Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1911 - 1920 of 1962, Page 192 of 197 pages.


Lal gulaabi rang hai,
Jhum raha sansar hai,
Suraj ki kiran khushiyon ki bahar,
Chand ki chandni apno ka pyar,
Shubh ho aapko yeh Rango ka tyohaar.
“HAPPY HOLI”

 0 People liked it
0 Ratings

Karbala Nasib Se Jana Nasib Ho
Pher Laut Kar Wahan Sa Na Ana Nasib Ho
Aisa DAR-E-HUSSAIN A.S Pe Sajda Ho Akhri
K Mujha Apna Sir Na Uthana Nasib Ho

 0 People liked it
0 Ratings

Dastur ibadat ka duniya se nirala ho
ik hath mein mala ho ik hath mein pyala ho
pujenge saliqe se andaz magar apana
ho yad-e-khuda dil mein saqi ne sambhala ho
masti bhi taqaddus bhi ek sath chale donon
ik simt ho maikhana ik simt shivala ho
masjid ki taraf se tu jana na kabhi saqi
zahid bhi kabhi tera na chahanevala ho
wo dub ki mar jayen madira ki surahi mein
mashuq ne gar dil ki mahafil se nikala ho

 0 People liked it
0 Ratings

Yadon ka aik jhonka aya hum se milne barson bad
pehle itna roye nahi the jitna roye barson bad
aj hamari khak pe duniya rone dhone behti hai
phool huwe hain jane kaise itne saste barson bad
bhol bhi jao kisne tora keyun tora kaise tora
keyun dhond rahe ho dil ke tukre in galioun main barson bad
dastak ki umeed

 0 People liked it
0 Ratings

Berukhe Ke Teer Khana Be Mera Ik Shook Tha
Dostoon Ko Azmana Be Mera Ik Shook Tha
Dard Un Ka Apnay Senay Se Lagaya Is Leay
K Choot Kha Kar Muskrana Be Mera Ik Shook Tha

 0 People liked it
0 Ratings

Chadhte Suraj Ko, Salaamii Sab Ki Milti Hain
Gardish Men Ho Taare, Koii Paani Nahii Detaa
Jawaan Jismon Ki Raahon Men Sabhii Palken Bichaate Hain
Koii Bebas Budhaape Ko, Sahaara Kyon Nahii Detaa
Daulat Ke Dhaagon Se Bandhe Hain Ab To Sab Riste
Muflis Kii Mayyat Ko, Koii Kandha Nahii Detaa
Naa Kar Insaaf Kii Baaten,Yahan Mujrim Hii Munsif Hai
Baapu Or Bhagat Singh Ko Koii Jiine Nahii Detaa
Apne Nayan Kaa “Neer” Hii Piitaa Rahaa Hun Main
May^kadon Men Ab, Koii Piine Nahii Detaa

 0 People liked it
0 Ratings


Dilon Mai Sama Nahi Sakti
Labon Pe Rukti, Dilon Mai Sama Nahi Sakti
Wo Ek Baat Jo Lafzon Mai Aa Nahi Sakti
Jo Dil Mai Ho Nazar-e-Gham To Ashq Paani Hai
Ke Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti
Yaqeen, Gumaan Se Bahar To Ho Nahi Sakta
Nazar Khayaal Se Aagey To Jaa Nahi Sakti
Dilon Ki Ramz Faqat Ehl-e-Dil Jaantey Hein
Teri Samajh Mai Meri Baat Aaa Nahi Sakti
Yeh Souz-e-Ishq To Goongey Ka Khuaab Hai Jesey
Meri Zubaan Meri Haalat Bataa Nahi Sakti
Simat Rahi Hai Mere Baazuoun Ke Halqay Mai
Haya Ke Boojh Se Palkein Utha Nahi Sakti
Jo Keh Raha Hai Sulagta Hua Badan Us Ka
Bata Bhi Paati Nahi, Aur Chupa Nahi Sakti
Ek Aise Hijar Ki Aatish Hai Mere Dil Mai Jesey
Kisi Visal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti
To Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yahin Pe Hona Hai
Zameen Madaar Se Bahar To Jaa Nahi Sakti
Poet: Amjad Islaam Amjad

 0 People liked it
0 Ratings

Koi to hai jo zulm kay hamlon say door hai
Koi to hai jo zabt e wafa ka gharoor hai
Ab tak jo sar nigon na hua percham e Hussain
Iss per kissi kay haath ka saaya zaroor hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1911 - 1920 of 1962, Page 192 of 197 pages.