana Bana Diya….
Main To Kafan Mein Hoon Ab, Meri Baat Aur Hai,
Karna Na Unka Haal Wo Ab, Jo Haal Mera Tumne Bana Diya….
Tumne Jo Meri Kabr Par, Aakar Yun Muskura Diya
Bijli Chamak Kar Gir Padi, Sara Kafan Jala Diya…..!!
Aaj Kuch Aisa Gujar Gaya, Dil Toot Kar Bikhar Gaya
Dard Kuch Itna Bara, Hadd Se He Gujar Gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Phir Kabhi Logon Ki Baaton Mien Na Aye Ga Woh
Dekh Lena Mujh Se Mil Ker Theek Ho Jaye Ga Woh
Mere Us K Darmiyaan Koi Bara Jhagra Nahin
Laikin Isko To0l Dega Kho0b Phelaye Ga Woh
Chhoti Chhoti Ranjishon Ko Bho0l Jana Chahiye
Jane Is Nuqtay Ko Aakhir Kab Samajh Paye Ga Woh
Us Ki Khatir Mein To Is Duniya Se Katt Ker Reh Gai
Woh Zamana Saaz Haii Achcha To Kehlaye Ga Woh
Sulah To Kare Ga Aa Ker Mujhe Se Laikin Us K Baad
Jab Milay Ga Bus Yehi Ehsan Jataye Ga Woh
Mein Bhi Kuch Aisi Gai Guzri Nahin Keh Do Usse
Aankh Utha Ker Bhi Na Dekho0n Gi Pachtaye Ga Woh
DEKHO!!YEH GHAZAL US TAK BHI PONHANCHE GI ZARO0R
PHIR NA KURHNA BAITH KER JAB AUR ITRAYE GA WOH

 0 People liked it
0 Ratings

Ugta Hua Suraj Dua De Aapko,
Khilta Hua Phool Khusbo De Aapko
Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahi Hain,
Dene Wala Hazar Khushiyan De Aapko..!!

 0 People liked it
0 Ratings

Uttho meri duniya ke garibon ko jaga do
khak-e-umara ke dar-o-divar hila do
garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lada do
sultani-e-jamahur ka aata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye mita do
jis khet se dahaqan ko mayassar nahi rozi
us khet ke har khosha-e-gundam ko jala do
kyon khaliq-o-makhaluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar ke silon se
mere liye matti ka haram aur bana do
tahazib-e-navin kargah-e-shishagaran hai
aadab-e-junun shayar-e-mashriq ko sikha do

 0 People liked it
0 Ratings

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise
Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise
Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise
Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise

 0 People liked it
0 Ratings

Neend Apni Bhula K Sulaya Hum Ko
Aanson Apnay Gira K Hansaya Hum Ko
Dard Kabhi Na Dena Un Hastiyon Ko
Allah Ne Maa Baap Banaya Jinko

 0 People liked it
0 Ratings


Ae mere hamnasheen chal aur kahin
Is chaman ab apna gujara nahin
Baat hoti gulon tak to seh lete hum
ab to kanto pe bhi haq hamara nahin..
`
Jo Lada Tha Sipaahiyon Ki Tarah
Aisa Bharat Mein Koi Baadshah Na Hua
Rooh To Ho gayi Thi Tann Se Judaa
Haath Talwaar Se Judaa Na Hua..
`
Kuchh haath se uske fisal gaya
wah palak jhapak kar nikal gaya
Fir laash bichh gayi lakhon ki
sab palak jhapak kar badal gaya
Jab rishte raakh mein badal gaye
insaanon ka dil dahal gaya
Main poochh poochh kar haar gaya
kyon mera bhaarat badal gaya..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1611 - 1620 of 1962, Page 162 of 197 pages.