Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 31 - 40 of 1962, Page 4 of 197 pages.

Gharoor-e-husn serapa nayaz ho tera
Taweel raaton mein tu bhe qarar ko tersay
Teri nigah kisi gham gusaar ko tersay
Khizaan raseedah tamanna bahar ko tersay
Koi jabeen na teray sunnat-e-aastaan pe jhukay
Keh Jins-e-izz-o-aqeedat se tujh ko shaad keray
Fareb-e-wadah farda pe aitemaad keray
Khuda woh waqt na laye keh tujh ko yaad aye
Woh dil keh teray liye beqarar ab bhe hai
Woh aankh jis ko tera intezaar ab bhe hai

 0 People liked it
0 Ratings

Kisane wada kiya hai aane ka
husn dekho garib khane ka
ruh ko aaina dikhate hain
dar-o-divar muskurate hain
aj ghar, ghar bana hai pahali bar
dil mein hai khush saliqagi bedar
jama saman hai aish-o-ishrat ka
khauf dil mein fareb-e-qismet ka
soz-e-qalb-e-kalim aankon mein
ashk-e-ummid-o-bim aankhon mein
chashm-bar-rah-e-shauq ke mare
chand ke intazar mein tare
Poet of the poem or ghazal or nazam is Josh Malihabadi

 0 People liked it
0 Ratings

Duniya jise kahate hain jadu ka khilona hai
mil jaye to matti hai kho jaye to sona hai
acha sa koi mausam tanaha sa koi aalam
har waqt aa rona to bekar ka rona hai
barsat ka badal to divana hai kya jane
kis rah se bachana hai kis chat ko bhigona hai
gham ho ki khushi donon kuch der ke sathi hain
phir rasta hi rasta hai hansana hai na rona hai

 0 People liked it
0 Ratings

Wo bhi kya log the aasan thi rahen jin ke
band aankhen kiye ik simt chale jate the
aql-o-dil khvab-o-haqiqat ke na uljhan na khalish
mukhtalif jalve nigahon ko na bahalate the
ishq sada bhi tha bekhud bhi jununpesha bhi
husn ko apni adaon pe hijab aata tha
phul khilate the to phoolon mein nasha hota tha
raat dhalati thi to shishon pe shabab aata tha
chandani kaifasar ruhafza hoti thi
abr aata tha to badmast bhi ho jate the
din mein shorish bhi hua karati thi hangame bhi
raat ke god mein muh dhanp ke so jate the
narm rau waqt ke dhare pe safine the ravan
sahil-o-bahr ke aain na badalate the kabhi
nakhudaon pe bharosa tha muqaddar pe yaqin
chadar-e-ab se tufan na ubalate the kabhi
hum ke tufanon ke pale bhi sataye bhi hain
barq-o-baran mein wo hi shamen jalayen kaise
ye jo aatishkada duniya mein bhadak uttha hai
aansuon se use har bar bujhayen kaise
kar diya barq-o-bukharat ne mahashar barpa
apne daftar mein litafat ke siva kuch bhi nahi
ghir gaye waqt ke beraham kashakash mein magar
pas tahazib ke daulat ke siva kuch bhi nahi
ye andhera ye talatum ye hawaon ka kharosh
is mein taron ke subuk narm ziya kya karati
talkhi-e-zist se kadava hua aashiq ka mizaj
nigah-e-yar ke masum ada kya karati
safar aasan tha to manzil bhi badi raushan thi
aj kis darja purasarar hain rahen apni
kitni parachaiyan aati hain tajalli ban kar
kitne jalvon se ulajhati hain nigahen apni

 0 People liked it
0 Ratings

Apnay Bister Per Bohat Der Se Main Neem Daraz
Sochti Hon K Is Waqt Who Kahan Ho Ga
Mai Yahan Hon Magar Is Koocha-E-Rango-Bo Main
Roz Ki Tarah Who Aaj Bhi Aya Ho Ga
Aur Jub Us Nai Wahan Mujh Ko Na Paya Ho Ga
Aap Ko Maloom Hai Who Aaj Nahi Ayi Hain
Meri Her Dost Se Us Nai Yehi Poocha Ho Ga
Chalte Chalet Koi Manoos Si Ahat Pa Ker
Dosto Ko Bhi Kisi Uzr Se Roka Ho Ga
Rahdari Mai Haray Lawn Main Phoolon K Qareeb
Us Nai Her Simt Mujhay Aan Kar Dhoonda Ho Ga
Jub Mili Ho Gi Use Meri Halat Ki Khabar
Us Ne Ahista Se Deewar Ko Thama Ho Ga
Yad Kar K Mujhay Nam Ho Gain Hon Gi Palkain
Ankh Main Par Gaya Kuch! Keh Kar Tala Ho Ga
Or Ghabra Kar Kitabon Main Jo Li Ho Gi Panah
Her Sitr Main Mera Chehra Ubher Aya Ho Ga
Ittefaqan Mujhay Us Sham Meri Dost Mili
Mai Nai Poocha Suno Aye Thay Who Kaisay Thay?
Mujhay Poocha Tha?Mujhay Dekha Tha, Choro Janab!
Us Nai Aik Lamhe Ko Dekha Mujhay Or Hans Di
Is Hansi Main Tu Who Talkhi Thi K Is Se Agay
Kia Kaha Us Nai Mujhay Yad Nahi Bus
Bus Itna Maloom Hai K
KHOABOON KA BHARAM TOOT GAYA!!

 0 People liked it
0 Ratings

Duniya mein hun duniya ka talabgar nahi hun
bazar se guzra hun kharidar nahi hun
zinda hun magar zist ke lazzat nahi baqi
har chand ki hun hosh mein hoshiyar nahi hun
is khana-e-hasti se guzar jaunga belaus
saya hun faqat naqsh-e-divar nahi hun
afasurda hun ibarat se dawa ke nahi hajat
gham ka mujhe ye zauf hai bimar nahi hun
wo gul hun khizan ne jise barbad kiya hai
uljhun kisi daman se main wo khar nahi hun
yarab mujhe mahafus rakh us but ke sitam se
main us ke inayat ka talabgar nahi hun
afasurdagi-o-jaur ke kuch had nahi “akbar”
kafir ke muqabil mein bhi dindar nahi hun

 1 People liked it
0 Ratings

Bikhre Risto Ko Koi Roop Dedo,
Khilte Foolo Ko Thodi Dhoop Dedo,
Aapki Yaad Aayi Ha To Sms Kiya Hamne,
Aap B Hamari Yaad Aane Ka Koi Saboot Dedo

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Kya Kya Rang Dikhati Hai
Kabhi Hasati Hai To Kabhi Rulati Hai
Is Zindagi Ka Bharosa Mat Karna
Kuch Deti Hai Lekin Bahot Kuch Chheen Bhi Leti Hai.

 2 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 31 - 40 of 1962, Page 4 of 197 pages.