Swapn Se Saanidhya Mera Lyrics

Chand Ke Saath- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Swapn Se Saanidhya Mera from movie Chand Ke Saath

  

Lyrics

  • Chand Ke Saath
  • Movie Name : Chand Ke Saath
  • Director(s) : Sudeep Banerjee
  • Singer(s) : Hariharan
  • Lyricist(s) : Jai Shankar Mishra

swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)
swapn hi manjil hai meri - (2)
swapn hi vyaapaar mera
swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)

main diwa swapnon ka pranayi, swapn mere sakha sehchar - (2)
swapn hi meri dharohar - (2)
swapn hi sansaar mera
swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)

(iss rupehale swapn ko apana banaana chaahata hoon
swapn ki iss reeti ka main geet gaana chaahata hoon) - (2)
swapn jo bhi bha gaye unako dhara par la chuka hoon
aaj tak anginat sapane - (2)
main swayam apana chuka hoon
swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)

(swapn ko apana banaana swapn ko ati paas laana
swapn ka abhishek kar uss swapn ko puja banaana) - (2)
iss kala mein main nipunata jagat ko dikhala chuka hoon
iss tarah main kayi sapane - (2)
ji chuka hoon ga chuka hoon
swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)
swapn hi manjil hai meri -2 swapn hi vyaapaar mera
swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)

Related Lyrics