Urdu Shayari

Urdu Shayari - A large collection of Urdu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Urdu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Urdu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Urdu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Urdu Shayari

Showing Urdu Shayari 241 - 250 of 265, Page 25 of 27 pages.

Ganv mit jayega shahar jal jayega
zindagi tera chehara badal jayega
kuch likho marsiya masanavi ya gazal
koi kagaz ho pani mein gal jayega
ab usi din likhunga dukhon ki gazal
jab mera hath lohe mein dhal jayega
main agar muskura kar unhen dekh lun
qatilon ka irada badal jayega
aj suraj ka rukh hamari taraf
ye badan mom ka hai pighal jayega
Author of the poem or ghazal or Nazam: Bashir Badr

 0 People liked it
0 Ratings

Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale
mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ……..
Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par
tumse acche hain mere haal pe hansne vaale…
Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon
aur honge tere baazaar mein bikne vaale ……
Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo
phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale …Saeed rahi

 0 People liked it
0 Ratings

Firaq se bhi gaye hum visal se bhi gaye
subuk huye hain to aish-e-malal se bhi gaye
jo but-kade mein the wo sahiban-e-kashf-o-kamal
haram mein aaye tp kashf-o-kamal se bhi gaye
usi nigah ki narmi se dag-maga gaye qadam
usi nigah ki tevar sambhal se bhi gaye
gam-e-hayat-o-gam-e-dost ki kashakash mein
hum aise log to ranj-o-malal se bhi gaye
wo log jin se teri bazm mein the hangame
gaye to kya teri bazm-e-khayal se bhi gaye
hum aise kon the lekin qafas ki ye duniya
ki par-shikaston mein apni misal se bhi gaye
charag-e-bazm abhi jan-e-anjuman na bujha
ki ye bujha to tere khad-o-khal se bhi gaye
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Aziz Hamid Madni

 0 People liked it
0 Ratings

Choti si galatfahami kar degi juda hum ko
halat na badalenge malum na tha hum ko
rishton ke hamen itani pahachan na thi pahale
kahane ko marasim to apne the bahut gehare
ashkon ke siva lekin kuch bhi na mila hum ko
uthate hue qadamon mein zanjir si pad jati
ehasas-e-nidamat se dahaliz par gad jati
ik bar muhabbat se dete jo sada hum ko

 0 People liked it
0 Ratings

Garmi-e-shauq-e-nazzara ka asar to dekho
gul khile jate hain wo saya-e-dar to dekho
aise nadan to na the jan se guzaranevale
nasiho, rahabar-o-rahaguzar to dekho
wo to wo hain tumhen ho jayegi ulfat mujhase
ek nazar tum mera mahabub-e-nazar to dekho
wo jo ab chak gareban bhi nahi karte hain
dekhanevalo kabhi un ka jigar to dekho
daman-e-dard ko gulazar bana rakha hai
aao ek din dil-e-purakhun ka hunar to dekho
subah ke tarah jhamakata hai shab-e-gam ka ufaq
“faiz” tabindagi-e-dida-e-tar to dekho
 
Poet of the poem or ghazal or Nazam:Faiz Ahmed Faiz

 0 People liked it
0 Ratings


Meri Har Ek Ada Mein Chhupi Thi Meri Tamanna,
Tum ne Mehsoos Na Ki Ye Aur Baat Hai,
Maine Har Dam Tere Hi Khwab Dekhe,
Mujhe Tabeer Na Mili Ye Aur Baat Hai,
Maine Jab Bhi Tujh se Baat Karna Chahi,
Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai,
Main Meri Tamanna Ke Samundar Mein Door Tak Nikli,
Mujhe Saahil Na Mila Ye Aur Baat Hai,
Qudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri Tamanna Mein,
Teri Qismat Mein Main Na Thi Ye Aur Baat Hai.
-Farzana Khalid

 0 People liked it
0 Ratings

Na mahfile azib hai na manzar azib hai
usne nigaho se jo chalaya wo khanjar azib hai,
na dubne deta h na nikalne
uski nigaho ka ye samandar azib hai.
To tamanna
from vikas

 0 People liked it
0 Ratings

Gile fuzul the ahad-e-vafa ke hote hue
so chup raha sitam-e-narava ke hote hue
ye qurbaton mein ajab fasale pade ki mujhe
hai aashna ke talab aashna ke hote hue
wo hilagar hain jo majaburiyan shumar karen
chirag hum ne jalayen hawa ke hote huye
na kar kisi pe bharosa ke kashtiyan dubin
khuda ke hote huye nakhuda ke hote huye
kise khabar hai ki kasa-ba-dast phirate hain
bahut se log saron par huma ke hote hue
‘faraz' aise bhi lamhen kabhi kabhi aaye
ki dil girifta raha dilruba ke hote hue
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Ahmed Faraz

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Urdu Shayari 241 - 250 of 265, Page 25 of 27 pages.