Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara Lyrics

Shirin Farhaad- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara from movie Shirin Farhaad

  

Lyrics

    • Movie Name : Shirin Farhaad
    • Director(s) : 
    • Singer(s) : Lata Mangeshkar
    • Lyricist(s) : 

    Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara
    hafiz Khuda Tumhara

    khushiyaan Thi Chaar Din Ki Aansoo Hain Umr Bhar Ke
    tanhaiyon Mein Aqsar Royenge Yaad Kar Ke
    vo Waqt Jo Ki Hamne Ik Saath Hai Guzaara
    hafiz Khuda Tumhara...

    meri Qasam Hai Mujhko Tum Bewafa Na Kehna
    majboor Thi Mohabbat Sab Kuchh Pada Hai Sehna
    toota Hai Zindagi Ka Ab Aakhri Sahara
    hafiz Khuda Tumhara...

    mere Liye Sehar Bhi Aayi Hai Raat Ban Kar
    nikla Mera Janaza Meri Baraat Ban Kar
    achha Hua Jo Tumne Dekha Na Ye Nazaara
    hafiz Khuda Tumhara...

    Related Lyrics