Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 221 - 230 of 1962, Page 23 of 197 pages.

Jee dhundhata hai ghar koi donon jahan se dur
is aapaki zamin se alag, aasman se dur
shayad main darakhur-e-nigah-e-garm bhi nahi
bijli tadap rahi hai mere aashiyan se dur
aankhen churake aapane afasana kar diya
jo hal tha zaban se qarib aur bayan se dur
ta arz-e-shauq mein na rahe bandagi ke lag
ik sajda chahata hun teri aastan se dur
hai mana rah-e-ishq mein dair-o-haram ka hosh
yani kahan se pas hai manzil, kahan se dur

 0 People liked it
0 Ratings

Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai
Uske Zulafo Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Jaise Din Dhalte Hi Chhayi Andhyari Hai
Ho Chali Hai Pawan Bhi Pagal
Uski Zulaf Lehar-2 Leharaayi Hai
Aankhein Uski Ya Mehkashi K Pyaale
Dekhkar Hi Hum Pe Khumari Si Chhayi Hai
Honth Kahu Ya Phoolo Ki Paankhein
Jiski Khushboo Ne Hamari Saaso Ko Mehkayi Hai
Abar Kahu Uske Gaalo Ko Main
Dhoodh Se Jaise Wo Nahayi Hai
Chand Kahu Fir Bhi Kam Hoga
Aasma K Nakshtro Mein Wo Hi Jag-Magayi Hai
Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Woh Samnee Aayee To Nazroon Ko Jhukaa Lon Ga
Dekhon Ga Nahee Phir Bhi Tasveer Bana Loon Ga
Aana Hai To Aajao Ruswayee Nahee Ho Giii
Dekhee Ga Nahee Koi Palkon Men Chupaa Lon Ga
Jo Hum Per Guzarni Hai Aik Baar Guzer Jayeee
Her Ghum Ki Tarha Tugh Ko Seene Se Laga Loon Ga
Veeran Ger Dil Ho Aankhon Men Andheera Ho
Yaadon Ke Dyiee Apni Palkon Men Saja Lon Ga
Manzoor Ger Ho Gi Ruswai Teri Mugh Ko
Men Beth Sahil Se Tofan Uthaa Lon Ga
Naraaz Ger Woh Hain Meree Nasheman Se
Men Nasheman Ke Tinkoon Ko Hata Doon Ga
Kyoun Mugh Se Khafaa Ho Ker Woh Door Gayee
Bahoon Men Woh Aajayeen Men Un Ko Mana Loon Ga

 0 People liked it
0 Ratings

Us Se Poochna To Hai
Kia Silla Wfaon Ka
Hai Yehi K Din Aur Raat
Us Ko Sochtya Rahna
Khud Ko Khojtay Rahna
Us Se Poochna To Hai
Kia Yehi Mohabbat Hai
Us K Hi Khwabon Se
Apni Dua’n Ko
Khud Hi Beasar Karma
Khud Ko Besamar Karma
Us Se Poochna To Hai
Zindagi Yehi Hai Kia
Us Ka Saath Ho Aur Bus
Darmian Koi Na Ho
Dil Ho Wahamon K Beech
Raazdaan Koi Na Ho
Us Se Poochna To Hai
Us K Baad Bhi Kaise
Din Ye Kyun Nikalta Hai
Raat Kyun Ye Dhalti Hai
Umar Bhi To Chalti Hai
Saans Kaise Chalti Hai
Us Se Poochna To Hai
Khud Bhi Sochna To Hai

 0 People liked it
0 Ratings


Aashaon ke Zokhim me jeena hume aata nahi ..
toot jaye jo, vo gharaunda main banata nahi ..
chhod de tanha zindagi me hume koi ..
aisa pyaar kisi ke dil me , main jagata nahi.!

 0 People liked it
0 Ratings

Waade Pe Woh Mere Aitbaar Nahi Karte
Hum Zikare Mohabbat Ka Saare-Bazaar Nahi Karte
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se
Aur Woh Soachte Hai Ki Hum Unse Pyaar Nahi Karte

 0 People liked it
0 Ratings

Dukh Dard Kay Maroon Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jaon To Yaroon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Zabt Na Kar Paen Gay Ankho Kay Samander
Tum Rah Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna
Pholon Kay Nashaiman May Raha Hoon May Sada Say
Daikho Kabhi Kharon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Meray Hal May Bay Sakhta Na Ro Dain
Is Bar Bharoon Say Mera Zikar Na Karna
Shayad Yai Andhaira Hi Mujhay Rah Dikhay
Tum Chand Sitaroon Say Mera Zikar Na Karna
Kaheen Woh Meri Kahani Ko Ghalt Rang Na Dai Dain
Afsana Nigaroon Say Mera Zikar Na Karna
Gehrahi May Layjain Gay Tum Ko Bhi Baha Ker
Darya Kay Kinaroon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Shaks Melay To Usay Her Bat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikar Na Karna

 0 People liked it
0 Ratings

Wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahe
hum un ka intakhab-e-nazar dekhte rahe
daman bachake ashkon se wo to nikal gaye
hum der tak zamin par guhar dekhte rahe
hum beniyaz baithe huye un ke bazm mein
auron ke bandagi ka asar dekhte rahe
aayi sahar to aur bada bijaliyon ka zor
shab bhar hum intezar-e-sahar dekhte rahe
sholon ke zad par sabhi the, kis ko pukarate
har simt khirmanon mein sharar dekhte rahe
kyonkar sanbhalate hamen wo nakhuda jo khud
sahil ke aafiyat se bhanvar dekhte rahe
manzil ke dhun mein aabalapa chal khade huye
aur shah-savar gard-e-safar dekhte rahe

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 221 - 230 of 1962, Page 23 of 197 pages.