Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 451 - 460 of 1962, Page 46 of 197 pages.

Sukoon Bhi Kharab Hua, Nend Bhi Hay Kam Kam Phir
Qareeb Aane Laga Wo, Dooriyon Ka Mosam Phir
Wo Narm Lehje Main Kuch Kehla Raha Hay Phir Mujh Say
Chirra Hay Piyar K Komal, Suron Main Asli Madham Phir
Tujhe Manaon K Apni Anaa Ki Baat Sunoo
Ulajh Raha Hay Mere Feslon Ka Resham Phir
Na Uski Baat Main Smjhun, Na Wo Meri Ye Nazren
Muamilaat E Zabaan Ek Bar Ho Chalay Hen Mub'ham Phir
Wo Aik Lamha K Jab Saaray, Rang Aik Say Hoe
Kisi Bahar Ne Kabhi Dekha Na Aisa Sangam Phir
Buht Azeez Hen Aankhen, Meri Us Ko Lekin
Wo Jatay Jatay Holay Say, Unhen Kar Gaya Hay Purnam Phir
Sukoon Bhi Kharab Hua, Nend Bhi Hay Kam Kam Phir
Qareeb Aane Laga Wo, Dooriyon Ka Mosam Phir

 0 People liked it
0 Ratings

Teri Har Suba Muskurati Rahe
Teri Har Shaam Gungunati Rahe
Tu Jise Bhi Mile Iss Tarah Se Mile Ki
Har Milne Wale Ko Teri Yaad Satati Rahe

 0 People liked it
0 Ratings


Ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath
Tum magar andheron mein na chhodna mera haath
Ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath
Tum magar andheron mein na chhodna mera haath — Jurm (old)

 0 People liked it
0 Ratings

Tere qarib rahun ya ki dur jaun main
hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chahun main
main janata hun wo rakhta hai chahaten kitni
magar ye baat use kis tarah bataun main
jo chup raha to samajhega badguman mujhe
bura bhala hi sahi kuch to bol aaun main
phir is ke bad ta'alluq mein fasale honge
mujhe sanbhal ke rakhna bichad na jaun main
muhabbaton ke parakh ka yahi to rasta hai
teri talash mein nikalun tujhe na paun main

 0 People liked it
0 Ratings

Aapse Door Hokar Hum Jayenge Kahan,
Aap Jaisa Yaar Hum Phir Payenge Kahan,
Dil Ko To Kaise Bhi Samjha Hi Lenge,
Par In Aankhon Ke Aansuon Ko Chupayenge Kahan.!

 0 People liked it
0 Ratings

Ghazal Ko Maa Ki Tarah Baavkaar Karta Hoon
Main Mamta Ke Katoron Mein Dhoodh Bharta Hoon

Ye Dekh, Hizr Tera Kitna Khoobsoorat Hai
Ajeeb Mard Hoon, Solah-Singar Karta Hoon

Badan Samet Ke Le Jaaye Jaise Shaam Ki Dhoop
Tumhare Shehar Se Main Is Tarah Guzrata Hoon

Tamaam Din Ka Safar Karke Roz Shaam Ke Baad
Pahadiyon Se Ghiri Kabr Mein Utrata Hoon

Mujhe Sukoon Ghane Junglon Mein Milta Hai
Main Raaston Se Nahi Manzilon Se Darta Hoon

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Main Kuch Paya Or Kuch Koya
Lakin Tuje Kona Nhi Chahtha Maa
Zindagi Na Kabhi Hasaya Or Kabhi Rulaya
Lakin Tuje Rulana Nhi Chahtha Maa
Yaad Athi Hai Uhoht Tere Bachpan Ki Wo Lory
Isi Liye Tere Ghod K Ilawa Kahin Or Sona Nhi Chahtha Maa
Kithna Danta Tha Tune Bachpan Main
Ab Q Nhi Dandthi Tu Muja Maa
Kesa Zinda Reh Paonga Main Tere Baghair
Kabhi Fursat Mile Muja Tu Ye Tho Batha Maa
Kiya Hoon Main Tere Dil Main Ab Thak?
Kabhi Tho Dhek Mere Dil Ko Cheer K Apne Aap Ko Maa
Zindagi Tu Na Tho Meri Roshan Kar Di
Lakin Khud Kiss Andhera Main Ko Gayi Tu Maa
Kabhi Tho Kila Muja Apne Hath Ki Roti
Aaj Kal Bhuk Bohoth Lagthi Hai Muja Maa
Kahaan Ho Tum, A Kar Lagalo Gale Iss Bebas PRINCE Ko
Na Jane Kis Kash Main Nikal Jaye Meri Saans Maa

 0 People liked it
0 Ratings

Had-e-nigah tak ye zamin hai siyah phir
nikali hai juganuon ke bhatakati sipah phir
honton pe aa raha hai koi naam bar bar
sannaton ke tilism ko todegi aah phir
pichale safar ke gard ko daman se jhad do
aavaz de rahi hai koi suni rah phir
berang aasman ko dekhegi kab talak
manzar naya talash karegi nigah phir
dhili hui giraft junun ke ke jal utha
taq-e-havas mein koi charag-e-gunah phir.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 451 - 460 of 1962, Page 46 of 197 pages.