Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1691 - 1700 of 1962, Page 170 of 197 pages.

Manzil Unhi Ko Milti Hai
Jinke Sapno Me Jaan Hoti Hai
Pankh Se Kuchh Nahi Hota
Hauslon Se Udaan Hoti Hai

 0 People liked it
0 Ratings


Mere pyare dostoan,
abhi kuch mahine pehle he maine yeh group join kiya hai, bahut accha lagta hai
aap sab ke sher padh kar..
Aaj mein tumhe apne college ke dinoan ka ek waqaya batata hoan, mein aur mere
dostoan nai mil kar ek mushayare ka programme banaya. Jab hum logoan nai hum
mein se ek dost ke ghar per apna programme shuru kiya toa, oos ke pitaji nai
hume apne ghar se ootha kar bahar phenk diya, tab hum door ek jungle mein soch
rahe they ki ab kya karein, tab suno ek nai mujh se kya kaha
” quadar nahi shayaroan ki mere ghar mein,
chalo karein mushayara tere ghar mein”
Yeh soun kar maine bhi eis ka jawaab shayarana andaaz mein kuch eis tarha
diya
” Pitayi hoa gayi humari tere baap se,
ab kya kasar reh gayi pitne ki mere baap se” (aaiye, ama yeh bhi koi baat
huyi)
bye!
Sunil Kumar

 0 People liked it
0 Ratings

Toote Khuwabo Ki Tasveer Kab Poori Hoti Hai
Chand Taron K Beech Bhi Doori Hoti Hai
Dena To Hume Khuda Sab Kuch Chahta Hai
Par Uski Bhi Kuch Majboori Hoti Hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Humara Dard Humari Dukhi Aawaz Se Lade
Sulgati Aag Kabhi Sirfiri Hawa Se Lade

Main Jaanta Hoon Ki Aakhir Kya Hoga
Akela Pata Agar Raatbhar Hawa Se Lade

Mere Ajeej Mujhe Katal Karke Feink Aate
Bhala Huya Ki Mere Lab Meri Sada Se Lade

Siyah Barf Mein Thithuri Hai KaayNaat Meri
Koi Sitara Uthe Tootkar Khla Se Lade

Humare Sehar Mein Kya Ho Gaya Tha Jiske Liye
Bashir Rote Rahe Raat Bhar Khuda Se Lade

 0 People liked it
0 Ratings

Aansuon ke jahan payamali rahi
aisi basti charagon se khali rahi
dushmanon ke tarah us se ladate rahe
apani chahat bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
lab tarasate rahe ik hansi ke liye
meri kashti musafir se khali rahi
chand tare sabhi ham-safar the magar
zindagi raat thi raat kali rahi
mere sine pe khushbu ne sar rakh diya
meri banhon mein pulon ke dali rahi

 0 People liked it
0 Ratings

Chaman Mein Subah Yeh Kahti Thi Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam,
Bahaar-E-Baagh To Yun Hi Rahi, Lekin Kidhar Shabanam.
Arq Ki Bund Us Ki Zulf Se Rukhsaar Par Tapki,
Taajjub Ki Hai Jaage Yeh Pari Khurshid Par Shabnam.
Hamen To Baagh Tujh Bin Khaana-E-Maatam Nazar Aya,
Idhar Gul Phaarte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam.

Kare Hai Kuchh Na Kuchh Taasir Suhbat Saaf Tabon Ki,
Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashk-E-Sharar Shabnam.
Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge,
Kisi Ashiq Ke Rone Se Nahin Rakhti Khabar Shabnam.
Nahin Asbaab Kuchh Laazim Subak Saaron Ke Uthne Ko,
Gayi Ur Dekhte Apne Baghair Az Baal-O-Par Shabnam.
Na Paaya Jo Gaya Is Baagh Se Hargiz Suraagh Uska,
Na Palti Phir Saba Idhar, Na Phir Aai Nazar Shabnam.
Na Samjha Dard Ham Ne Bhed Yaan Ki Shadi-O-Gham Ka,
Sahr Khandaan Hai Kyon, Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam

 0 People liked it
0 Ratings

Har Koi In Honton Pe Muskan Lana Nahi Janta
Har Koi Is Dil Ko Churana Nahi Janta
Ek Tum Hi To Ho Jo Hum Se Jeet Gaye
Warna Har Koi Humain Harana Nahi Janta

 0 People liked it
0 Ratings

Mein mar mita tu wo smjha yeh inteha hay mery
usay khabar he na thee , khak kimiya the mery
mein chup hua tu wo smjha kay bat khatam hoey
phir uss kay bat tu awaz ja bja the mery
jo taana zan tha mery poshash-e-dureeda par
usi kay dosh pay rakhi hoey quba the mery
mein uss ko yaad karon bhi tu yaad ata nahi
mein us ko bhol gia hon , yahi saza hay mery
shikas day gia apna gharoor he uss ko
wagarna uss kay muqabil bisaat kia the mery
kahin dimagh , kahin dill , kahin badan he badan
har ek say dosti yari juda juda thee mery
koi bhi koay muhabbat say phir nahi guzra
tu shehr-e-ishq mein kia akhri sada the mery ??
jo ab ghumad say sar ko uthaey phirta hay
usi tarha ki tu makhlooq khak-e-pa the mery
har ek sher na tha dar khor-e-qaseed-e-dost
aur iss say tab-e-rawaan khoob ashna the mery
mein uss ko dekhta rehta tha hairaton say FARAZ
yeh zindgy say tuaraf ki ibtada the mery

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1691 - 1700 of 1962, Page 170 of 197 pages.