Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1951 - 1960 of 1962, Page 196 of 197 pages.

Mast Nazron Se Dekh Lena Tha
Agar Tamanna Thi Aazmane Ki
Hum To Behush Youn Hi Ho Jaate
Kya Zaroorat Thi Muskurane Ki

 0 People liked it
0 Ratings


KhushBu Ki Tarhaan Meri Har Sans Main
Piyar APna Basane Ka Wada Karo
Rang Jitne Tumhari Mohabat K Hen
Mere Dil Main Sajane Ka Wada Karo
Hai Tumhari Wafaon Per Mujh Ko Yaken
Phir Bhi Dil Chahta Hai Mere Dil Nashen
Yun He Meri Tasali Ki Khatir Zara
Mujh Ko Apna Banane Ka Wada Karo
Sirf Lafzon Se Iqrar Hota Nahe
Eik Janib Se He Piyar Hota Nahe
Main Tumhen Yad Rakhne Ki Khaon Qasam
Tum Mujhe Na Bholane Ka Wada Karo.

 0 People liked it
0 Ratings

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay Her Khat Main Likhti Hai
Mujhay Tum Yaad Kertay Ho?
Tumhain Main Yaad Aati Hoon?
Meri Baatain Satati Hain
Meri Neendain Jagati Hain
Meri Aankhain Rulaati Hain
December Ke Sunehri Dhoop Main Abb Bhi Teheltay Ho?
Kisi Khamosh Rustay Se
Koi Awaaz Aati Hai?
Thatharti Sard Raaton Main
Tum Abb Bhi Chhatt Pe Jaatay Ho?
Falak Ke Sab Sitaroon Ko
Meri Baatain Sunatay Ho?
Kitabon Se Tumharay Ishq Main Koi Kami Aai?
Ya Mairi Yaad Ke Shiddat Se Aankhon Main Nami Aai?
Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay Her Khat Main Likhti Hai..
 Jawaban Ous Ko Likhta Hoon..
Meri Masroofiyat Daikho Subah Se Shaam Office Main
Chiragh-I-Umer Jalta Hai
Phir Ous K Baad Duniya Kee
Kaee Majbooriyan Pao`N Main Bairi Daal Rakhti Hain
Mujhay Bay-Fikr, Chahat Se Bharay Sapnay Nahin Dikhtay
Tehelnay, Jagnay, Ronay Kee Mohlat Hee Nahin Milti
Sitaroon Se Millay Arsa Hua..Naraz Hon Shayad
Kitaboon Se Shughaf Maira Abhi Waisay He Qayem Hai
Farq Itna Parra Hai Ab Ounahin Arsay Main Parhta Hoon
Tumhain Kis Ne Kaha Pagli Tumhain Main Yaad Kerta Hoon
Ke Main Khud Ko Bhulanay Kee Musalsal Justajoo Main Hoon
Tumhain Na Yaad Aanay Kee Musalsal Justajoo Main Hoon
Mager Yeh Justajoo Meri Bohat Nakaam Rehti Hai
Mere Din Raat Main Abb Bhee Tumhari Shaam Rehti Hai
Mere Lafzoon Ki Her Maala Tumharay Naam Rehti Hai
Tumhain Kis Ne Kaha Pagli Tumhain Main Yaad Kerta Hoon
Poorani Baat Hai Jo Log Akser Gungunatay Hain
Ounhain Hamm Yaad Kertay Hain Jinahin Hamm Bhool Jatay Hain
Ajab Pagal Si Lerki Ho
Meri Masroofiyat Daikhoo
Tumhain Dil Se Bhulaoon Tu Tumhari Yaad Aaye Na
Tumhain Dil Se Bulanay Kee Mujhay Fursat Nahin Milti
Aur Iss Masroof Jeewan Main
Tumahray Khat Ka Ikk Jumla
Tumhain Main Yaad Aati Hoon ?
Meri Chahat Ki Shiddat Main Kami Honay Nahin Daita
Bohat Raatain Jagata Hai Mujhay Sonay Nahin Daita
So Agli Baar Apnay Khat Main Yeh Jumla Nahin Likhna
Ajab Pagal Si Larki Hai Mujhay Phir Bhee Ye Likhti Hai
Mujhay Tum Yaad Kertay Ho Tumhain Main Yaad Aati Hoon ?
Urdu Version:
عجب پاگل سی لڑکی ہے
مجھے ہر خط میں لکھتی ہے
مجھے تم یاد کرتے ہو؟ تمھیں میں یاد آتی ہوں؟
میری باتیں ستاتی ہیں
مری نیندیں جگاتی ہیں
… مری آنکھیں رُلاتی ہیں
دسمبر کی سنہری دھوپ میں اب بھی ٹہلتے ہو
کسی خاموش رستے سے کوئی آواز آتی ہے؟
ٹھٹھرتی سرد راتوں میں تم اب بھی چھت پہ جاتے ہو
فلک کے سب ستاروں کو میری باتیں سناتے ہو
کتابوں سے تمھارے عشق میں کوئی کمی آئی؟
یا میری یاد کی شدّت سے آنکھوں میں نمی آئی؟
عجب پاگل سی لڑکی ہے
مجھے ہر خط میں لکھتی ہے
جواباَ اس کو لکھتا ہوں
میری مصروفیت دیکھو
صبح سے شام آفس میں چراغِ عمر جلتا ہے
پھر اس کے بعد دُنیا کی کئی مجبوریاں پاؤں میں بیڑی ڈال رکھتی ہیں
مجھے بےفکر، چاہت سے بھرے سسپنے نہیں دِکھتے
ٹہلنے، جاگنے، سونے کی فرصت ہی نہیں ملتی
ستاروں سے ملے عرصہ ہوا ناراض ہوں شاید
کتابوں سے شغف میرا ابھی ویسے ہی قائم ہے
فرق اتنا پڑا ہے اب انہیں عرصہ میں پڑھتا ہوں
تمھیں کس نے کہا پگلی تمھیں میں یاد کرتا ہوں؟
کہ میں خود کو بھلانے کی مسلسل جستجو میں ہوں
تمھیں نہ یاد آنے کی مسلسل جستجو میں ہوں
مگر یہ جستجو میری بہت ناکام رہتی ہے
مرے دن رات میں اب بھی تمھاری شام رہتی ہے
مرے لفظوں کی ہر مالا تمھارے نام رہتی ہے
تمھیں کس نے کہا پگلی مجھے تم یاد آتی ہو؟
پُرانی بات ہے جو لوگ اکثر گنگناتے ہیں
انہیں ہم یاد کرتے ہیں جنھیں ہم بھول جاتے ہیں

