Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 21 - 30 of 1962, Page 3 of 197 pages.

Sehmi Si Nigaho Mein Khwab Hum Jaga Denge
Sooni In Raho Pe Phool Hum Khila Denge
Humare Sang Muskura Ke To Dekhiye
Hum Aap Ka Har Gum Bhula Denge

 0 People liked it
0 Ratings

Madhosh Ho Rahi Hai Aaj Dheere Dheere Shaam
Oo Honton Pe Hai Ghadi Mere Hai Bas Tera Naam
Kyun Bekaraari Ka Aalam Hai Yeh Puchho Na
Dil Ko Samjhaane Mein Ho Kyun Naakaam
Madhosh Ho Rahi Hai Aaj Dheere Dheere Shaam
Oo Honton Pe Hai Ghadi Mere Hai Bas Tera Naam

Mehaki Huyi Saansein Meri, Khili Khili Baahein Meri
Kahati Hai Jo Kah Na Paau
Ho Aankhon Mein Hi Padhlo Tum, Chaahu Main Kya Mere Sanam
Tumhe Aur Kya Main Bata Du Kehana Jaruri Toh Nahi Hai
Hmm Madhosh Ho Rahi Hai Aaj Dheere Dheere Shaam
Honton Pe Hai Ghadi Mere Hai Bas Tera Naam
Larajte Taraste Hont Tere Maange Mujhe, Mere Pyaar Ki Ek Nishaani
Mere Liye Dil Mein Tere Jaage Hai Jo Armaan Naye, Badali Meri Jindagaani
Kehtaa Hoon Main Aaj Tumse, Baahon Mein Aa Jaao Na
Madhosh Ho Rahi Hai Aaj (Dheere Dheere Shaam)

 0 People liked it
0 Ratings

Suhani Sham Aur Chandni Raaten
Jharno Ka Paani,Barsaat Ka Mausam
Tere Bin Jalwagaar Na The
Tez Dhoop Aur Garam Hawayen
Aankh Ka Paani,Ghamon Ka Mausam
Ye Sach Hai ,Tere Sang Asardaar Na The.

 0 People liked it
0 Ratings

Mein Hoon Khud Sir To Talabgar Ana Tum Bhi Ho
Mein Ho Mushkil Me , Sir-E-Dar Ana Tum Bhi Ho
Ab Garezaa Hai Har Ek Soch Se Ye Zehan Mera
Ajnabi Khauf Se Bezar-E-Ana Tum Bhi Ho

 0 People liked it
0 Ratings

Muskurana Sari Mahfil Ki Zaroorat Ho Gaya…
Aap Kya Aaye Ki Sab Kuch Khoobsurat Ho Gaya…

 0 People liked it
0 Ratings

Us ko mera halka sa ehsaas to hai
be-dard sahi woh meri humraaz to hai,
woh aaye na aaye mere paas lekin,
shiddat se mujhe uska intezar to hai,
abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi,
mere dil mein usse milan ki aas to hai,
pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang
barasti nahi aankhien magar dil udaas to hai

 0 People liked it
0 Ratings


May the occasion of Vasant Panchami,
Bring the wealth of knowledge to U,
May U be blessed by Goddess Saraswati
& All Ur Wishes Come True.
`
Sahas Sheel Hriday Men Bhar De,
Jeevan Tyag Tapomar Kar De,
Sanyam Satya Sneh Ka Var De,
Maa Sarswati Aapke Jivan MeinUllas Bhar De…
`
Aayi jhoom ke basant, Jhoomo sang sang me
Aaj rang lo dilo ko ik rang me
Happy Basant Panchami.
`
Saraswathi Namasthubhyam,
Varadey Kaamarupinee!
Vidhyarambham Karishyami,
Sidhir bhavathu mey sada !
Happy Saraswati Jayanti
`
May Goddess Saraswati,
Who is fair like the jasmine-colored moon,
Who is surrounded & respected by the Gods,
Protect You. May she fully remove Ur
Lethargy, Sluggishness, & Ignorance.
& Brighten Ur life wid Knowledge.

 0 People liked it
0 Ratings

Kab Thi Raah Mein Teri, Fikre Beshikam Maula
Har Qadam Tha Wirde Zubaan, Dam Hamadam Dam Maula
Kab Hamare Bas Mein Thi Baria Bhi Is Dar Ki
Aap Ne Bulaya To Aa Gaye Hain Hum Maula
Jeeteji Na Bhulega Humko Tera Dastarkhan
Nematein Do Aalam Ki Thi Jaha Baham Maula
Tere Mehe Maabankar Chumkar Tera Sang-e-Dar
Ho Gaye Hain Dunya Mein Hum Bhi Mohtaram Maula
Aap Jisse Raazi Hon Wo Khushi Ataa Keeje
Aur Bajuz Gham-e-Sarwar Ho Na Koi Gham Maula
Ab Koi Nahin Jachta Shehriar O Takht O Taaj
Jabse Hain Nighaahon Mein Aap Ka Hasham Maula
Lag Raha Hai Yun Mujhko Jayse Mil Gayi Meraj
Jab Se Choom Aaya Hoon Aap Ke Qadam Maula
Raah Agar Che Mushkil Thi Aur Safar Musalsal Tha
Aake Tere Dar Pe Hue Phir Se Tere Dam Maula
Aap Ke Siwa Maula Kaun Usko Samjhega
Haal Jo Suna Ayi Mere Chashm-e-Nam Maula
Jaanta Hai Khoob Usko Sibte Jafare Khushdo
Hai Ye Sher Goyi Bhi Aap Ka Karam Maula

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 21 - 30 of 1962, Page 3 of 197 pages.