Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 681 - 690 of 1962, Page 69 of 197 pages.


Chand ki chandani,
Basant ki bahar.
Phoolo ki khushbu,
Apno ka pyar.
Mubarak ho aapko NAVRATRI ka Tyohar.Sada khush rahe aap aur apka PARIVAR..

 0 People liked it
0 Ratings

Kai marhale aur sar karne hain
abhi to bahut se safar karne hain
badi aur neki yaqin aur shak
hain jitne bhi aib-o-hunar karne hain
hatheli pe rakhte hain apna kafan
jinhen apna jivan amar karne hain
sitam hai ki duniya ke kitne hi kam
zaruri nahi hain magar karne hain
karoge kabhi tark bhi tak-jhank
ki ye silsile umr bhar karne hain
bahut sakht mausam hai lekin ‘shaoor'
kisi taur ye din basar karne hain

 0 People liked it
0 Ratings

Is se pahale ki teri chashm-e-karam mazarat ke nigah ban jaye
pyar dhal jaye mere ashkon mein aarzoo ek aah ban jaye
mujh pe aa jaye ishq ka ilzam aur tu begunah ban jaye
main tera shahar chod jaunga
is se pahale ki sadagi teri lab-e-khamosh ko gila kah de
teri majaburiyan na dekh sake aur dil tujh ko bevafa kah de
jane main bekhudi mein kya puchun, jane tu berukhi se kya kah de
main tera shahar chod jaunga
is se pahale ki tere hothon se gair hothon ke jam takaraye
is se pahale ke zulf ke badal ajanabi bazuyon pe laharaye
aur teri bebasi ke nazare meri aankhon pe aag barasaye
main tera shahar chod jaunga
chod kar sahil-e-hayat chala ab safina mera kaheen thahare
zeher pina mera muqaddar hai aur tere honth dil-nashin thahare
kis tarah tere aastan pe rukun jab na panv tale zamin thahare
main tera shahar chod jaunga
mujh ko itna zarur kahana hai vaqt-e-rukhsat salam se pahale
tod lun rishta-e-nazar main bhi tu utar aaye bam se pahale
ye meri jan mera wada hai kal kisi waqt sham se pahale
main tera shahar chod jaunga.

 0 People liked it
0 Ratings

Dilon Se Khelne Ka Hunar Hamein Nahi Aata
Isliye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye
Meri Zindagi Se Shayad Unhe Bohot Pyar Tha
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye.

 0 People liked it
0 Ratings


Maa Teri Yaad Satati Hai, Mere Paas Aa Jaao
Thak Gayi Hoon, Mujhe Apne Aanchal Main Sulao
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Main Mere
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao !!!

 0 People liked it
0 Ratings

Baharon ko chaman yad aa gaya hai
mujhe wo gulbadan yad aa gaya hai
lachakati shakh ne jab sar uthaya
kisi ka bankpan yad aa gaya hai
meri khamoshiyon par hansane valo
mujh wo kamsukhan yad aa gaya hai
tumhen mil kar ke ae yazadanparasto
gurur-e-aharaman yad aa gaya hai
teri surat ko jab dekha hai main ne
uruj-e-fikr-o-fan yad aa gaya hai
kisi ka khubasurat sher sun kar
tera lutf-e-sukhan yad aa gaya hai
mile wo ajanabi ban kar to ‘rifat'
zamane ka chalan yad aa gaya hai

 0 People liked it
0 Ratings

Thaki Thaki Si Nigah Dil Bojhal Hua
Main Teri Yaad Main Kitna Bay Kal Hua
Na Raha Hosh Apna Teri Talash Main
Der Der Bhatakta Phira Main Pagal Hua
Jeetey Jeetey Sanum Teri Yaad Ka Mausam
Derd Say Dariya Phir Situm Badal Hua

Bikhri Meri Hasti Ko Sameyta Tu Nay
Teri Chahat Kay Sabab Main Mukamal Hua
Kehney Walay Keh Chukkay Aks-E-Sehra Mujhay
Jo Tera Saath Paya Shokh-O-Chanchal Hua
Chah Kay Tujhay Ghum Ka Siyaah Badal
Ab Kiyoun Meri Nazar Ka Kajal Hua
Wo Aber Der Haqeeqat Mausam-E-Milan Tha
Jis Say Kay Sara Aalam Jal Thal Hua
Ik Ehsas-E-Bay Basi Dherkanoon Main Shaiki
Ik Derd Ka Gumaan Pal Pal Hua.

 0 People liked it
0 Ratings


Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,
Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,
Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,
Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,
Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 681 - 690 of 1962, Page 69 of 197 pages.