Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1931 - 1940 of 1962, Page 194 of 197 pages.

Sab Ke Haunto Pe Tabasum Tha Mere Qatal Ke Bad
Jane Kya Soch Kar Rota Raha Qatil Mera

 0 People liked it
0 Ratings

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile
Jis Tarah Sookhe Huye Phool Kitaabon Mein Mile
Dhoond Ujde Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Mile
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Fariston Jaisa
Dono Insaan Hain To Inum Itne Hijaabon Mein Mile
Gham-E-Duniya Bhi Gham-E-Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Behta Hai Sharaabon Mein To Sharabon Mein Mile
Ab Labon Mein Hoon Na Tu Hai Na Wo Maaji Hai Faraaq
Jaise Do Saaye Tamaana Ke Saraabon Mein Mile

 0 People liked it
0 Ratings

Aag hai pani hai mitti hai hava hai mujh mein
aur phir manana padata hai ke khuda hai mujh mein
ab to le-de ke vahi shakhs bachcha hai mujh mein
mujh ko mujh se juda kar ke jo chupa hai mujh mein
mera ye hal ubharati hui ?????? jaise
vo badi der se kuch dhundh raha hai mujh mein
jitne mausam hain sab jaise kaheen mil jayen
in dinon kaise bataun jo faza hai mujh mein
aaina ye to batata hai ke main kya hun lekin
aaina is pe hai khamosh ke kya hai mujh mein
ab to bas jan hi dene ke hai bari ae “noor”
main kahan tak karun sabit ke vafa hai mujh mein

 0 People liked it
0 Ratings

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya
Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya
Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya
Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
K Hum NE Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

 0 People liked it
0 Ratings

6 Rang Ye Spen V Trena Lare Garza,
Ka Khog Gabeen V Trena Lare Garza.
Pa Zaheri Husan Ye Ma Teroza,
6 Mahjabeen V Terna Lare Garza.
Da Nazawali Hase Zra Lobave,
6 Nazanen V Trena Lare Garza.
Dve Pa Khwaga Khwaga K Ohri Sary,
Sok Che Sherin V Trena Lare Garza.
Pa Bazari Aasono Sala Garze,
Har Yo Ta Zeen V Trena Lare Garza.
Dve Da Wafa Pa Jaba Na Pohegi,
Jafa Ye Deen V Trena Lare Garza.
Danana Kaani Garzavi Seno Ke,
Zaher Rangen V Trena Lare Garza.
Pakha Mewa Zaher Khaista Hkaregi,
Danana Khoren V Trena Lare Garza.
Ka Zan Khoshala IMDAD KHIYALA Ghware,
Sok Che Ghamgeen V Terna Lare Garza.

 0 People liked it
0 Ratings

Thahar Gaya Tha Koi Waqt Ki Nishani Ban Ke
Woh Bhi Beh Gaya Aaj Aakhoon Ka Pani Ban Ke
Ek Umar Se Sambhala Tha Humne Jo Dariya
Baha Le Gaya Woh Use Ek Raat Tufaani Ban Ke…

 0 People liked it
0 Ratings

Na tha kuchch to KHuda tha,kuchch na hota to KHuda hota
Duboya mujhko hone ne,na hota maiN to kya hota

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Main Who Baat Nahi Hai
Kyu Kah Who Meray Saath Nahi Hai
Us Kay Pyaar Bina Dil Ki Zameen Sookhi Hai
Ek Wohi Mukhlis Thi Sari Duniya Rokhi Hai
Ghar Jab Loton Who Nigahain Dhoondta Hon
Sama Jaon Jin Main Who Bahain Dhoondta Hon
Un Jaghoon Ko Deekhta Rahta Hon Jahan Beth Kay Who Mera Intzaar Karti Thi
Main Ghantoon Apna Chahra Deekhta Hon Jahan Who Mujhay Pyaar Karti Thi
Teri Dua Kay Bagair Sarkon Per Nikal Jata Hon
Her Kadam Her Rastay Per Thoker Khata Hon
Maan To Meray Liay Khuda Ki Soorat Hai
Tu Lout Aa Kah Mujhay Abhi Teri Zaroorat Hai
Main Ghar Jaldi Lout Aaon Ga Khuda Kasam Tujhay Kabhi Na Sataon Ga
Teri Khidmat Sobha Shaam Karon Ga Jo Kahay Gi Who Her Kaam Karon Ga
Meray Kaan Phir Say Muntizar Hain Ek Baar Phir
Who Lori Suna Day Ek Arsa Hua Main Soya Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1931 - 1940 of 1962, Page 194 of 197 pages.