Sad Shayari

Sad Shayari - A large collection of Sad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Sad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Sad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Sad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Sad Shayari

Showing Sad Shayari 261 - 270 of 519, Page 27 of 52 pages.

Manzilein Mushkil Thi Par Hum Khoye Nahi,
Dard Tha Dil Me Par Hum Roye Nahi,
Koi Nahi Aaj Hamara Aaj Jo Pucche Hamse,
Jaag Rahe Ho Kisi K Liye,
Ya Kisi K Liye Soye Nahi.

 0 People liked it
0 Ratings

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi

Le Gaya Chheen K Kaun Aaj Tera Sabr-O-Qarar
Beqarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi

Chashm-E-Qatil Meri Dushman Thi Hamesha Lekin
Jaise Ab Ho Gai Qatil Kabhi Aisi To Na Thi

Un Ki Aankhon Ne Khuda Jane Kiya Kya Jadu
K Tabiyat Meri Mael Kabhi Aisi To Na Thi

Aks-E-Rukh-E-Yaar Ne Kis Se Hai Tujhe Chamkaya
Tab Tujh Mein Mah-E-Kamil Kabhi Aisi To Na Thi

Kya Sabab Tu Jo Bigarta Hai “Farhan” Se Har Bar
Khud Teri Hur-E-Shamail Kabhi Aisi To Na Thi.

 0 People liked it
0 Ratings

Door Ja Kar Bhi Aapse Door Ja Nahi Sakte
Kitna Roye Kisi Ko Bata Nahi Sakte
Gam Ye Nahi Ki Aap Mil Nahi Sakte
Ab Gham To Ye Hai Ke Hum Aapko Bhula Nahi Sakte

 0 People liked it
0 Ratings

Roke Rukte Nahi Teri Yaadon Ke Saaye
Bata Meri Yaado Ko Tune Bhulaya Kaise
Dil Maan-ta Nahi Tum Badal Gaye
Main Ajnabi Hu Ye Yakeen Khud Ko Dilaya Kaise.

 0 People liked it
0 Ratings


Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey,
Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa,
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh,
Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa,
Woh Tere Naseeb Ki Baarishein,
Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien,
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun,
Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa,
Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein,
Teri Aass Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,
Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa
Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham,
Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya,
Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa
Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi,
Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa,
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa,
Ussay Bhool Jaa
Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa,
Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa
Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya,
Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya,
Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja
BHOOL JA

 0 People liked it
0 Ratings


Usey Ehsas Janey Kab Hoga
Main Apni Zindagi Na Kho Bethoon
Main Apni Her Khushi Ganwa Bethoon
Usey Khaber Hai Sab Mager
Najaney Kyun Mujhey Rulata Hai
Na Janey Kyun Mujhey Satata Hai
Main Khilkhilati Hoon Bas Us K Liye
Main Ro Bhi Jati Hoon To Us K Liye
Usey Ehsas Janey Kab Hoga!!!
Main Apni Zindagi Na Kho Bethoon
Main Apni Her Khushi Ganwa Bethoon
Tamam Umer Phir Woh Terpega Merey Liye
Phir Woh Chaheyga Bhi To Kia Hoga
Phir Woh Aawaz Bhi Dega To Kia Hoga
Phir Chah Ker Bhi Na Kuch Hoga
Phir Her Taraf Khamoshi Hogi
Ussey Her Pal Yaad Dilaigi
Jo Usey Her Ghari Sataigi
Main Apni Her Khushi Ganwa Bethi
Main Apni Zindagi Ko Khobethi
Usey Ehsas Janey Kab Hoga. .

 0 People liked it
0 Ratings

Mujhe Pyar Karna Sikha De Koi
Is Baans Ko Bansuri Bana De Koi

Har Sham Har Raat Suni Suni Hai
Aa Ke Meri Mehfil Ko Saja De Koi

Raag Sur Taal Sab Ruthe Ruthe Lagte Hain
Is Anchooye Saaz Ko Baja De Koi

Dil Ki Andheri Galiyo Se Dar Dar Ke Gurarta Hu
Mere Seene Mein Wo Aag Jala De Koi

Mujhe Pyar Karna Sikha De Koi
Is Baans Ko Bansuri Bana De Koi

 0 People liked it
0 Ratings

Mili Na Tanhai Shirkat Me Aap Ki
Mili Na Judai Nafrat Me Aap Ki

Huye Begaane Is Azl Se Tamaam Umr Aur
Na Hi Mili Wafai Mohabbat Me Aap Ki

Hame To Mila Wafaa-E-Gham Mohabbat Me Aap Ki
Na Jane Hue Kitne Gunaah Ibadat Mein Aap Ki

Kya Hua Jab Hue Na Shaamil Zindagi Me Aap Ki
Kar Lenge Basar Bas Khwaboan Me Aap Ki

Na Rahi Tamanna Hame Apno Ki
Khatm Hui Zindagi Jab Ghamgeen Sapno Ki

Na Ho Khush Itna Aye “Tanveer”
Zindagi To Hai Sirf Chand Lamho Ki.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Sad Shayari 261 - 270 of 519, Page 27 of 52 pages.