Sad Shayari

Sad Shayari - A large collection of Sad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Sad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Sad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Sad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Sad Shayari

Showing Sad Shayari 111 - 120 of 519, Page 12 of 52 pages.

Pani Bars Raha Hai, Chidiya Naha Rahi Hai
Barish Ki Dopeher Voh Phir Yaad Aa Rahi Hai

Dekho To Zindagi Bhi Kaisa Fareb Karti Hai
Perchhayian Dikha Kar Jannat Hata Rahi Hai

Sadiyon Se Beh Rahi Hai Budhi Nahi Akeli
Tanhayion Ke Kisse Kisko Suna Rahi Hai

Rehta Hai Dil Me Koi Har Vaqat Saath Apne
Doori Usi Ki Dekho Tanha Rula Rahi Hai

Mitti Ke Gharondo Me Jazbaat Thar-Thraate
Is Door Ke Shehar Tak Awaz Aa Rahi Hai

Ye Zindagi Ke Mele Hardum Laka Karenge
Apno Ko Juda Karne Me Kaisi Khusi Isko
Dekho To, Vo Gaadi Le Usko Ja Rahi Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Dil lagana chod diya maine,
aanso bahana chod diya maine .
bahut kha chuke dhokhe sanam pyar main,
muskurana isliye chod diya maine.

 0 People liked it
0 Ratings

Koi Na Jaan Ska Voh Kahan Se Aaya Tha
Aur Usne Dhoop Se Badal Ko Kyon Milaya Tha

Voh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahi Jaate
Main Jiske Sath Yahan Pichhle Saal Aaya Tha

Suna Hai Uspe Chehkane Lage Parinde Bhi
Voh Ek Podha Jo Humne Kabhi Lagaya Tha

Chirag Doob Gaye Kampkpaye Hothon Per
Kisi Ka Hath Humare Labon Tak Aaya Tha

Badan Ko Chhor Ke Jana Hai Aasmaan Kit Taraf
Samandero Ne Hume Ye Sabak Padhaya Tha

Tamaam Umar Mere Dum Usi Dhuyein Mein Ghuta
Voh Ik Chirag Tha Maine Jise Bujhaya Tha

 0 People liked it
0 Ratings

Aas Hogi Na Aasra Hoga
Aane Wale Dino Mein Kya Hoga

Main Tujhe Bhool Jayunga Ek Din
Waqt Sab Kuch Badal Chuka Hoga

Naam Humne Likha Tha Aankho Mein
Aasuon Ne Mita Diya Hoga

Dum Ghuta Ja Raha Hai Seene Mein
Koi Bujhta Hua Diya Hoga

 0 People liked it
0 Ratings

Meri Aankho Mein Gham Ki Nishani Nahi
Pathar Ke Piyaalo Mein Pani Nahi

Main Tujhe Bhoolkar Bhi Nahi Bhoolta
Pyar Sona Hai, Sone Ka Pani Nahi

Mausamo Ke Lifafe Badlate Rahe
Koi Tehreer Itni Purani Nahi

Koi Bura Saya Hai Is Haseen Shehar Per
Sham Roshan Hai Lekin Suhani Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Jaan Se Bhi Zyada Unhe Pyar Kiya Karte The,
Yaad Unhe Hum Din Raat Kiya Karte The,
Ab Guzra Nahi Jaata Un Raahon Se,
Jahan Baith Kar Kabhi Unka Intzaar Kiya Karte The.

 0 People liked it
0 Ratings


Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya..
main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein,
yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya..
tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya
pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya
aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya..
ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya..
main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya..
tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya!!

 0 People liked it
0 Ratings


Chahat ka tune kya sila diya
hasti aankhon ko aab-e-deedah bana(tearful) diya
pyar ka deep dilme jalaa diya
usi aag me phir sabkuch mita diya
pyar ka jabbhi vaasta dila diya
beetey lamho ka tune kimat chuka diya
tere liye khudko itna badal diya
pehchan ne se tune inkaar kar diya
sabkuch jo tere naam kar diya
mohabbat ka tune sauda kar diya
jisne apno k dilme ghar kar diya
sabki nazro me use gunehgar bana diya
wafa karte sab rishthon ko gawa diya
usipe tune bewafai ka daag laga diya
dardo gamh se daaman bhar diya
dilne aaj bhi tujhe bus duwa hai diya
tujhe paane ko kya na kar diya
pal bhar mein tune ‘Ayush’ ko anjaan kar diya.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Sad Shayari 111 - 120 of 519, Page 12 of 52 pages.