Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 631 - 640 of 1962, Page 64 of 197 pages.

Mere Bistar Pe So Raha Hai Koi
Meri Ankhon Mein Jaagta Hai Koi

In Pahado Mein Rehte Hain Humzaad
Bol Kar Dekh Bolta Hai Koi

Aaj Main Jagoonga Ki Sote Hue
Meri Palko Ko Choomta Hai Koi

Mera Shaitan Mar Gaya Shayad
Mere Seene Pe So Raha Hai Koi

Rang Ye Bhi Bahut Purana Hai
Sochta Koi, Bolta Hai Koi

Saath Pardon Mein Chup Ke Dekh Liya
Kapde Badlo To Dekhta Hai Koi

 0 People liked it
0 Ratings

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi
Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi
Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi
Paison Ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi
Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi

 0 People liked it
0 Ratings


Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De
phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai
aise mausam mein hi to pyaar javaan hota hai
dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
ye fasaana to nigaahon se bayaan hota hai

 0 People liked it
0 Ratings

Na Jee Bhar Ke Dekha, Na Kuch Baat Ki
Badi Arzoo Thi Mulaqat Ki

Ujalon Ki Pariyan Nahane Lagi
Nadi Gungunayi Khayalat Ki

Main Chup Tha To Chalti Hawa Ruk Gayi
Zaban Sab Samjhate Hai Jazbaat Ki

Muqaddar Meri Chashm-E-Puraab* Ka
Barsati Huyi Raat Barsaat Ki

Kayi Saal Se Kuch Khabar Hi Nahi
Kahan Din Guzara, Kahan Raat Ki

 0 People liked it
0 Ratings

Yun Ainon Say Kab Tak Dil Behlao Gay
Jab Andhera Hoga Khud Ko Tanha Paogay
Hum Jesa Koi Dost Rahey Agar Tumhare Sath
Tu Qasam Say Umer Bhar Muskurao Gay..

 0 People liked it
0 Ratings

Bistar-E-Dil Pe Khoon Uglate Khwab
Raat Bhar Karvatein Badlate Khwab

Waqt Ki Dhoop Regzar-E-Hyat*
Barf Ki Tarah Se Pighlate Khwab

Parda-E-Noor Banke Chhaye Hain
Aasuon Ki Tarah Machlate Khwab

Bikhare Sheesho Pe Gir Ke Toot Gaye
Neend Mein Nange Paanv Chalte Khwab

Aisi Sunsan Dhopher Mein Kahan
Chand Taaron Ki Tarah Chalte Khwab

Ye Hawa-E-Haqiqat-E-Farda**
Ye Chiragon Ki Tarah Jalte Khwab

* Regzar-E-Hyat = Jeevan Ka Marusthal, Desert of Life
** Hawa-E-Haqiqat-E-Farda = Aane Wale Kal Ki Sachai Ki Hawa

 0 People liked it
0 Ratings

Aj ae dil lab-o-rukhsar ke baten hai sahi
aj ae dil lab-o-rukhsar ke baten hai sahi
waqt kat jayega kuch pyar ke baten hi sahi
yun to katati hi rahegi gam-e-dauran mein hayat
aj ke rat gam-e-yar ke baten hi sahi
zinda rahane ke kabhi to koi surat nikale
isharat-e-alam-e-didar ke baten hi sahi
koi to bat chide aj bahut jee hai udas
kam se kam rahamat-e-agyar ke baten hi sahi
ab to tanhai ko ye karb na hoga bardasht
kuch nahi to dar-o-divar ke baten hi sahi
ye bhi kya kam hai unhen qurbat-e-gul to hai nasib
aj gul ke na sahi khar ke baten hi sahi
ye to tai hai ki jiye jayenge har hal mein hum
un ke lab par rasan-o-dar ke baten hi sahi

 0 People liked it
0 Ratings

KHoof ker kuch khuda ka
mujh se tu zindagi
kitny jhoot boly gi???

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 631 - 640 of 1962, Page 64 of 197 pages.