Urdu Shayari

Urdu Shayari - A large collection of Urdu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Urdu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Urdu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Urdu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Urdu Shayari

Showing Urdu Shayari 111 - 120 of 265, Page 12 of 27 pages.


Muddato baad yeh dil patthar se dil huwa hai, ise dil rahne do.
Dil mein hai jo arman use zaban se kahe lene do,
Pata nahi Zindagi ki Kab shaam Dhal Jaye Agar ajj Mile hai to Kahe lene Do!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Ghar chod ke bhi zindagi hairaniyon mein hai
shaharon ka shor dasht ke viraniyon mein hai
kitna kaha tha us se ke daman samet le
ab wo bhi mere sath pareshaniyon mein hai
laharon mein dhundhata hun main khoye huye nagin
cheharon ka aks behte huye paniyon mein hai
darta hun ye bhi waqt ke hathon se mit na jaye
halkee si jo chamak abhi peshaniyon mein hai

 0 People liked it
0 Ratings

Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
ye nazarana tera bhi hai mera bhi
apne gham ko geet banake ga lena
rag purana tera bhi hai mera bhi
tu mujhko aur main tujh ko samjahaun kya
dil divana tera bhi hai mera bhi
shahron shahron galiyon jis ka charcha hai
wo afsana tera bhi hai mera bhi
maikhane ki bat na kar waiz mujh se
aana jana tera bhi hai mera bhi

 0 People liked it
0 Ratings


Aankho me arman diya karate hai,
Ham sabki Neend Chura liya karate hai,
Ab jab jab aapki palke Zukengi,
Samaj lena ham aapko yaad kiya karate hai.
kaash wo nagme humein sunaye na hote,
aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
agar is tarah bhul jaana hi tha,
to itni gehrai se dil mein samaaye na hote..
Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai,
Nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai,
Tere bina zindagi mein kami toh nahi,
Phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Tapan suraj se hoti hai,
Tapana Zameen ko padta hai,
Mohabbat Ankho se hoti hai,
Tadpana dil ko padta hai.
Bhula kar hame wo khush reh payenge
sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge
Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
Hum to seh gaye par wo toot jayenge!
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se.
Lamha Lamha ye waqt gujar jayega
Bas khuch hi ganto baad naya saal ajayega
Isliye Abhi se naye saal ki badhai lelo
Warna Bazi koi aur mar jayega.
Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni,
Aur maine khud ko hi jala diya.
Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard me,
Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Mohabbat Mein Ruswa Hue Daar-O-Rashan Tak Aa Gaye
Intezar Tha Aaogi Dekhne Khoon-E-Tamanna-E-Dil Mera

Umeed Thi Use Dekh Ke Mil Jayegi Manzil-E-Taskiin
Manzar Pe Tabassum Bikhra Ke Jashan-E-Masarat Manake Gayee.

 0 People liked it
0 Ratings

Charag dil ke jalao ki id ka din hai
tarane jhum ke gao ki id ka din hai
gamon ko dil se bhulao ki id ka din hai
khushi se bazm sajao ki id ka din hai
huzur us ke karo ab salamti ke dua
sar-e-namaz jhukao ki id ka din hai
sabhi murad ho purihar ek savali ke
dua ko hath uthao ki id ka din hai

 0 People liked it
0 Ratings

Dil Me Bhi Wohi Hai Mere Dil Me Bhi Nahi Hai
Wo Shaks Jo Mera Bhi Hai Mera Bhi Nahi Hai
Kuch Ajeeb Hai Yeah Meri Andaz-E-Mohabbat
Panna Bhi Nahi Hai Ussay,Khona Bhi Nahi Hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Na Bhoolenge Tumhe Vaadaa-E-Diidaar Humne Kiya Tha Tumse
Meri Saans Mei Teri Khushbu Aye, Har Kisi Me Tu Nazar Aaye
Rone Pe Ikhtiyaar Nahi, Mere Dil Ko Taab Ab Kahi Nahi
Gire Aksh Mere Sailaab, Phaili Mauj-E-Shamiim Yaadon Ke Saath.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Urdu Shayari 111 - 120 of 265, Page 12 of 27 pages.