Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 501 - 510 of 1962, Page 51 of 197 pages.

Kisi Ko Apnay Aamal Ka Hasib Kiye Datay Hain
Sawal Saray Ghalat Thay Jawab Kiye Detay Hain

 0 People liked it
0 Ratings


Plz open ur eyes, so the Sun can rise, Flowers can blossom,Birds can sing, as all r waiting to see a beautiful SMILE in ur face & say Good Morning.
`
Utho aalsiyo aur Desh ka kuch bhala karo..jago.
achcha tum ho kya,.Sorry yaar tum to wapas so jao usi me Desh ka bhala hai.
`
Aanko me Khushi labo par hansi,gam ka kahin naam na ho,har SUBAH laye aapke liye itni Khushiya.jiski kabhi sham na ho.
`
Namskar- ye hamari ‘surya uday’ sms sewa hai,isme hum soe hue logo ko bewaqt jagate hai aur baad me good morning keh ke khud so jate hai.Good day.
`
Raat ne chadar samet li hai,Suraj ne kirne bikher di hai,chalo utho aur thanks karo apne Bhagwan ko.jisne hume ye Pyari si subah di hai. Good Morning
`
Har Nayi Subah Ka Naya Nazara,thandi Hawa Leke Aayi Paigaam Hamara.Jaago,Utho,Taiyaar Ho Jao,Khushiyo Se Bhara Rahe Aaj Ka Din Tumhara
`
khuda kare har raat chand banke aaye,har din nayi shan banke aaye,kabhi dur na ho aapke chahre se hansi,naya din aisa mehman banke aaye..Gud Day
`
Savere savere ho khushiyo ka mela,na logo ki parwah na duniya ka jhamela,Panchiyo ka sangit ho aur ho mausam alabla,mubarak ho aapko ye khusurat savera.Good Morning
`
Subah-Subah ek paigam dena hai,Apko subah ka pehla salam dena hai,Guzre sara din apka khushiyo me apkisubah ko khubsurat sa naam dena hai.very vert Good Morning
`
Subah k phool khil gaye, panchi apne safar pe ud gaye,suraj aate hi taare chhup gaye,kya tum bhi apni meethi neend se uth gaye..Good Morning.

 0 People liked it
0 Ratings

Dard Jitna Hai Meri Nigaho Me
Paoge Na Utna Kisi Ki Raho Me
Bitani Chahte The Zindagi Jiski Bahon Me
Maut B Na Mil Payi Unki Panah

 0 People liked it
0 Ratings

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi
Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi
Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi
Paison Ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi
Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Log Pyaar Dil Se Nahi Chehre Se Karte Hain
Wo Dil Pe Nahi Sunderta Pe Marte Hain
Hum Sunder Nahi Par Dil K Saaf Hain
Isliye Bahut Kam Log Hame Pasand Karte Hain…

 0 People liked it
0 Ratings

Dekhun Jo Teri Aankhon Ko Mera Har Sapna Jaag Jaaye
Sunoo Jo Teri Baaton Ko Kuch Jajba Bas Jaaye
Chahun Main Aur Kya Is Zindagi Se
Mangu Main Aur Kya Us Khuda Ki Roshni Se
Jo Maa Tujhse Itna Pyaar Mil Jaye.

 0 People liked it
0 Ratings

Shole hi sahi aag lagane ke liye aa
phir tur ke manzar ko dikhane ke liye aa
ye kis ne kaha hai meri taqadir bana de
aa apne hi hathon se mitane ke liye aa
ae dost mujhe gardish-e-halat ne ghera
tu zulf ke kamali mein chupane ke liye aa
divar hai duniya ise rahon se hata de
har rasm muhabbat ke mitane ke liye aa
matalab teri aamad se hai daraman se nahi
“hasrat” ke qasam dil hi dukhane ke liye aa

 0 People liked it
0 Ratings

Gesu-e- tabadar ko aur bhi tabadar kar
hosh-o-khirad shikar kar qalb-o-nazar shikar kar
tu hai mahit-e-bekaran main zara si aabaju
ya mujhe ham-kinar kar ya mujhe be-kinar kar
main hun sadaf to tere hath mere gohar ke aabaru
main hun khazaf to tu mujhe gauhar-e-shahawar kar
nagma-e-naubahar agar mere nasib mein na ho
is dam e nim soz ko tairak-e-bahar kar
ishq bhi ho hijab mein husn bhi ho hijab mein
ya tu khud aashakar ho ya mujh ko aashakar kar
bag-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyon
kar-e-jahan daraz hai ab mera intazar kar
roz-e-hisab jab pesh ho mera daftar-e-amal
aap bhi sharmasar ho, mujh ko bhi sharmsar kar
Poet of the poem or ghazal or Nazam is Allama Iqbal

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 501 - 510 of 1962, Page 51 of 197 pages.