Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 931 - 940 of 1962, Page 94 of 197 pages.

Jise Koi Nahi Jaanta Use Rab Jaanta Hai
Raz Ko Raz Na Samjho Voh Sab Jaanta Hai
Maagna Hai To Khuda Se Maango
Jo Jubaan Pe Aane Se Pehle Dil Ki Dua Jaanta Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho
Insha Saahab Naahaq Jii Ko Vahshat Men Uljhaate Ho
Dil Kii Baat Chhupaanii Mushkil,Lekin Khuub Chhupaate Ho
Ban Men Daanaa,Sha’hr Ke Andar Diivane Kehlaate Ho
Bekal Bekal Rahte Ho, Par Mehfil Ke Aadaab Ke Saath
Aankh Churaa Kar Dekh Bhii Lete Ho, Bhole Bhii Ban Jaate Ho
Peet Men Aise Laakh Jatan Hain, Lekin Ek Din Sab Nakaam
Aap Jahaan Men Rusvaa Hoge, Vaaz Hamen Farmaate Ho
Ham Se Naam Junuun Kaa Qaayam, Ham Se Dasht Kii Aabaadii
Ham Se Dard Ka Shikvaa Karte, Ham Ko Zakhm Dikhaate Ho?

 0 People liked it
0 Ratings

Siyahiyon ke bane harf harf dhote hain
ye log raat mein kagaz kahan bhigote hain
kisi ke shah mein dahaliz par diya na rakho
kivad sukhi hui lakadiyon ke hote hain
charag pani mein maujon se puchate honge
wo kon log hain jo kashtiyan dubote hain
qadim qasbon mein kya sukun hota hai
thake thakaye hamare buzurg sote hain
chamakati hai kaheen sadiyon mein aansuon ke zamin
gazal ke sher kahan roz roz hote hain

 0 People liked it
0 Ratings

Dil Walay Ankhoon Ke Baat Samaj Laity Hain
Khawab Mian Mil Le To Mulaqat Samaj Laity Hain
Rota To Asman Bhi Hai Kisi K Pyar Main
Lakin Log Usy Barsat Samaj Laity Hian

 0 People liked it
0 Ratings


Tasvir tu apni rakh le magar
Main teri yaden rakh leta hoon
Meri amanat bhale na ban saki tu, magar
Tere jhuthe wade hi rakh leta hoon
kasam todne ki meri aadat nahi, magar
Ek do pal maykhane thahar leta hoon
Fir aayegi tu meri aahat sunke chhat par
Har ek bar soch kar teri gali se gujar leta hoon
Bhool jata hoon teri bewafai magar
Wafa ki jhuthi duhai rakh leta hoon
Shahnayi tu apni rakh le, magar
Main teri tanhai rakh leta hoon
Khush rahegi tu hamesha yeh sochkar
Sare gam aur ruswai main rakh leta hoon.

 0 People liked it
0 Ratings


Astat khoob sunder dishyala
pan tu majhi aasta aahe
mi tula prem karto, vishwas thev majha var
kashyala vichar karte tu samaajhacha.

 0 People liked it
0 Ratings

Sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main
hay kya achi kahi zalim hun main jahil hun main
** gafil also means negligent/careless as used in the next sher**
hai meri zillat hi kuch meri sharafat ke dalil
jis ke gafalat ko malak rote hain wo gafil hun main
bazm-e-hasti apni aaraish pe tu nazan na ho
tu to ik tasvir hai mahafil ke aur mahafil hun main
dhundhata phirta hun ae “iqbal” apne aap ko
aap hi goya musafir aap hi manzil hun main

 0 People liked it
0 Ratings

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 931 - 940 of 1962, Page 94 of 197 pages.