Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1651 - 1660 of 1962, Page 166 of 197 pages.

Shikwe B Hazaron Hai Shikayat B Boht Hai,
Is Dil Ko Magar Usse Mohabat B Boht Hai.
Aa Jata Hai Milne Wo Tasawwoor Mai Hamare,
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat B Boht Hai.
Yeh B Hai Tamanna K Use Dil Se Bhula Dein,
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat B Boht Hai.
Dekhein To Zara Pee Ke Hun Zehr-E-Mohabbat,
Sunte Hain K Is Zehr Mai Lazzat B Boht Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Utha Mat Khana-E-Shesha-E-Farang Kay Ihsaan
Sifaal-E-Hind Say Meena-O-Jaam Paida Ker
Hazar Chasshmey Teri Sang-E-Rah Say Phootey
Khudi Main Doob Kay Zarb-E-Kaleem Paida Ker

 0 People liked it
0 Ratings

Ehsas Hoga Jab Hum Tumse Dur Ho Jayenge
Ankhon Me Ansu Honge Par Nazar Na Ayenge
Koi Saath Na De To Hame Yaad Karna
Asman Me Bhi Honge To Laut Ayenge

 0 People liked it
0 Ratings

Har Ik Chiraag Ki Lo Aisi Soyi-Soyi Thi
Voh Shaam Jaise Kisi Se Bichhad Ke Royi Thi

Naha Gaya Tha Main Kal Jugnuo Ki Baarish Mein
Voh Mere Kaandhe Pe Sar Rakh ke Khoob Royi Thi

Kadam-Kadam Pe Lahoo Ke Nishan Kaise Hain
Ye Sarjami To Mere Aansuon Ne Dhoyi Thi

Makaan Ke Saath Voh Podha Bhi Jal Gaya Jisme
Mehkate Phool The Phoolon Me Ek Titli Thi

Khood Uske Baap Ne Pehchaan Kar Na Pehchana
Voh Ladki Pichhle Fasadaat Me Jo Khoyi Thi

 0 People liked it
0 Ratings

Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Valo Ne
Kale Kale Balo Ne Gore Gore Gaalo Ne
Najar Mein Shokhiya Aur Bachapana Sharaarat Mein
Adaae Dekh Ke Hum Fas Gaye Mohabbat Mein
Hum Apani Jaan Se Jayege Jin Ki Ulafat Mein
Yahin Hai Ki Na Aayege Vohi Maiyat Mein
Khuda Saval Karega Agar Qyamat Mein
To Hum Bhi Kah Denge Hum Lut Gaye Sharafat Mein
Vahi Vahi Pe Qyamat Ho Vo Jidhar Jaye
Juki Juki Hui Nigah Se Kaam Kar Jaye
Tadapata Chod De Raste Me Aur Gujar Jaye
Shitam To Ye He Ki Dil Le Le Aur Mukar Jaye
Samaj Me Nahi Aata Ki Ham Kidhar Jaye
Yahi Irada He Ki Yah Kah Kar Kam Mar Jaye
Vafa Ke Nam Pe Mara He Be-Vafaao Ne
Ke Dam Bhi Na Lene Diya Is Jafaao Ne
Khuda Bhula Diya He Is Husn Ke Khudaao Ne
Mita Ke Chhod Diya He Ishq Ki Khataao Ne
Udaaya Hosh Kabhi Zulf Ki Havaao Ne
Khayal-E-Naaz Ne Luta Kabhi Adaao Ne
Hajaro Lut Gaye Najaro Ke Ek Isare Par
Hajaro Bah Gaye Toofan Ban Ke Dharo Par
Na Inake Vaaso Ka Thik He Na Baato Ka
Fasana Hota He Inaka Hajar Rato Ka
Bahut Hasin He Vese To Bhol Pan Inaka
Bhara Huaa He Magar Zahar Se Badan Inaka
Ye Jis Ko Kaat Le Vo Pani Pi Nahi Shakata
Davato Kya Duaao Se Bhi Jee Nahi Shakata Hai
Inahi Ke Mare Huye He Ham Bhi Jamane Mein
He Chaar Labz He Mohabbat Ke Fasane Me
Zamana Inako Samajata He Nek Aur Masoom
Magar Ye Kese He Kya He  Kisi Ko Kya Maloom
Inahe Na Tir Na Talavar Ki Jarurat He
Shikar Karane Ko Nigahe Ulafat He
Hasin Chalo Se Dil Paayamaal Karate Hai
Najar Se Karate He Bate Kamaal Karate Hai
Har Ek Bat Me Matalab Hazar Hote Hai
Ye Sidhe Sade Bade Hoshiyaar Hote Hai
Kuda Bachaye Hasino Ki Tez Chalo Se
Pade Kisika Bhi Pala Na Husn Valo Se
Husn Valo Me Mohabbat Ki Kami Hoti He
Chahane Valo Ki Takadeer Buri Hoti He
Unaki Bato Me Banavat Hi Banavat Dekhi
Sharm Aankho Me Nigaho Me Lagavat Dekhi
Aag Pahale To Mohabbat Ki Laga Dete Hai
Apane Rukhsaar Ka Deevana Bana Dete Hai
Dosti Kar Ke Fir Anzaan Najar Aate Hai
Sach To Ye He Ki Be-Imaan Nahar Aate Hai
Moute Kam Nahi Duniya Me Mohabbat Inaki
Jindagi Barabad Hoti He Badolat Iunaki
Din Baharo Ke  Gujarate He Magar Mar Mar Ke
Loot Gaye Hum To Hasino Pe Bharosa Kar Kar Ke

 0 People liked it
0 Ratings

Bilaakhir Yeh Haseen Manzar Mita Dena Hi Padta Hai
Kisike Sar Ko Shaane Se Hata Dena Hi Padta Hai
Kisi Der Ashna Ko Juthe Sache Kuchh Hawalon Se
Taarruf Ke Liye Sab Se Mila Dena Hi Padta Hai
Jo Saanson Mein Mehekte Hai Jo Aankhon Mein Damakte Hai
Achanak Ek Din Unko Bhoola Dena Hi Padta Hai

Diye Jo Hum Jalate Hai Nihayat Shauq Se Har Shab
Unhe Khud Apni Phoonkhon Se Bujha Dena Hi Padta Hai
Koi Jab Puchhta Hai Humse Kaisa Haal Hai
Hamein Mohtaat Ho Kar Muskura Dena Hi Padta Hai
Chamak Uthte Hai Jab Sitare Uski Palkon Par
Use Dil Se Laga Kar Hausla Dena Hi Padta Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Manzilein Kya Hai Raasta Kya Hai Hausla Ho To Fasala Kya Hai
Manzilen Kya Hai Rasta Kya Hai,
Hausala Ho To Fasala Kya Hai .
Vo Saza De Ke Door Ja Baitha,
Kisase Poochhoon Meri Khata Kya Hai .

Jab Bhi Chahega Chhin Lega Vo,
Sab Usi Ka Hai Aapaka Kya Hai .
Tum Hamare Qrib Baithe Ho,
Ab Dava Kaisi Ab Duaa Kya Hai .
Chandani Aaj Kisalie Nam Hai,
Chand Kee Aankh Men Chubha Kya Hai .

 0 People liked it
0 Ratings

Bikhre Ashqo Ke Moti Hum Piro Na Sakay,
Tere Yaad Mein Rat Bhar So Na Sakay,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri,
Bass Yehi Soch Kar Hum Roo Na Sakay.

 0 People liked it
1 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1651 - 1660 of 1962, Page 166 of 197 pages.