Tu Mauj Main Hoon Kinaara Lyrics

Lovers (1983)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Tu Mauj Main Hoon Kinaara from movie Lovers (1983)

  

Lyrics

    • Movie Name : Lovers (1983)
    • Director(s) : R D Burman
    • Singer(s) : Amit Kumar
    • Lyricist(s) : 

    tu mauj main hoon kinaara milan kab hoga hamaara

    tu mauj main hoon kinaara milan kab hoga hamaara - (2)
    o pyaasi hai jivan ki dhaara milan kab hoga hamaara
    o o o milan kab hoga hamaara

    nadiya bahein chaahe kahin saagar se sangam jaruri hai - (2)
    main tere bin adhura hoon, tu mere bin adhuri hai
    ho jaise kiran aur taara milan kab hoga hamaara
    tu mauj main hoon kinaara milan kab hoga hamaara
    ho ho milan kab hoga hamaara

    tune suna ya na suna maine tera naam leta raha - (2)
    tune suni ya na suni aawaaj main deta raha
    ho jo saans li dil pukaara milan kab hoga hamaara
    tu mauj main hoon kinaara milan kab hoga hamaara
    ho ho milan kab hoga hamaara

    jaise kisi mandir mein log rakh de kisi ki murat ko - (2)
    dil mein basa rakha hai yuun maine sajan ki surat ko
    teri puja mein pal pal gujaara milan kab hoga hamaara
    tu mauj main hoon kinaara milan kab hoga hamaara
    ho pyaasi hai jivan ki dhaara milan kab hoga hamaara
    o o o milan kab hoga hamaara

    Related Lyrics