Tanhai Shayari

Tanhai Shayari - A large collection of Tanhai Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Tanhai Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Tanhai Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Tanhai Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Tanhai Shayari

Showing Tanhai Shayari 81 - 90 of 134, Page 9 of 14 pages.

Koi Yeh Kaise Bataaye Ke Woh Tanha Kyun Hain
Woh Joh Apna Tha Wohi Aur Kissi Ka Kyun Hain
Yehi Dunya Hain Toh Phir Aisi Yeh Dunya Kyun Hain
Yehi Hota Hain Toh Aakhir Yehi Hota Kyun Hain.
Ek Zaraa Haath Baraa De Toh, Pakar Le Daaman
Uske Seene Mein Samaa Jaaye Hamaari Dhadhkan
Itni Kurbat Hain Toh Phir Faasla Kyun Hain.

Dil E Barbaad Se Nikla Nahin Ab Tak Koii
Ek Lute Ghar Pe Diya Karta Hain Dastak Koii
Aas Joh Toot Gayee Phir Se Bandhaata Kyun Hain
Tum Masarat Ka Kaho, Ya Isse Gham Ka Rishta
Kehte Hain Pyar Ka Rishta Hain Janam Ka Rishta
Hain Joh Janam Ka Yeh Rishta Toh Badalta Kyun Hain…?

 0 People liked it
0 Ratings

Kuchh Log Zamane Mein…
Kuchh Log Zamane Me Aise Bhi To Hote Hein,
Jo Batein Nahi Karte Hein Nashtar Se Chubhote Hein.
Jinke Liye Hum Raton Ko Uth-Uth Ke Rote Hein,
Woh Apne Sabista* Mein Aaram Se Sote Hein.
Is Baat Ka Rona Hai, Is Baat Ko Rote Hein,
Kashti Ke Mutahit* Hee Kashti Ko Dubote Hein.
Diwano Kee Basti Ka Andaz Nirala Hei,
Hanste Hein To Hanste Hein, Rote Hein To Rote Hein.
* Sabista – Aaramgah ( Bister)
* Mutahit – Mallah

 0 People liked it
0 Ratings

Biswas Banake Log Zindagi Me Aate Hai
Khawab Banke Aankhon Me Sama Jate Hai
Pehle To Ye Yakin Dilate Hai Ki Wo Hamare Hai
Fir Na Jane Kyun Tanha Chod Jate Hai

 1 People liked it
0 Ratings

Manzile Bhi Uski Thi Rasta Bhi Uska Tha
Ek Main Akela Tha, Kafila Bi Uska Tha
Sath-Sath Chalne Ki Soch Bi Uski Thi
Fir Raasta Badalne Ka Faisla Bhi Uska Tha

 0 People liked it
0 Ratings

Tanha Hokar Tanhai Mei Kho Jate Hai,
Jane Q Mere Kadam Majbur Ho Jate Hai,
Bhulkar Use Phir Usi Ko Yaad Karte Hai
Mere Zakham Bhi Jaise Uske Mohtaz Ho Gaye Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Akele Reh Reh Kar Hum Bi Tanhai Seh Gaye
Yeh Nazar Nazar Ki Baat Hai Koi Pyaar Paa Bathe
Koi Talash Karte Reh Gaye
Ek Nasha Yeh Pyaar Hai Yeh Jankar
Hum Sharab Pee Kar Hi Nasha Karne Lage
Dob Kar Is Nashe Mein Hum Tere Bina Hi Jeene Lage
Phir Bi Tumne Hume Itna Tarsaya Ki
Nasha Kar Kar Ke Hum Khud Sharab Hooo Gaye
Yeh Dard Dard Ki Baat Hai Koi Sahem Gaye
Koi Barbaad Hoo Gaye
Ek Zakhm Yeh Pyaar Hai Yeh Jankar
Hum Khud Per Hi Waar Kar Bathe
Lahoo Se Is Dil Per Tera Hi Naam Likh Bathe
Phir Bi Tumne Hume Itna Tadpaya Ki
Dil Ke Zakhm Liye Hum Lahoo Lohan Hoo Gaye
Kissi Bewafah Ke Pyaar Mein Dewane Hoo Kar
Hum Ashiq Ki Tarah Kurban Hoo Gay

 0 People liked it
0 Ratings

Kisane wada kiya hai aane ka
husn dekho garib khane ka
ruh ko aaina dikhate hain
dar-o-divar muskurate hain
aj ghar, ghar bana hai pahali bar
dil mein hai khush saliqagi bedar
jama saman hai aish-o-ishrat ka
khauf dil mein fareb-e-qismet ka
soz-e-qalb-e-kalim aankon mein
ashk-e-ummid-o-bim aankhon mein
chashm-bar-rah-e-shauq ke mare
chand ke intazar mein tare
Poet of the ghazal/poem or nazam : Josh Malihabadi

 0 People liked it
0 Ratings

Aye Khuda Humko Judai Na De
Hum Jee Lenge Tanha, Magar Unko Tanhai Na De
Humari Nigaho Mein Basi Hai Unki Surat
Unko Bhale Hi Hum Dikhai Na De

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Tanhai Shayari 81 - 90 of 134, Page 9 of 14 pages.