Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 401 - 410 of 1962, Page 41 of 197 pages.

Wo Roya To Bohat ,Per Mjse Mo Mor K Roya
Koi Majburi Hogi Jo Dil Tor K Roya
Mere Samny Kiye Meri Tasvir K Tukry
Pata Chala Meri Pechy Wo Unhe Jor K Roya

 0 People liked it
0 Ratings

Mujhase bichad ke khush rehte ho
meri tarah tum bhi jhuthe ho
ik tahani par chand tika tha
main ye samajha tum baithe ho
ujale ujale phul khile the
bilkul jaise tum hanste ho
mujh ko sham bata deti hai
tum kaise kapade pahane ho
tum tanaha duniya se ladoge
bachon si baten karte ho

 0 People liked it
0 Ratings

Besan Ki Sondhi Roti Per Khatti Chatni Jaisi Maa
Yaad Aata Hai Chauka-Baasan, Chimta, Fukani Jaisi Maa

Baan Ki Khurri Khaat Ke Uper Har Aahat Per Kaan Dhare
Aadhi Soyi Aadhi Jaagi Thaki Duphari Jaisi Maa

Chidiyon Ki Chehkar Mein Goonje Radha Mohan, Ali-Ali
Murgey Ki Aawaz Se Khulti, Ghar Ki Kundi Jaisi Maa

Biwi, Beti, Behan, Padoshan Thodi Thodi Si Sab Mein
Dinbhar Ik Rassi Ke Uper Chalti Natni Jaisi Maa

Baant Ke Apna Chehra, Matha, Aankhein Jaane Kahan Gayi
Fatey-Purane Ik Album Mein Chanchal Ladki Jaisi Maa

 0 People liked it
0 Ratings

Aye Waqt Gawahi De,
Hum Log Na They Esay,
Hein Jese Nazar Aatay,
Aye Waqt Gawahi De,
Hum Log Na They Esay,
Yeh Shehar Na They Esay,
Yeh Log Na They Esay,
Deewar Na They Rastay,
Zindaan Na Thee Basti,
Aazad Na They Rishtay,
Aashob Na Thee Hasti,
Yoon Maut Na Thee Sasti,
Yeh Aaj Jo Surat He,
Haalaat Na They Esay,
Yoon Ghair Na They Mausam,
Din Raat Na They Esay,
Tafreeq Na Thee Esi,
Sanjog Na They Esay,
Aye Waqt Gawahi De,
Hum Log Na They Esay

 0 People liked it
0 Ratings

Ya rab! gam-e-hijran mein itna to kiya hota
jo hath jigar pe hai wo dast-e-dua hota
ik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota
gairon se kaha tum ne gairon se suna tum ne
kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota
umeed to bandh jati taskin to ho jati
wada na wafa karte wada to kiya hota
nakam-e-tamanna dil is soch mein rehta hai
yun hota to kya hota yun hota to kya hota

 0 People liked it
0 Ratings

Katil Gunah Karke Zamane Main Reh Gaye,
Ek Hum the Ke Asq Bahane Main Reh Gaye,
Patharon Ka Jawab De Sakte The Lekin,
Hum Dil Ke Aiane Ko Bachne Mian Reh Gaye.

 0 People liked it
0 Ratings


Har pal roti hai aankhein meri,
Ki ashkon ko abhi tham jane do.
Ab to din ke ujale se bhi dar lagta hai,
Mujhe rat ke andhere me kho jane do.

 0 People liked it
0 Ratings

Chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
teri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhale
teri zulfen in kandhon par tera chehara hathon mein
main ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhale
har din hum se wada karake yun hi agar tadapaoge
ik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhale
din ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lun
lekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale
Poet of the poem or ghazal or nazam is Hasan Imam

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 401 - 410 of 1962, Page 41 of 197 pages.