Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 181 - 190 of 1962, Page 19 of 197 pages.

Kaash Main Chand Tuu Taara Hota,
Falak Pey Ek Aashiyana Hamara Hota,
Sub Tujhey Door Bohut Door Sey Daikha Kertay,
Par Tujhey Milnay Ka Haq Sirf Hamara Hota…

 0 People liked it
0 Ratings

Baarish Ki In Boondon Mein
Najane Kis Kis K Aanso Hain
Sadiyoon Pehly Shayed Koi..
Sadiyoon Beth K Roya Tha…..!

 0 People liked it
0 Ratings


Mai kiya bataaoon voh kitna badal gaya logo
jo roashni tha andhairey mai dhal gaya logo
hum aik saath hi guzrey thai aag sai laikin
Mai jal gaee voh bach kai, nikal gaya logo
uskai sha_oor pai bhari tha bholpan mera
mai gir kai toot gaee, voh sambhal gaya logo
Mila jo rah mai poocho na dil pai kiya guzri
Voh saamney sai merey, jab nikal gaya logo
Mah seedhi rah pai chalna bhi aik qayamat hai
Voh do qadam hi chalaa ,orr phisal gaya logo.

 0 People liked it
0 Ratings

Kadam Zamana Hai Aur Sabke Saath Chalna Bhi
Hum Apni Raah Ke Pathar Hain Aur Dariya Bhi

Magar Jo Phaasla Pehle Tha Aur Badhta Gaya
Main Uske Paas Gaya Voh Idhar Se Guzra Bhi

Bahut Budhimaan Aur Waqt Ko Pehchaan Ne Wala Tha Lekin
Vo Raat Bachon Ki Tarah Lipat Ke Roya Bhi

Ye Khushk Shaakh Na Sarsabz Ho Saki Usne
Mujhe Gale Se Lagaya Palak Se Chooma Bhi

 0 People liked it
0 Ratings

Tere ishq ke intaha chahata hun
meri sadagi dekh kya chahata hun
sitam ho ki ho vada-e-behijabi
koi baat sabr-azama chahata hun
ye jannat mubarak rahe zahidon ko
ki main aap ka samana chahata hun
koi dam ka mehaman hun ae ahal-e-mahafil
chirag-e-sahar hun, bujha chahata hun
bhari bazm mein raz ke baat kah di
bada be-adab hun, saza chahata hun

 0 People liked it
0 Ratings

Dil Chahta Hai Teri Ankhon Per Kuch Aur Likhon
Har Tarha Likh Chuka Hoon Ab Kis Tor Likhon
Ab To Har Koi Inhain Jaan Lewa Kehta Ha
Main Bhi Tasdeeq Karon Ya Zmaney Ka Shoore Likhon
Ab Muje Chahiye Ke Teri Awaz Ko Rabab Kahon
Aur Sochta Hoon Khubsorti Ko Masal Moor Likhon

Teri Nazuk Klaiyon Per Bhi To Kuch Likhna Chahoon
Andaz_e_bayan Ko Bhi Chahta Hoon Kabl_e_gor Likhon
Kabi Baith Jaoon Jo Mian Pencil Kagaz Ley Kar
To Apni Aur Tumhari Mohabbat Ka Tamam Door Likhoon
To Meri Janab Dekhey To Nazrain Joka Leta Hoon
Tuj Ko Bahadur Likhon Yan Khud Ko Kamzor Likhon
Tu Jab Kabi Yaad Aye To Dil Chahta Ha
Teri Tasweer Banaoon Ya 1 Ghazal Fir Or Likhon

 0 People liked it
0 Ratings

Bheed Main Ik Ajnabi Ka Samna Achha Laga
Sub Se Chhup Ker Wo Kisi Ka Dekhhna Achha Laga
Dil Main Kitne Ehd Bande Thhe Bhulane K Usse
Wo Mila To Sub Irade Todrna Achha Laga
Uss Adooye Jan Ko Amjed Main Bura Kaise Kahoon
Jub B Aaya Samne Wo Be Wafa Achha Laga

 0 People liked it
0 Ratings


koi Su’nn na lai unkahi baatain..
Zindagi ko na chairro.ro dey gi.
jab yai roey gi tou merey dil ki aawaz
Sunaai dai gi, jaisey koi ghum ka saaz
aur yun merey ehsaas mai samaey gi,
Yaad yun aaien gi wo sab guzri baatein
har beet_ta pal apney aap main kho ker
thora mujh se qareeb, thora door ho ker
mujh sai apnay anjaan honay ka
gila karay ga
Ehsaas hoga.
kay, aankhon kay yai aansoo..
ye meri hasratein, ye justujoo
bai naam nahi hain,
muntashir in mai haein guzri baatein
wo beeta pal wo guzra huwa kal
kabhi kabhi anjaaney sapnon ki raah sajaey
apni nazrain chupaata huwa
mujh ko anjaan nazroon sai dekhta jaey..
Ehsaas hoga.
kay, ird gird kay log.
kuch aisay guzertay hain merey paas sai..
kay main koi jism nahi, ek saya hoon
aik aisa aks hoon jis ka koi wujood nahi!
mujh mai koi mojood nahi
Aik tarap hai
unkahi si..
aik khalish hai.
Dabi dabi si
jis kay ehsaas ka koi naam nahin
aik rog hai.
ba zahir koi zakhm nahin.
aik soag hai .aik ahh si hai.
jis ki apni koi Aawaaz nahin.
raaz aisa hoon mai ke jiska koi
hamsukhan, hamnafas hamraz nahi
Kis say kahoon ?
kis kis ko samjhaoon.
kay aur ronay ko dil ab nahi kerta.
koi laikin kiya jaaney, kiya samjhey..
kay inn aankhon sai na janey
kabhi kabhi.. kitney aansoo barastey hain.
Or yai dil tou..
aksar hi aasooda-e-gham rehta hai.
Woh jatey jatey Aankhon mai sapney saja gaya
Goya baghair saans kai jeena sikha gaya.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 181 - 190 of 1962, Page 19 of 197 pages.