Urdu Shayari

Urdu Shayari - A large collection of Urdu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Urdu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Urdu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Urdu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Urdu Shayari

Showing Urdu Shayari 181 - 190 of 265, Page 19 of 27 pages.

کچھ بات ہی تھی ایسی کہ تھامے جگر گئے
ہم اور جاتے بزمِ عدو میں؟ مگر گئے
ارماں جو ہم نے جمع کئے تھے شباب میں
پیری میں وہ، خدا کو خبر ہے، کدھر گئے
رخسار پر ہے رنگِ حیا کا فروغ آج
بوسے کا نام میں نے لیا، وہ نکھر گئے
دنیا بس اس سے اور زیادہ نہیں ہے کچھ
کچھ روز ہیں گزارنے اور کچھ گزر گئے
حسرت کا یہ مزا ہے کہ نکلے نہیں کبھی
ارماں نہیں ہیں وہ، کہ شب آئے سحر گئے
بس ایک ذات حضرتِ شیدا کی ہے یہاں
دہلی سے رفتہ رفتہ سب اہلِ ہنر گئے
(مسیح الملک حکیم اجمل خاں شیدا)

 0 People liked it
0 Ratings

Kitna Pyaar Diya Usse Par Mila Kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat Ka Hasil-O-Hasool Kuch Bhi Nahi,
Woh Humse Khafa The To Jaan Nikal Gayi Thi Hamari,
Hum Unse Khafa Hai To Unko Malaal Kuch Bhi Nahi,
Is Kadar Dukh Diye Hai Na Jaane Kis Khata Par,
Par Hum Bhi Sabar Kar Gaye Aur Kiya Sawal Kuch Bhi Nahi,
Uski Khushi Mein Hansne Wale Khaas Hai Uske Liye,
Dukh Mein Uske Saath Hum, Hamari Misaal Kuch Bhi Nahi..!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Raushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam
dahaka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
hairat gurur-e-husn se shokhi se iztarab
dil ne bhi tere sikh liye hain chalan tamam
ALLAH re husn-e-yar ke khubi ke khud-ba-khud
ranginiyon mein dub gaya pairahan tamam
dekho to husn-e-yar ke jadu nigahiyan
behosh ik nazar mein hui anjuman tamam
Poet of The Poem or Ghazal or Nazam :Hasrat Mohani

 0 People liked it
0 Ratings

Gazab kiya, tere wade pe aitabar kiya
tamam raat qayamat ka intezar kiya
hansa hansa ke shab-e-vasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de-de ke beqarar kiya
hum aise mahv-e-nazara na the jo hosh aata
magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya
fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi
kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya
ye kis ne jalva hamare sar-e-mazar kiya
ki dil se shor utha, hae! beqarar kiya
tadap phir ae dil-e-nadan, ki gair kahate hain
aakhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiya
bhula bhula ke jataya hai unko raz-e-nihan
chipa chipa ke mohabbat ko aashakar kiya
tumhen to vada-e-didar hum se karana tha
ye kya kiya ke jahan ko ummidavar kiya
ye dil ko tab kahan hai ke ho malandesh
unhone wada kiya hum ne aitabar kiya
na puch dil ke haqiqat magar ye kahate hain
wo beqarar rahe jisne beqarar kiya
kuch aage davar-e-mahashar se hai umeed mujhe
kuch aap ne mere kahane ka aitabar kiya
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Daag Dehlvi

 0 People liked it
0 Ratings

Gamon ne gher liya hai mujhe to kya gham hai
main muskura ke jiyunga teri khushi ke liye
kabhi kabhi tu mujhe yaad kar to leti hai
sukun itna sa kafi hai zindagi ke liye
ye waqt jis ne palat kar kabhi nahi dekha
ye waqt ab bhi muradon ke phal lata hai
wo mod jis ne hamen ajanabi bana dala
us ek mod pe dil ab bhi gungunata hai
fizayen rukati hain rahon par jin se hum guzri
ghatayen aj bhi jhuk kar salam karati hain
har ek shab ye suna hai falak se kuch pariyan
wafa ka chand hamare hi naam karati hain
ye mat kaho ki muhabbat se kuch nahi paya
ye mere geet mere zakhm-e-dil ke rulai
jinhen tarasati rahi anjuman ke rangini
mujh mili hai muqaddar se aisi tanhai
Poet of the poem or ghazal or Nazam:A  Sardar Anjum

 0 People liked it
0 Ratings

Aziz itna hi rakho ke jee sanbhal jaye
ab is qadar bhi na chaho ke dam nikal jaye
mile hain yun to bahut aao ab milen yun bhi
ke ruh garmi-e-anfas se pighal jaye
muhabbaton mein ajab hai dilon ko dhadaka sa
ke jane kon kahan rasta badal jaye
rahe wo dil jo tamanna-e-taza tar mein rahe
khusha wo umr jo khvabon hi mein bahal jaye
main wo charag-e-sar-e-rahaguzar-e-duniya hun
jo apani zat ke tanhaiyon mein jal jaye
har ek lahaja yahi aarazu yahi hasrat
jo aag dil mein hai wo sher mein bhi dhal jaye
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Obaidullah Aleem

 0 People liked it
0 Ratings

Sakii Dum Se Tere Chalte Rahe Maikhane,
Mere Pine Se Toote Rahe Paimane-Paimane,
Tere Naaam Se Chalti Dil-E-Dhadkane Meri,
Taufiiq-E-Nazar Sharab Mein Surat Hai Teri…

 0 People liked it
0 Ratings

Jise Peene Ka Salika Na Tha
Usse Jaam Diya Gaya Hai
Jise Wafaa Se Fursat Na Mili
‘Masroor’ Usse Zeher Diya Gaya Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Urdu Shayari 181 - 190 of 265, Page 19 of 27 pages.