Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Kismat

Ham Hain Masta Maula Lyrics

Kismat- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Ham Hain Masta Maula from movie Kismat

  

Lyrics

    • Movie Name : Kismat
    • Director(s) : Anand Raj Anand
    • Singer(s) : Alka Yagnik,Abhijeet
    • Lyricist(s) : 

    (ham hain masta maula -2, apni dhun me hain magan
    dil ke badshah) - (2)
    jare ja mohbbat teree kya hakikat
    kab kya rang dikhaye kisko kya pata
    ek najar idhar bhee dekh yar pyar kar
    dil diya hain tujhko maine aitbar kar

    arey yar tony ek sher yad aaya, sunau, chal suna
    aap kee nigah ne kaha toh kuchh jarur hain
    meraa dil machal gaya toh meraa kya kasur hain
    wah wah kya bat hain
    arey golee kyo golee de raha hain yar
    yeh toh kisee picture ka gana hain mere dost
    too original sun aa meraa original, suna

    maikashee pe iss kadar kyo aapko garur hain
    hamko dekhiye hajur bin piye sarur hain
    hay kya bat hain kya bat hain, mar gaya

    (aap kee nigah ka asar hain yeh
    yake maikashee ka yeh khumar hain) - (2)
    hamko aaisa lag raha hain jane kyo
    ke aapko bhee hamse bahut pyar hain
    hamne bat aaj tumse kehni thee yahee
    kabse dhundte the magar tum mile nahee
    ham hain mast maula -2, apni dhun me hain magan
    dil ke badshah

    aye sun ek naya sher sun aa sharab ke upar hain
    acha suna re, meraa apna hain
    kabhee maikhane tak jate hain aur kam hee pite hain
    ghata julfo kee cha jaye toh bemausam bhee pite hain
    arey abhee toh wah bol
    arey phir se golee de raha hain yar
    yeh toh pankaj udhas kee ghajal hain
    arey yar har bar pakad leta hain too
    chal too meraa sun ekdum original hain ekdum, suna
    jo anthi ke adde par jate hain woh kam kyo pite hain
    yeh kaise bewde hain jo peg gin gin ke pite hain

    aapke bina na jee sakenge ham, bat yahee sach hain man lijiye - (2)
    bebasee hamaree jan lijiye, usake bad chahe jan lijiye
    kaisee bebasee hain aapko hain kaisa gam
    ham bhee aapke hain dil bhee aapka sanam
    ham hain masta maula -2, apni dhun me hain magan
    dil ke badshah
    ja re ja mohbbat teree kya hakikat
    kab kya rang dikhaye kisko kya pata
    ek najar idhar bhee dekh yar pyar kar
    dil diya hain tujhko maine aeitbar kar

    Related Lyrics