Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 491 - 500 of 1962, Page 50 of 197 pages.

Sau bar chaman mahaka sau bar bahar aayi
duniya ke wohi raunaq dil ke wohi tanhai
har dard-e-muhabbat se ulajha hai gam-e-hasti
kya kya hamen yaad aaya jab yaad teri aayi
dekhe hain bahut hum ne hangame muhabbat ke
aagaz bhi ruswai anjam bhi ruswai
ye bazm-e-muhabbat hai is bazm-e-muhabbat mein
divane bhi saudai farzane bhi saudai

 0 People liked it
0 Ratings

Jo Idhar Se Jaa Raha Hai Vahi Mujh Pe Meharbaan Hai
Kabhi Aag Paasbaan Hai, Kabhi Dhoop Paasbaan Hai

Badi Aarjoo Thi Mujhse Koi Khaak Roke Kehti
Utar Aa Meri Zameen Per Tu Hi Mera Aasmaan Hai

Main Isi Gumaan Mein Barson, Bada Mutmaeen Raha Hoon
Tera Jism Beitgeer, Mera Pyar Jawidan Hai

Kabhi Soorkh Momi Shamayein Wahan Fir Se Jal Sakengi
Voh Lakhvari Einton Ka Jo Bada Sa Ik Makaan Hai

Koi Aag Jaise Kohre Mein Dabi-Dabi Si Chamke
Teri Jhilmilati Aakhon Mein Ajeeb Sa Samaa Hai

Unhi Raaston Ne Jin Per Kabhi Tum The Saath Mere
Mujhe Rok-Rok Puchha Tera Humsafar Kahan Hai

 0 People liked it
0 Ratings


Kaise bayan karoon dil ka dard lafzon mein,
Ankhon ko hi sab kah jane do.
Ab saha nahi jata judai ka dard,
Aab to zahar ko hi apnane do.

 0 People liked it
0 Ratings

Dil Me Bhi Wohi Hai Mere Dil Me Bhi Nahi Hai
Wo Shaks Jo Mera Bhi Hai Mera Bhi Nahi Hai
Kuch Ajeeb Hai Yeah Meri Andaz-E-Mohabbat
Panna Bhi Nahi Hai Ussay,Khona Bhi Nahi Hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Mere Lab Par To Rehta Hai Subho Masaa
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Banda Parvar Yahi Hai Wazeefa Mera
Ya Ali…
Kaam Aaya Hai Sabke Ajal Se Yahi
Aur Abad Tak Yahi Sabke Kaam Aayega
Hai Yahi Ibteda Aur Yahi Inteha
Ya Ali…
Aap Maanein Na Maanein Haqeeqat Hai Ye
Khud Asal Peshwaai Ko Aajaega
Dekhiye Kehke Is Baar Baadad Doa
Ya Ali…
Meri Baali Pe Jab Aaya Maula Mera
Na Zaki Mushkilein Kitni Aasaan Huin
Sar Ko Rakhkar Qadam Par Jo Maine Kaha
Ya Ali…
Wo Ohad Ho Ke Siffeen Ya Badr Ho
Abwo Khandaq Ho Khaibar Ho Ya Nahrwaan
Hai Ye Har Ek Maidaan Se Aati Sada
Ya Ali…
Hai Zamaana Mukhaalif To Hota Hai Kya
Mujhko Mutlaq Zamaane Ki Parwah Nahin
Saans Jab Tak Hai Baaqi Kahey Jaoonga
Ya Ali…
Baab-E-Janaat Pe Jis Waqt Dekha Mujhe
Raasta De Diya Hatke Rizwan Ne
Aapki Madha Ka Ye Mila Hai Sila
Ya Ali…
Meri Haalat Pe Bhi Rehm Farmaaiye
Mujhko Bhi Apne Rauze Pe Bulwaaiye
Mere Mushkil Kusha Mere Haajat Rawa
Ya Ali…
Vird Karne Laga Main Jo Naad-E-Ali
Bhool Baithe Farishte Jo Tha Poochhna
Wo Bhi Kehne Lage Main Bhi Kehne Laga
Ya Ali…
Jab Ye Poochha Gaya Iska Matlab Hai Kya
Kul Kafa Hal Ataa Innama La Fatah
Muskura Kar Ye Jawaaban Ye Maine Kaha
Ya Ali…
Aap Kya Hain Haqeeqat Hai Kya Aapki
Khud Masheeyat Ka Bhi Hai Ishaara Yahi
Mustafa Ko Bhi Mushkil Mein Bhi Kehna Parha
Ya Ali…
Aake Meri Lahad Mein Farishte Saeed
Kya Khabar Mujhse Kya Kar Rahey Thhey Sawal
Aadatan Main Jawaaban Ye Kehta Raha
Ya Ali…

 0 People liked it
0 Ratings

Haathon Mein Haath
Haathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi Karwan
Apni Zameen Hai, Apna Hai Aasman
Aaein Gay Ghum, Aayay Gi Khushi
Manzil Chahay, Mushkil Sahee
Aagay Barhoo
Haathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi Karwan
Apni Zameen Hai, Apna Hai Aasman

Aangan Aanagan Khushiyan Manaein
Apni Zameen Ko Milke Sajaein
Yehi Hai Dua
Haathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi Karwan
Apni Zameen Hai, Apna Hai Aasman
Wada Karo, Saath Chalain
Irada Karo, Saath Jeeain
Yunhi Sada
Haathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi Karwan
Apni Zameen Hai, Apna Hai Aasman
Veeran Rahain, Raushan Banaein
Bhatkay Huoon Ko, Rasta Dikhaein
Jeenay Ka
Haathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi Karwan
Apni Zameen Hai, Apna Hai Aasman

 0 People liked it
0 Ratings


Kya faida kisi ko chahne ka,
kya faida kisi ki yaadon mein aansu bahane ka…
Jo samjhe na kisi ke dil mein base pyaar ko,
kya faida uske pyaar ke liye dil ko tadpaane ka…
Chhote se dil ko milte gham bahot hai,
zindgi mein milte har pal zakhm bahot hai…
Maar hi dalti kabki yeh duniya,
kambakht kuch dosto ki duaon mein dum bahot hai…
Usne jo mera sath na diya,
shayad uski bhi koi majboori thi…
Bewafa to voh ho nahi sakte,
shayad meri mohabbat hi adhoori thi.

 0 People liked it
0 Ratings

Karun na yaad agar kis tarah bhulaun use
gazal bahana karun aur gungunaun use
wo khar-khar hai shakh-e-gulab ke manind
main zakhm-zakhm hun phir bhi gale lagaun use
ye log tazakare karte hain apne logon se
main kaise baat karun aur kahan se laun use
magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yaad kuch dilaun use
wohi jo daulat-e-dil hai wohi jo rahat-e-jan
tumhari baat pe ae nasiho ganvaun use
jo hamsafar sar-e-manzil bichad raha hai ‘faraz'
ajab nahi ki agar yaad bhi na aaun use

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 491 - 500 of 1962, Page 50 of 197 pages.