Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 41 - 50 of 1962, Page 5 of 197 pages.

Tujhe Ansu Bhari Wo Dua Miley
Jisey Kabhi Na Rad Khuda Karey
Tujhey Hasrat Na Rahe Kabhi Jannat Ki
Tere Aangan Me Muhabbaton Ki Aisi Hawa Chale

 0 People liked it
0 Ratings

Gul Ne Gulshan Se Gulfam Bheja Hai
Sitaro Ne Aasman Se Salaam Bheja Hai
Mubaraq Ho Aapko Holi Ka Tyohar
Humne Dil Se Yeh Paigam Bheja Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko

 0 People liked it
0 Ratings

Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua
abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shakh-e-gul pe jhuka hua
jise le gai hai abhi hawa wo varaq tha dil ke kitab ka
kaheen aansuon se mita hua kaheen aansuon se likha hua
kai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gai
koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua
mujhe hadason se saja saja ke bahut hasin bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehandiyon se racha hua
wohi khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honton ke chand the
kisi bhule-bisare se taq par tah-e-gard hoga daba hua
vahii shahar hai wohi raste wohi ghar hai aur wohi lan bhi
magar us dariche se puchana wo darakht anar ka kya hua
mere sath jugnu hai hamsafar magar is sharar ke bisat kya
ye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua

 0 People liked it
0 Ratings

Ke wafa hum se to gair use jafa kahate hain
hoti aayi hai ke achon ko bura kahate hain
aj hum apni pareshani-e-khatir un se
kahane jate to hain, par dekhiye kya kahate hain
agale vaqton ke hain ye log, inhen kuch na kaho
jo may-o-nagmen ko andoharuba kahate hain
dil mein aa jae hai, hoti hai jo fursat gash se
aur phir kon se nale ko rasa kahate hain?
hai par-e-sarahad-e-idarak se apna masjud
qible ko, ahal-e-nazar, qiblanuma kahate hain
pa-e-afagar pe jab se tujhe raham aaya hai
khar-e-rah ko tere hum mehr-e-giya kahate hain
ik sharar dil mein hai, us se koi ghabarayega kya
aag matalub hai hamako, jo hawa kahate hain
dekhiye lati hai us shokh ke nakhvat kya rang
us ke har baat pe hum nam-e-khuda kahate hain
vahashat-o-shefta ab marsiya kahaven shayad
mar gaya “ghalib”-e-ashuftanava kahate hain

 0 People liked it
0 Ratings

Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon
Sochta Hoon K Mohabbat Hay Junoo.N -E Ruswa
Chand Be-Kaar Sey Be-Hooda Khayaloo.N Ka Hojoom
Aik Aazad Ko Paband Banan'ey Ki Hawis
Aik Begaaney Ko Apnaney Ki Sa'ai-E Mohoom
Sochta Hoon K Mohabbat Hay Sar–R-E Masti
Is Ki Tanweer Main Roshan Hay Fizaa-E Hasti
Sochta Hon K Mohabbat Hay Bashar Ki Fitrat
Iska Mit Jana, Mita Dena Bohat Mushkil Hay
Sochta Hoon K Mohabbat Sey Hay Tabindah Hayyat
Aap Ye Shama Bujha Dena Bohat Mushkil Hay
Sochta Hoon K Mohabbat Pe Kari Shartain Hain
Ik Tamad'dun Main Mussarrat Pe Kari Shartain Hain
Sochta Hoon K Mohabbat Hay Ik Afsurda Si Laash
Chadaar-E Izzat-O Namoos Main Kafnaai Hoii
Door-E Sarmaya Ki Rondhi Hoi Ruswa Husti
Dargaah-E Mazhub-O Ikhlaaq Sey Thukraai Hoi
Sochta Hoon K Bash'r Aur Mohabbat Ka Junoo.N
Aisi Boseeda Tamaddun Sey Hay Ik Kaar-E Zaboo.N
Sochta Hoon K Mohabbat Na Bachey Gi Zinda
Paish Az Waqt Ki Sar Jaay Gi Galti Hoi Laash
Yehi Behter Hay K Begana-E Ulfat Ho Kar
Apney Seeney Main Karoo.N Jazba-E Nafrat Ki Talaash
Aur Soda-E Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begaana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon
Sahir Ludhyaanvi

 0 People liked it
0 Ratings

Tu Sirf Tu Hai Tujh Jaisa Koi Nahin
Jo Samajh Sake Tujhe Aisa Koi Nahin
Yun To Shehar Me Bheed He Bahut
Do Kadam Saath Chale Aisa Koi Nahin
Waqt Ka Taqaza He Ya Shehare Tehzeeb
Doston Ke Beech Bhi Yha Saafgoi Nahin
Har Haal Me Jo Lehlahati Rahe
Aisi Fasal To Hamne Baarha Boi Nahin
Kise Sunaye Aaj Wo Gayan Geeta Ka
Aadmion Ke Jangle Me Arjun Sa Koi Nahin.

 0 People liked it
0 Ratings

Dil Se Teree Nigaah Jigar Tak Utar Gayee
Donon Ko Ik Adaa Mein Razaamand Kar Gayee
Farda-O-Dee'n Ka Tafarqa Yak Baar Mit Gaya
Kal Tum Gaye Ke Ham Pe Qayaamat Guzar Gayee
Maara Zamaane Ne ‘Asadullah Khaa'n' Tumhe
Woh Walwale Kahaan, Woh Jawaanee Kidhar Gayee ?

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 41 - 50 of 1962, Page 5 of 197 pages.