 0 People liked it
0 Ratings

Juda Hona Hi Thehra To
Gilay Kaisay Shikayat Kya
Juda Ho Jayen Chupkey Se
Na Tum Bolo Na Main Boloon
Hamare Bol Perne Se
Judaayi Phhail Sakti Hai
Hawaun Main
Fizaaaaon Main
Judaai Zaat Main Bher Lein
Chalo Ham Is Terha Ker Lain
Kisi Sunsaan Raste Ke
Kisi Bhi Morre Per Dono
Juda Ho Jayen Chupke Se
Na Tum Bolo Na Main Bolon
Hamare Bol Parney Se
Judayi Phhail Sakti Hai

 0 People liked it
0 Ratings


Aakhon ki zuban wo samajh nahi pate,honth hain magar kuch keh nahi pate,
apni bebasi kis tarah kahen, koi hai jinke bina hum reh nahi paathe.
Naam ki kya baat karte hoo, log chehre tak bhool jate hain.
tum samander ki baat karte hoon, log aankhon main doob jate hain..

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi Ansu Kabhi Khushi Bechi
Hum Garibon Ne Bebasi Bechi
Chand Sanse Hain Kharidne Ke Liye
Roz Marti Hui Zindgi Bechi
Stane Lage Mujhe Jb Mere Hi Saye
Preshan Hoke Maine Roshni Bechi
Ek Hum The Jo Khud Hi Bik Gaye
Vrna Logon Ne Dosti Bechi

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi Tou Miley Pehli,Mulaqat Ki Terha
Bigra Hi Rehta Hy Kyun,Halaat Ki Terha
Wo Ek Dost Jo Lagy,Jaan Say Pyara
Mujhy Waqt Tou Deta Hy,Magar Kheraat Ki Tarha

 0 People liked it
0 Ratings

Jab Jab Aapse Milne Ki Umeed Nazar Aayi
Mere Pairon Mein Zanjeer Nazar Aayi
Gir Pade Aansu Aankhon Se
Aur Har Aansu Mein Aapki Tasweer Nazar Aayi

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1951 - 1960 of 1962, Page 196 of 197 pages.