Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1921 - 1930 of 1962, Page 193 of 197 pages.

Apni Khoyi Huyi Jannatein Pa Gaye
Zeest* Ke Rastey Bhoolte-Bhoolte
Maut Ki Vaadiyon Me Kahin Kho Gaye
Teri Aawaz Ko Dhundhte-Dhundhte

Mast-O-Sarshaar** The Koi Thokar Lagi
Aasmaan Se Zameen Per Yon Hum Aa Gaye
Shaakh Se Phool Jaise Koi Gir Pade
Raks-E-Aawaz Per Jhumte-Jhumte

Koi Pathar Nahi Hoon Ki Jis Shakl Me
Mujhko Chaaho Banaya Bigada Karo
Bhool Jaane Ki Koshish To Ki Thi Magar
Yaad Tum Aa Gaye Bhoolte-Bhoolte

Aankhein Aansoo Bhari, Palkein Bojhil Ghani
Jaise Jheelein Bhi Hon Narm Saaye Bhi Hon
Vo To Kahiye Unhe Kuch Hansi Aa Gayi
Bach Gaye Aaj Hum Doobte-Doobte

Ab Vo Gesoo Nahi Hain Jo Saya Kare
Ab Vo Shane Nahi Jo Sahara Bane
Maut Ke Baajuon Tum Hi Aage Badho
Thak Gaye Aaj Hum Ghoomte-Ghoomte

Dil Me Jo Teer Hain Apne Hi Teer Hain
Apni Zanjeer Se Paa-B-Zanjeer Hain
Pathron Ko Humne Khuda Kar Diya
Aakhirash Raat Din Poojate-Poojate

 0 People liked it
0 Ratings

Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !

 0 People liked it
0 Ratings


“by Sachin ” Try my best..
RAMJAAN KE DIN HAI NA NIKLNA KISI MASZIT KE SAMNE SE,
KAHI LOG TUMHE DEKH KE ROJA NA TOD DE,
OR KHPHA HOKE KHUDA TUMSE KAHIN HUSN BANANA NA CHOD DE.

 0 People liked it
0 Ratings

Iqraar Gaye, Inkaar Gaye, Hum Haar Gaye
Aankhon Say Sab Aasaar Gaye, Hum Haar Gaye
Kuch Yaadein Uss Ki Beech Samander Doob Gayeen
Kuch Sapney Reh Uss Paar Gaye, Hum Haar Gaye
Ikk Umr Rahey Hain Jeet Say Be-Perwah Lekin
Jab Jeetna Chaaha, Haar Gaye Hum Haar Gaye
Yoon Uljhey Duniya Ke Dukh Mein Be-Sudh Ho Ker
Sab Jhootey Sachey Pyaar Gaye, Hum Haar Gaye
Pehley To Preet Mein Apney Aap Say Door Huwey
Phir Yaar Gaye, Dildaar Gaye, Hum Haar Gaye !

 0 People liked it
0 Ratings

Iss Subh-E-Zindagii Se Sanaashaa Nahiin Huun Main
Lagataa Yehii Hai Niind Se Jaagaa Nahiin Huun Main
Ik Harf-E-Raaygaan Sahii, Yaaro, Mira Vajuud
Kaise Kahuun Kitaab Kaa Hissaa Nahiin Huun Main
Darpesh Subh-O-Shaam Hai, Ye Kaisii Kash-Ma-Kash
Kaise Banuun Main Uss Kaa, K Apnaa Nahiin Huun Main
Mujh Ko Fareeshtaa Hone Kaa D`Aavaa Nahiin, Magar
Jitnaa Buraa Samajhte Ho, Utnaa Nahiin Huun Main
Is Tarah Pher-Pher Ke Baaten Na Kiijiye
Lehjay Kaa Rukh Samajhtaa Huun, Bachchaa Nahiin Huun Main
Dekhii Hu`Ii Si Lagtii Hai, Har Reh-Guzaar Kyuun
Inn Bastiyon Se Pehle Tau Guzraa Nahiin Huun Main

 0 People liked it
0 Ratings

Kanton ke chubhan pai phoolon ka maza bhi
dil dard ke mausam mein roya bhi hansa bhi
aane ka sabab yaad na jane ke khabar hai
wo dil mein raha aur use tod gaya bhi
har ek se manzil ka pata puch raha hai
gumrah mere sath hua rahnuma bhi
‘gumnam' kabhi apanon se jo gham huye hasil
kuch yaad rahe un mein kuch bhool gaya bhi

 0 People liked it
0 Ratings

Aankh se aankh mila bat banata q hai
tu agar mujhase khafa hai to chupata q hai
gair lagata hai na apanon ke tarah milta hai
tu zamane ke tarah mujhako satata q hai
waqt ke sath halat badal jate hain
ye haqiqat hai magar mujhako sunata q hai
ek muddat se jahan kafile guzri hi nahi
aisi rahon pe charagon ko jalta q hai

 0 People liked it
0 Ratings

Shaam Se Aankh May Nami Si Hai
Aaj Phir Aap Ki Kami Si Hai
Daffn Kardo Hamay Kay Saans Milay
Nabz Kuch Dair Say Dabi Si Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1921 - 1930 of 1962, Page 193 of 197 pages.