Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 261 - 270 of 1962, Page 27 of 197 pages.

Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo
Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo
Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo
Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo
Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo

 0 People liked it
0 Ratings


Humne kii e te pyar koni..
Kii e ne hum te pyar Koni..
Mharii Jindgi to isii hogi..
Janoo bhaisaa ki khor mai Nyar Koni.
Subah sham thari ghani yaad aawe se,
Sari raat manne jagawe se,
Karne ko kar lu call tanne,
Per customer care ki wa chori bar bar balance low batawe se!

 0 People liked it
0 Ratings

Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya Hai
Khwabon Mein Bhi Aa Aa Kar, Neendon Ko Churaya Hai
Aangan Mein Yeh Khushbu Ka, Jhonka Sa Jo Aaya Hai
Woh Aane Hi Wala Hai, Mausam Ne Bataya Hai
Tasveer Bani Baithi, Suntii Hi Chali Jaoon
Us Shokh Ki Baaton Ne, Jaadoo Sa Jagaya Hai
Khamosh They Ham Phir Bhi, Kuchh Shor Huaa Aisaa
Dil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya Hai
Lo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi Gaya Aakhir
‘Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya Hai
Raston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate Hen
Hum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Taskin-e-dil-e-mahazu na hui wo sai-e-qaram farama bhi gaye
us sai-e-qaram ka kya kahiye bahala bhi gaye tadapa bhi gaye
ek arz-e-vafa bhi kar na sake kuch kah na sake kuch sun na sake
yahan hum ne zaban hi khole thi vahan aankh jhuki sharama bhi gaye
aashuftagi-e-vahashat ke qasam hairat ke qasam hasrat ke qasam
ab aap kahe kuch ya na kahe hum raz-e-tabassum pa bhi gaye
rudad-e-gam-e-ulfat un se hum kya kahate kyonkar kahate
ek harf na nikala hothon se aur aankh mein aansu aa bhi gaye
arbab-e-junun pe furkat mein ab kya kahiye kya kya guzra
aaye the savad-e-ulfat mein kuch kho bhi gaye kuch pa bhi gaye
ye rang-e-bahar-e-alam hai kya fiqr hai tujh ko ae saqi
mahafil to teri suni na hui kuch uth bhi gaye kuch aa bhi gaye
is mahafil-e-kaif-o-masti mein is anjuman-e-irafani mein
sab jam-ba-kaf baithe rahe hum pi bhi gaye chhalaka bhi gaye

 0 People liked it
0 Ratings

Holi Mein Bhedon Ko Meetane Ka Sar Hai
Holi Dushmano Ko Gale Lagane Ka Tyohar Hai
Holi Na Khele Jo Insaan
Unki Jeevan Mein Haar Hai.
*** Happy Holi ***

 0 People liked it
0 Ratings

Dukh dard ke saugat hai duniya teri kya hai
ashkon se bhari raat hai duniya teri kya hai
kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain
tarik si ik raat hai duniya teri kya hai
paband-e-mashiyat hai tanaffus bhi nazar bhi
ik jaziya-e-lamhat hai duniya teri kya hai
taqadir ke chehare ke shikan dekh raha hun
aaina-e-halat hai duniya teri kya hai
majaruh-e-taqaddus hai taqaddus ke haqiqat
rudad-e-kharabat hai duniya teri kya hai
“sagar” mein chalakate hain samavat ke isarar
saqi ke karamat hai duniya teri kya hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Message: Chale wo kadam kadam jo sath mere,
To uske saath se pyaar ho jaye
Thame wo pyaar se jo haath mera ,
to apne haath se pyaar ho jaye
jis raaat aaye khwabo me wo us suhani raat se pyaar ho jaye
jis baat me aaye jikr uska
to usi baat se pyaar ho jaye
jab pukare pyaar se wo mera naam
to apne naam se hi pyaar ho jaye
hota hai itna khubsurat ye pyar agar
TO KAASH USE BHI MERE PYAAR SE PYAAR HO JAYE!!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Kaun Kehta Hai Khamoshiya Kamosh Hoti Hai,
Khamoshiyo Ko Khamoshi Se Suno,
Kabhi-Kabhi Khamoshiya Vo Keh Deti Hai,
Jinki Aapko Lafzo Mein Talash Hoti Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 261 - 270 of 1962, Page 27 of 197 pages.