Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Aadmi (1968)

Na Aadami Ka Koyi Bharosa Lyrics

Aadmi (1968)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Na Aadami Ka Koyi Bharosa from movie Aadmi (1968)

  

Lyrics

    • Movie Name : Aadmi (1968)
    • Director(s) : Naushad
    • Singer(s) : Mohammad Rafi
    • Lyricist(s) : 

    teri mohabbat pe shak nahi hai
    teree wafao ko manata hu
    magar tujhe kiski aarju hai
    main yeh hakikat bhi janata hu

    na aadami ka koyi bharosa
    naa dosti ka koyi thikana
    wafaa kaa badalaa hain bewafayi
    ajab jamana hain yeh jamana
    na aadami ka koyi bharosa

    naa husn mein abb woh dilakashee hai
    naa ishk mein abb woh jindagi hai
    jidhar nigaahe uthake dekho
    sitam hain dhokhaa hain berukhi hai
    (badal gaye jindagee ke nagame
    bikhar gayaa pyaar kaa tarana) - (2)
    na aadami ka koyi bharosa

    dawa ka badale mein jeher de do
    utaar do mere dil mein khanjar
    lahu se sincha tha jis chaman ko
    uge hain shole ussi ke andar
    (mere hee ghar ke charaag ne khud
    jala diya mera aashiyana) - (2)
    na aadami ka koyi bharosa
    naa dosti ka koyi thikana
    wafaa kaa badalaa hain bewafayi
    ajab jamana hain yeh jamana

    Related Lyrics