Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1901 - 1910 of 1962, Page 191 of 197 pages.

Main Apni Pyaas Par Raazi Rahoon Gi
Meray Aansoo Meray Dil Ki
Kafalat Kay Liye Kaafi Rahain Gay.

 0 People liked it
0 Ratings

Ya Rab Ab Ke Jo Main Ghar Badloon
To Aisi Parosan De
Jo Qalb Ko Garma De
Jo Rooh Ko Tarpa De

 0 People liked it
0 Ratings

Tujh ko dariyadili ke qasam saqiya
mushtaqil daur par daur chalata rahe
raunaq-e-maikada yun hi badati rahe
ik girata rahe ik sambhalata rahe
sirf shabanam hi shan-e-gulistan nahi
shola-o-gul ka bhi daur chalata rahe
ashk bhi chashm-e-purnam se behte rahen
aur dil se dhuan bhi nikalata rahe
tere kabaze mein hai ye mizami jahan
tu jo chahe to sahara bane gulistan
har nazar par teri phul khilate rahe
har ishare pe mausam badalata rahe
tere chehare pe ye zulf bikhari hui
neend ke god mein subah nikhari hui
aur is par sitam ye adayen teri dil hai
aakhir kahan tak sambhalata rahe
is mein khun-e-tamanna ke tasir hai
ye vafa-e-muhabbat ke tasvir hai
aisi tasvir badle ye mumkin nahi
rang chahe zamana badalata rahe

 0 People liked it
0 Ratings


Ai ishq tu aa kabhi deewangi ke saath-saath,
milte hain, bichchadte hain hum apne haalaaton ke saath-saath,
wo to aate hi nahi per yaad aati hai unki,
ai waqt tu bhi to aa kabhi unke deedaar ke saath-saath.
Main gunahgaar hoon ,siyakaar hoon ,batkaar hoon,
koi aaye aur mujhe le jaaye apne saath-saath,
main ho jaaoonga qaamyaab iss tanha zindagi me,
per waqt bhi to aaye kabhi khushi ke lamhaaton ke saath-aath.

 0 People liked it
0 Ratings

Angadai bhi wo lene na paye utha ki hath
dekha mujhe to chod diye muskura ki hath
besakhta nigahen jo aapas mein mil gain
kya muh pe us ne rakh liye aankhen chura ki hath
wo zanuon pe sina chupana simat ki hay
aur phir sambhalana wo dupatta chuda ki hath
dena wo us ka sagar-e-may yaad hai “nizam”
muh pher ko udhar ko idhar ko badha ki hath

 0 People liked it
0 Ratings


Kabhi saath chale nahin uske, lekin uske bina jeena mushkil hai
Uski zaroorath nahin hai, lekin uske bina zindagi adhoori hai
Aansun nahin bahaathe,  lekin uski yadonme dil rotha hai
Kya karun main,  mujhe kyun aisa ajeeb sa mehsoos hotha hai!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Hum Bhe Is Waqt Main Geetay Hain
Hum Koi Jag Se Niraley Tu Nahe
Hum Bhe Is Waqt Main Geetay Hain
Jahan
Titliyaan Khwab Hain Aur Phool Gulab Hain
Shehar Hum Ko Bhe Muqqader Main Mila Hai
Jis Main
Dharkanain Band Aur Shehar Main Hoo Ka Aalam
Hum Bhe Is Ghar Ke Maqeen Hain K Jahan
Waqt Ke Kat Tey He Bujh Jati Hai Is Umar Ki Loo!
Is Bey Aaman Gum Naam Irradey Ki Terha
Hum Bhe Logon Ki Terha Hain Ke Hamain
Dukh Chupana Hai Aur Hassna Sar-E- Baazar Bhe Hai
Hum Pe Bhe Ehd-E- Jawaani Ka Aazab Utra Hai
Hum Ne Bhe Door Kisi Shehar Main Bastey Huey
Hasstey Huey Kisi Shaks Ko Chaha Hai Bohat

 0 People liked it
0 Ratings

Kash khwabon hi mein aa jao bahut tanaha hun
ya mere zahan se yadon ke diye gul kar do
mere ehasas ke duniya ko mita do ham-dam
raat tare nahi angare liye aati hai
in barasate huye sholon ko bujha do ham-dam
dil ke dhadakan ko sula jao bahut tanaha hun
andheri raat mein jab chand khilane lagata hai
tumhare pyar ke dipak jalake rota hun
tumhare aane ke jab aas jane lagti hai
main in chiragon ko khud hi bujha ke rota hun
zindagi aisi mita jao bahut tanaha hun
sochate sochate jab soch bhi mar jati hai
waqt ke qadmon ke aahat ko suna karta hun
ashk thamate hain to aahon ka dhuan uthta hai
raat bhar yun hi tadapata hun jala karta hun
bar-e-gam kuch to ghata jao bahut tanaha hun

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1901 - 1910 of 1962, Page 191 of 197 pages.