Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 841 - 850 of 1962, Page 85 of 197 pages.

Chand roz aur meri jan faqat chand hi roz
zulm ke chanv mein dam lene par majabur hain hum
ik zara aur sitam sah lain tadap lain ro lain
apne ajdad ke miras hai mazur hain hum
jism par qaid hai jazbat pe zanjire hai
fikr mahabus hai guftar pe taziren hain
aur apani himmat hai ki hum phir bhi jiye jate hain
zindagi kya kisi muflis ke qaba hai
jis mein har ghadi dard ke paiband lage jate hain
lekin ab zulm ke miyad ke din thode hain
ik zara sabr ki fariyad ke thode hain
arsa-e-dahar ke jhulasi hui virani mein
hum ko rahana hai par yun hi to nahi rahana hai
ajanabi hathon ka benam garan-bar sitam
aj sahana hai hamesha to nahi sahana hai
ye teri husn se lipati hui aalam ke gard
apani do roza javani ke shikaston ka shumar
chandani raton ka bekar dahakata hua dard
dil ke besud tadap jism ke mayus pukar
chand roz aur meri jan faqat chand hi roz

 0 People liked it
0 Ratings

Kuch Waqt Pehle Hame B Zindagi Ne Azmaya Tha,
Ek Shaks K Sath Humne B Hasta Hua Pal Bitaya Tha,
Rota Hua Chod Gya To Kya Hua,
Hasna B To Usi Ne Sikhaya Tha.

 0 People liked it
0 Ratings

Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki,
Badi Aarzoo Thi Mulakat Ki,
Mai Chup Thi To Hawa Bhi Tham Gayi,
Zabaan Sab Samajhte Hai Jasbaat Ki,
Sitaaron Ko Shayad Khabar Hi Nahi,
Musafir Ne Na Jaane Kahan Raat Ki…

 0 People liked it
0 Ratings

Har Waqt Ranj-O-Malaal Kya, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
Use Yaad Karke Na Dil Dukha, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya

Na Gila Kiya, Na Khafa Huye, Yoon Hi Raaste Mein Khuda Huye
Na Tu Bewafa Na Main Bewafa, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya

Voh Ghazal Ki Ek Keetab Tha, Voh Gullon Mein Ek Gulab Tha
Zara Der Ka Koi Khwab Tha, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya

Mujhe Patjhadon Ki Kahaniyan Na Suna-Suna Ke Udas Kar
Tu Khizaan Ka Phool Hai Muskura, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya

Ye Safar Bhi Kitna Taveel (Lamba) Hai Yahan Waqat Kitna Kaleel Hai
Kahan Laut Kar Koi Aayega Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya

Voh Wafayein Thi Ke Jafayein Thi, N Ye Soch Kiski Khatayein Thi
Voh Tera Hai Usko Gale Laga Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya

Tujhe Aitbar-O-Yakeen Nahi, Nahi Duniya Itni Buri Nahi
N Malaal Kar Mere Saath Aa Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Dekhun Jo Teri Aankhon Ko Mera Har Sapna Jaag Jaaye
Sunoo Jo Teri Baaton Ko Kuch Jajba Bas Jaaye
Chahun Main Aur Kya Is Zindagi Se
Mangu Main Aur Kya Us Khuda Ki Roshni Se
Jo Maa Tujhse Itna Pyaar Mil Jaye.

 0 People liked it
0 Ratings


Jo Bhagwan ko nahi manta use me Insaan nahi manta,aur, jo Gandhiji ko nahi manta use me Indian nahi manta.
Wishing all Indians Happy Gandhi Jayanti on 2nd October.
`
Ishwar alla tero nam sab ko sanmati de bhagwan,
In remembarence of the mahatma,
HAPPY Gandhi Jayanti…!!

 0 People liked it
0 Ratings

Maa Se Pyara To Koi Bol Ho Nahi Sakta,
Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta,
Khud Nahi Khati Hai Bachcho Ko Khila Deti Hai,
Waqt Pe Thapkiya De De Sula Deti Hai,
Sach To Ye Hai K Wo Shhaqs Hai Sabse Gareeb,
Maa Ka Saaya Hota Nahi Jise Duniya Me Nasseeb,
Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,
Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Guzre Dinon Ki Bhuli Hoi Bat Ki Tarha
Ankhon Me Jagta He Koi Rat Ki Tarha
Tumse Umed Thi K Nibhao Gy Dosti
Tum Bhi Badal Gaye Mosam aur Halaat Ki Tarha

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 841 - 850 of 1962, Page 85 of 197 pages.