Urdu Shayari

Urdu Shayari - A large collection of Urdu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Urdu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Urdu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Urdu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Urdu Shayari

Showing Urdu Shayari 11 - 20 of 265, Page 2 of 27 pages.

Taarif-E-Maashooq

Khil Ti Kali Ki Tarah Hai Muskaan Uski
Udti Titli Ki Tarah Hai Chaal Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

Behti Jheel Ki Tarah Aankhein Uski
Jhool Ti Shaqaon Ki Tarah Hai Baahein Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

Ajab Si Sheereeni Hai Baatoan Me Uski
Ghazab Si Mehek Hai Saansoan Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

Machal Utha Hai Dil Jab Se Dekhi Hai Tasveer Uski
Mehek Utha Hai Gulshan Khushboo Se Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

Khil Uthi Hai Tabassum Ruksaroan Pe Uski
Mil Gayi Hai Taqdeer Gulzaroan Se Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

Jal Uthi Hai Shama Roshni Se Uski
Khatm Hui Hai Tanhaai Mehfil Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

Dil Me Basata Main Tasveer Uski
Ban Gaya Hun Khud Taqdeer Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

Milti Nahi Fursath Yaadon Se Uski
Rehta Hoon Masroof Baaton Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

Khud Ko Khone Laga Hoon Baatoan Me Uski
Lut Ne Laga Hoon Chahon Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

Khatm Hua Dard-E-Dil Dekh Ke Soorat Uski
Sang-E-Marmar Ki Tarah Hai Moorat Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

 0 People liked it
0 Ratings

Kyon hijr ke shikave karta hai kyon dard ke rone rota hai
ab ishq kiya hai to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota hai
aagaz-e-musibat hota hai apne hi dil ke shararat se
aankhon mein phul khilata hai talavon mein kanten bota hai
ahabab ka shikwa kya kijiye khud zahir va batin ek nahi
lab upar upar hanste hain dil andar andar rota hai
mALLAHon ko ilzam na do tum sahil wale kya janon
ye tufan kon uthta hai ye kishti kon dubota hai
kya jane kya ye khoyega kya jane kya ye payega
mandir ka pujari jagata hai masjid ka namazi sota hai

 0 People liked it
0 Ratings

Ek muddat hui ek zamana hua
khak-e-gulashan mein jab aashiyana hua
zulf-e-baraham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujremana hua
phul jalate rahe chand hanste raha
aarzoo ka muqammal fasana hua
daag dil ki shahanshah ki sikke bane
dil ka muflis-kada jab khazana hua
rahbar ne palat kar na dekha kabhi
rahr-o-raste ka nishana hua
hum jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aasatana hua
dekh mizarab se khoon tapakane laga
saz ka tar marg-e-tarana hua
pahale hoti thi koi vafa-paravari
ab to “sagar” ye qissa purana hua

 0 People liked it
1 Ratings


Teri saanson ki thakaan, teri nigahon ka sukoot
Dar haqeeqat koi rangeen shararat hi na ho
Main jissay pyar ka andaz samajh baitha hoon
Woh tabbasum, woh takkallum teri aadat hi na ho..!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Kya sarokar ab kisi se mujhe
vasta tha to tha tujhi se mujhe
behisi ka bhi ab nahi ehasas
kya hua teri berukhi se mujhe
maut ke aarzoo bhi kar dekhun
kya ummiden thi zindagi se mujhe
phir kisi par na aitabar aaye
yun utaro na apne jee se mujhe
tera gham bhi na ho to kya jina
kuch tasalli hai dard hi se mujhe
kar gaye kis qadar tabah ‘zia'
dushman, andaz-e-dosti se mujhe

 0 People liked it
0 Ratings

Yun Chalte Chalte Thodi Zindagi Se Toh Mil
Na Mile Manzil Kinaare Se Toh Mil

Dard Dil Ka Yun Roz Ubharta Hai
Na Mile Woh “Masroor” Dariye Se Toh Mil

Aasu Peene Ka Zikr Toh Woh Roz Karta Hai
Na Peeh Sake Usse Zaraa Maikhane Se Toh Mil

Hazaaro Jism Ka Hua Tha Sauda
Na Mile Chandni Mere Chand Se Toh Mil

Be Kasur Tha Phir Bhi Bewafaa Thehra Diya
Ab Kaha Wafaa Zaraa Bewafaai Se Toh Mil

Sharto Ki Duniya Se Thak Chuka Tha Main
Ab Kya Milti Zindagi Meri Kabr Se Toh Mil

 1 People liked it
0 Ratings

(Koi Tha)
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha,
Meri Baton Pe Marta Tha,
Na Janay Shakhs Tha Kesa?
Mujhy Khony Se Darta Tha,
Wo Jab B Bat Karta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha,
Suno.
Agar Me Bhol Jaon To
Agar Me Roth Jaon To
Kabhi Wapis Na Aon To
Bhula Pao Gay Sab Kuch Kia,
Yohi Hanste Raho Gay Kia?
Yohi Sajte Raho Gay Kia?
Yehi Baten Thi Bus Uski,
Yehi Yaden Thin Bus Uski
Muje Malom Hay Bus Itna
“Yaar ”
Muje Wo Piyar Karta Tha!
Muje Khony Se Drta Tha.

 1 People liked it
0 Ratings

Muddat Sey Chaha Hey Tumhain, Zakhm-E-Tamanna Dil-E-Nishat
Daagh-E-Firaaq Dil-E-Nadaan Kismat Se Churaya Hai Aitbaar
Nazzaara-E-Jamaal Muzda-E-Wisaal Lafzon Ke Fasaane Bar_Bar
Tu Zehr De Na Jam-E-Sharab Mujeh_De Ijaazat-E-Tasleem-E-Yaar

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Urdu Shayari 11 - 20 of 265, Page 2 of 27 pages.