Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 661 - 670 of 1962, Page 67 of 197 pages.


Rulane walon ki baat kyon karte ho,
Rulana to shayad sabko aata hai.
Nahi jaanta kya tha mera kasur,
Bitha diya jahan door tak sannata hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Kudrat Ne Sanam Tumko Kya Shokh Ada Dee Hai
Julfon Mein Diye Jadu Aankhon Mein Haya Dee Hai
Honthon Pe Gulabipan Galon Mein Saza Di Hai
Mehboob Mere Humdum Mere Dil Ne Dua Di Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Khush hun ki mera husn-e-talab kam to aaya
khali hi sahi meri taraf jam to aaya
kafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap ka paigam to aaya
apanon ne nazar pheri to dil ne to diya sath
duniya mein koi dost mere kam to aaya
wo subah ka ehasas ho yan meri kashish ho
duba hua khurshid sar-e-bam to aaya
log un se ye kahate hain ki kitne hain “shakeel” aap
is husn ke sadaqe mein mera naam to aaya

 0 People liked it
0 Ratings

Yeh Zara Zara Si Baat Per
Tarha Tarha Ka Azaab Kiyon?
Jo Kisi Say Bhi Khafa Na Ho
Mujhey Us Khuda Ki Talash Hai
Mujhey Laghzishon Pay Her Ghari
Koi Tokta Hay Baar Baar
Jisay Ker K Dil Ko Dukh Na Ho
Mujhey Us Gunah Ki Talash Hai
Bina Humsafar K Kab Talak
Koi Musafaton Main Laga Rahay
Jahan Koi Kisi Say Juda Na Ho
Mujhey Us Raah Ki Talash Hay
Mujhey Daikh Ker Jo Aik Nazar
Meray Saray Dard Samajh Sakay
Jo Is Qadar Ho Chara-e-Gar
Mujhey Us Nigaah Ki Talaash Hay

 0 People liked it
0 Ratings


Tasveer hi lagi itni achchhi teri,
Jab dekhunga tujhe jaane kya hoga.
Dar lagta hai na rahega hosh khud ko,
Tujh me yun doob jaunga.

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar,
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Aansoo Ki Tarah,
Phool Mehke Hai Teri Zulf Ka Saya Bankar,
Meri Jaagi Hui Raato Ko Usiki Hai Talaash,
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Bankar,
Dil K Kagaz Par Utarta Hai Tu Shero Ki Tarha,
Mere Hontho Pe Machalta Hai Tu Naghma Bankar,
Raat Bhi Aayi To Bujhti Nahi Chehre Ki Chamak,
Rooh Mein Phel Gayi Hai Woh Ujala Bankar,
Mera Kya Haal Hai Yeh Aake Kabhi Dekh Tu Le,
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Wada Bankar,
Dhoop Mein Kho Gaya Woh Haath Chura Kar Kahi,
Ghar Se Jo Saath Chala Tha Mer Saya Bankar,
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar..!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Tamannaon mein ulajhaya gaya hun
khilaune deke bahalaya gaya hun
hun is kuche mein har zarre se aagah
idhar se muddaton aaya gaya hun
dil-e-muztar se puch ae raunaq-e-bazm
main khud aaya nahi laya gaya hun
savera hai bahut ae shor-e-mahashar
abhi bekar uthavaya gaya hun
lahd mein q na jaun muh chupaye
bhari mahafil se uthavaya gaya hun
kuja main aur kuja ae “shad” duniya
kahan se kis jagah laya gaya hun

 0 People liked it
0 Ratings


Rakhi Ko Tyonhar ThaRakhi Bandhane Ko Bhai Taiyar ThaBhai Bola bahna meri ab to rakhi bandh do,Bahna Boli, Kalai Peechhe karo, Pahale Rupae Hazaar do.
`
Aati Thi Jaathi ThiHansti Thi, hansati thiBhagati Thi, Bhagaati ThiBolti Thi, Bulwati ThiPer aaj pata chala kivah mujhe rakhi bandhana chahati thi..
`
Bhaiya Mere Rakhi Ke Bandhan Ko NibhanaTum Kuvare Raho, Parantu Meri Shaadi Jaroor karana..
`
Yu To hai hum BrahmchariPer ladaki Dikhi to Aankh mariPat gai to Hamari varnaRakhi ki hai taiyaari.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 661 - 670 of 1962, Page 67 of 197 pages.