Tanhai Shayari

Tanhai Shayari - A large collection of Tanhai Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Tanhai Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Tanhai Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Tanhai Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Tanhai Shayari

Showing Tanhai Shayari 21 - 30 of 134, Page 3 of 14 pages.

Piyar Kisi Se Jitna Kiya Ruswai Hi Mili
Wafa Chahe Jitni Bhi Ki Bewafai Hi Mili
Jitna Bhi Kisi Ko Apna Bana Kar Dekha
Jab Aankh Khuli To Tanhai Hi Mili

 0 People liked it
1 Ratings

Ye Daulat Kisi Ki Amanat Nahi Hoti
Ye Chahat Dilon Ki Muhabbat Nahi Hoti
Ye Haqeeqat Khudko Tanhai Me Rakh Ke Socho
Sirf Sir Jhuka Dene Se Ibadat Nahi Hoti

 1 People liked it
1 Ratings

Majboor Ye Halat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Tanhai Ki Ek Raat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Kehne Ko Buht Kuch Hai Magar Kis Se Kahe Hum
Kub Tak Yuhi Dabte Yuhi Sehte Rahe Hum
Dil Kehta Hai K Dunia Ki Har Rasm Utha Dein
Dewar Johum Dono Mai Ha Aaj Gira Dein
Ab Dil Mai Yahi Baat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi

 1 People liked it
1 Ratings

Me Or Meri Tanhai Akser Ye Batain Kartay
Tum Hoti To Kesa Hota Tum Ye Kehti Tum Wo Kehti
Tum Is Baat Pe Heran Hoti Tum Us Baaat Pe Kitna Hansti
Zindagi K Safr Me Guzer Jataay Hain Jo Makaan
Wo Phir Nahi Atay Wo Phir Nahi Atay
Tum Hoti To Esa Hota Tum Hoti To Wesa Hota
Me Aur Meri Tanhai Akser Ye Batain Kerte
Phol Khilte Hain Log Mitay Hain
Magr Pat Jhar Me Jo Phol Murjha Jatay Hain
Wo Baharon K Anay Se Khiltay Nahi
Kuch Log Ek Roz Jo Bechar Jatay Hain
Wo Hazaron K Anay Se Miltay Nahin
Umer Bhar Chahay Koi Pukara Karay Unka Naam
Wo Phir Nahi Atay Wo Phir Nahi Atay
Ye Chand Hai Ya Tumhara Kangan
Sitaray Hain Ya Tumhara Anchal
Hawa Ka Jhonka Hai Ya Tumharay Badan K Khushboo
Ye Patttiyon Ki Hai Sar Sarahat K Tum Ne Chupke Say Kuch Kaha Hai
Subha Ati Hai Raat Jati Hai Yunhi
Wakt Chalta Hi Rehta Hai Rukta Nahi
Ek Pal Me Yeh Agai Nikal Jata Hai
Admi Theek Sai Dekh Pata Nahi
Aur Parday Sai Manzar Badal Jata Hai
Ek Bar Chalai Jatai Hain Jo Din Raat Subha Sham
Wo Phir Nahi Atay Wo Phir Nahi Atay
Ye Sochta Hooon Me Kabse
K Jab K B Ye Mujko Khaber Hai K Tum Nahi Kahin Nahin Ho
Mager Ye Dil Kehraha Hai K Tum Yehin Kahin Ho
Yehin Kahin Ho

 1 People liked it
1 Ratings

Kuch Waqt Tanhai Mein Beetaya Toh
Kuch Yaadein Taza Ho Gayi

Raah Mein Mila Tha Koi Saathi
Kaise Mujh Se Bewafa Ho Gayi

Dil Par Likha Tha Jiska Naam Humne Bade Pyar Se
Kaise Rooh Us Se Juda Ho Gayi

Abh Soch Ker Hum Roh Toh Pade Hain
Magar Phir Sochta Hoon Ab Bahut Der Hogayi

Kuch Waqt Toh Woh Bhi Thehra Tha Uss Mod Per
Jahan Rooh Badan Se Juda Ho Gayi

 0 People liked it
0 Ratings

Teri khushbu ka pata karati hai
mujh pe ehsaan hawa karati hai
shab ke tanhai mein ab to aksar
guftagu tujh se raha karati hai
dil ko us reh pe chalana hi nahi
jo mujhe tujh se juda karati hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahane mein raha karati hai
us ne dekha hi nahi warna ye aankh
dil ka ehaval kaha karati hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par naam likha karati hai
sham padate hi kisi shakhs ke yaad
kucha-e-jan mein sada karati hai
mujh se bhi us ka hai vaisa hi suluk
hal jo tera ana??? karati hai
dukh hua karta hai kuch aur bayan
baat kuch aur hua karati hai
abr barase to inayat us ke
shakh to sirf dua karati hai
masala jab bhi utha chiragon ka
faisala sirf hawa karati hai

 0 People liked it
0 Ratings

Main Hun Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai
Pahle Saaya Tha Mera Mere Saath
Aaj Kal Wo Bhi Harjaai Hai
Jaane Kyon, Kaise Aaj Phir Se Meri
Mujhko Maazi Satane Aai Hai
Dard-e-Tanhai Se
Jab Choor Hua Jaata Hoon
Saari Duniya Se
Bahut Door Hua Jaata Hoon
Phir Bhi Jeene Ko
Jo Majboor Hua Jaata Hoon
Aisi Haalat Me
Pareshan Dil Ko Bahlane
Purane Zakhmon Ko
Aansuon Me Nehlane
Shab Ki Tanhai Me
Main Chhat Pe Chala Aata Hoon
Apni Khamosh Shikayat Ko
Sunaane Ke Liye
Chaand Ko Apna Haal-e-Dil
Bataane Ke Liye
Apni Aankhon Ka Luhoo Usko
Dikhane Ke Liye
Saath Apne Use
Kutch Deir Rulaane Ke Liye
Chaand Ko Bhi
Meri Haalat Se Pareshani Hai
Uski Bhi Apni
Mohabbat Ki Ek Kahani Hai
Chot Meri Tarah Wo Khaya Hai
Daagh Seene Me Jab Hi Paaya Hai
Bhool Jaayen Chalo Muhabbat Mein
Dard Kisko Hai Kisko Tanhai
Waqt Ab Hai Teri Judaai Ka
Aansuon Mein Teri Widayee Ka
Chun Ke Aankhon Se Mere Ashkon Ko
Thapkiyan De Ke Meri Palkon Ko
Meri Kismet Per Ro Ke Jaata Hai
Jaate Jaate Wo Apne Askhon Se
Saari Dharti Bhigo Ke Jaata Hai
Ek Subah Phir Nayee Si Aati Hai
Thodi Ummeed Saath Laati Hai
Shaam Hote Hi Saath “ASIF” Ke
Aa Gai Phir Wohi Dilnasheen Tanhai Hai
Main Hun Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai
Sirf Meri Tanhai Hai
Sirf Meri Tanhai Hai…………

 0 People liked it
0 Ratings

Yun To Milne Ko Hum Mile Hain Bohat
Darmiyan Phir Bhi Faasle Hain Bohat
Tu Mili Bhi To Chund Pal K Liye
O Zindagi Tujh Se Gile Hain Bohat
Ek Do Yaden Aur Tanhai Mili
Pyar Karne K Ye Sile Hain Bohat
Yun To Milne Ko Hum Mile Hain Bohat
Darmiyan Phir Bhi Faasle Hain Bohat

 1 People liked it
8 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Tanhai Shayari 21 - 30 of 134, Page 3 of 14 pages.