Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Bahu

Jiyo Toh Aise Jiyo Lyrics

Bahu- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Jiyo Toh Aise Jiyo from movie Bahu

  

Lyrics

    • Movie Name : Bahu
    • Director(s) : Ravi
    • Singer(s) : Mohammad Rafi
    • Lyricist(s) : 

    jiyo toh aise jiyo jaise sab tumhara hai
    maro toh aise ki jaise tumhara kuchh bhi nahi

    yeh ek raj hai ki dooniya naa jisko jan saki
    yahi woh raj jo jindagi se hasil hai
    tumhi kaho yeh raj tumhe kaise samajhau
    ke jindagi ki ghutan jindagi ki katil hai
    har ek nigah ko yeh kudrat kaa ishara hai
    jiyo toh aise jiyo

    jaha me aa ke jaha se khinche khinche naa raho
    woh jindagi hi nahi jisme aas bujh jaye
    koyi bhi pyas dabaye se dab nahi sakati
    isi se chain milega ki pyas bujh jaye
    yeh kehke mudata huwa jindagi kaa dhara hai
    jiyo toh aise jiyo

    yeh aasman, yeh jamin, yeh fija, yeh najare
    taras rahe hain tumhari ik najar ke liye
    najar chura ke har ek shai ko yu naa thukrao
    koyi sharike safar dhundh lo safar ke liye
    bahut karib se maine tumhe pukara hai
    jiyo toh aise jiyo

    Related Lyrics