Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1681 - 1690 of 1962, Page 169 of 197 pages.

Apni Khubsurti Ka Gurur Karna Achhi Baat Nahi
Kisi Anjaan Ka Majak Udana Achhi Baat Nahi
Tum Khubsurat Ho Yeah Tumhari Khusnaseebi Hai
Apni Khusnaseebi Ko Dusron Ki Badnaseebi Samajhna Achhi Baat Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Kafir gesu valon ke raat basar yun hoti hai
husn hifazat karta hai aur javani soti hai
mujh mein tujh mein farq nahi mujh mein farq hai ye
tu duniya par hansata hai duniya mujh par hansati hai
sabr-o-sukun do dariya hain bharate bharate bharate hain
taskin dil ke barish hai hote hote hoti hai
jine mein kya rahat thi marane mein taklif hai kya
tab duniya kyon hansati thi ab duniya kyon roti hai
dil ko to tashkhish hui charagaron se puchunga
dil jab dhak-dhak karta hai wo halat kya hoti hai
raat ke aansu ae ‘sagar' phoolon se bhar jate hain
subah-e-chaman is pani se kaliyon ka muh dhoti hai

 0 People liked it
0 Ratings


Tumse  dur  jakar  jeena  to  mushkil  hai.
TumariPass  akar  kehna  bi  muskil  hai. .
Kya kare ,Aap  ki mahobbat  mein,  jeena  to  kya  marna bi
muskil  hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison Ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi……

 0 People liked it
0 Ratings


Eid Mubarak..!
May allah shower his blessings towards u and your family.!!
May Allah Honour u.!!! Forgives all our sins.!
May allah accept our dua’s aameen..!!
Eid Mubarak..!
On the joyous occasion of Eid.
may you and your family
be blessed with.
peace, prosperity and happiness!
Eid Mubarak!
E_nda
I_niya
D_inathil
M_annippaiyum
U_yarvaiyum
B_arakathaiyum
A_nbaiyum
R_ahamathaiyum
A_llah
K_oduppanaka
Ameen “EID MUBARAK”
Anbudan.

 0 People liked it
0 Ratings

Hanste Huey, Aankhon Mein Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yoon Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka
Jaane Kahan Say Aankhon Mein Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Say Na Taqdeer Say
Meri Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Shayad Khabar Hai Inn Ko Bhi Kis Qadar Tanha Hoon Main
Tanhaai Mein Maira Saath Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!

 0 People liked it
0 Ratings

Kis Baat ka hai Nasha Tujhko,
Kis cheez par Tujhe Ghuroor Hai
Har Ek Neymat Khuda Ki Hai,
Phir Kis Liye Tu Maghroor Hai…

 0 People liked it
0 Ratings

Be-His Hein Yahan Log Bhala Soch Ke Karna
Is Dor Mein Logon Se Wafa Soch Ke Karna
Ik Bar Jo Roothe Hum To Mana Tum Na Sako Ge
Hum Jaise Wafadar Ko Khafa Soch Ke Karna
Gul Shakh Se Bichre To Kahin Ka Nahi Rehta
Tum Zaat Meri Khud Se Juda Soch Ke Karna

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1681 - 1690 of 1962, Page 169 of 197 pages.