Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1791 - 1800 of 1962, Page 180 of 197 pages.

Ye Keh Kr Mere Dushman Muje Hansta Chor Gai
K Tere Apne Hi Kafi Ha Tuje Rulane K Liye

 0 People liked it
0 Ratings


Kuchh salon baad jane kya sama hoga,
Jane kaun dost kaha hoga.
Fir milna hua to milenge khwabon me,
Jaise sukhe gulab milte hain kitabon me.

 0 People liked it
0 Ratings

Jab se bul-bul tu ne do tinake liye
tutati hai bijaliyan in ke liye
hai javani khud javani ka singar
sadagi gahana hai us sinn ke liye
kon virane mein dekhega bahar
phul jangal mein khile kin ke liye
sari duniya ke hain wo mere siva
main ne duniya chod di jin ke liye
bagaban kaliyan hon halke rang ke
bhejani hain ek kamasin ke liye
sab hasin hain zahidon ko napasand
ab koi hur aayegi in ke liye
vasl ka din aur itna mukhtasar
din gine jate the is din ke liye

 0 People liked it
0 Ratings

Sath Rehna Hai Jitna Reh Lo Sath Mere Tum Sanam
Lot Kar Na Tum Ao Ge Na Phir Hamain Ye Waqat Mily Ga.

 0 People liked it
0 Ratings

Phool Mazaar Tak Nahi Pahuncha Daaman-E-Yaar Tak Nahi Pahuncha,
Ho Gaya Vo Kafan Se To Aazaad Phir Bhi Gulzaar Tak Nahi Pahuncha

 0 People liked it
0 Ratings

Shamim-e-zulf-e-yar aaye na aaye
mere dil ko qarar aaye na aaye
abhi aaya hai hosh yad-e-janan
na tadapa, bar-bar aaye na aaye
chirag-e-zindagani bujh raha hai
wo jan-e-intazar aaye na aaye
kiya jo tum ne apne dil se pucho
hamara aitabar aaye na aaye
nigah-e-ahal-e-gulshan kah rahi hai
khizan jaye bahar aaye na aaye
badhega karavan manzil-ba-manzil
gubar-e-rahguzar aaye na aaye

 0 People liked it
0 Ratings

Bohat Mudat K Baad Kal Jab
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khoola
Bohat Say Chahrey Nazar Main Utrey
Bohat Say Naamoon Pai Dil Paseeja
Aik Aisa Safha Bhi Us Main Aaya
Likha Howa Tha Jo Aansooun Say
Jis Ka Unwan “Hamsafar” Tha
Wo Safha Sab Say Hi Moutabar Tha
Aik Aur Aansoo Phir Us Pai Tapka
Phir Us Se Aagey Main Parh Na Paya
Kitab-E-Mazi Ko Band Kar Ke
Usi Ki Yadon Mein Kho Gaya Main
Inhe Khyaalon Mein So Gaya Main
Agar Wo Milti To Kaisa Hota
Agar Wo Milti To Achha Hota

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat HAI
Jo Aata Hai Woh Jataa Hai Yeh Duniya Aani Jaani Hai
Yahan Her Shaks Musafir Hai Safar Mein Zindagani Hai
Ujalon Ki Zaroorat Hai Andhera Meri Kismat Hai
Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai
Zara Aye Zindagi Dum Le Tera Deedar Toh Kar Loo
Kabhi Dekha Nahin Jis Ko Uska Deedaar Toh Ker Loo
Abhi Se Chhod Kar Mat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hai
Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai
Koi Anjaan Sa Chehraa Ubhar Tha Hai Fizaaon Mein
Yeh Kis Ki Aahatein Jagee Meri Khamosh Rahon Mein
Abhi Aye Mout Naa Aanaa Mera Thikaana Jannat Hai
Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1791 - 1800 of 1962, Page 180 of 197 pages.