Urdu Shayari

Urdu Shayari - A large collection of Urdu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Urdu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Urdu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Urdu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Urdu Shayari

Showing Urdu Shayari 251 - 260 of 265, Page 26 of 27 pages.

Gham-e-hayat ka jhagra mita raha hai koi
Chaley aao ke dunia sey ja raha hai koi
ajal se keh do k ruk jaye do ghari
suna hai aney ka wada nibah raha hai koi
wo is naaz se bethey hain lash ke pass
jaise rothey ko mina raha hai koi
palat ker na aa jaye saans nabzon main,
itne haseen hathon se miyyat saja raha hai koi

 0 People liked it
0 Ratings


Hum kho gay to rahon me dhunda karo gay tum,
Har aik ko rok rok key pucha karo gay tum,
Hum kehtey they hum se bharhuo na dosti,
Tanhai me beth kar phir roya karo gay tum.
Tere hontoon pe saj jaon dua honay ko ge chahta hai,
mera duniya bhula kar bas tera honay ko ge chahta hai,
yun sab ke samne ithkheliyan karti hai ye tujh se,
ke beiraada he hawa honay ko ge chahta hai.
KABHI YAAD AYE TO AIK BAR KEHNA
KABHI AANSU BANKE IN AKHON SE BEHNA
DOST NAHI SAHI TO AJNABEE HI REHENA
PAR KABHI ALWIDA NA KEHNA.
Bikhri howi zulfoon ko apni pehchan bana lo,
rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo,
kaagaz pe lakeerain to boht kheench li tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo.
Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye,
Kisi se pyar na kar Khuda ke liye.
Jab lagegi ishq ki adalat ek din,
Tum hi chuney jaoge saza ke liye.
Samandar main utarta hon to ankhain bheeg jati hain,
Tery ankhoon ko partha hon to ankhain bheeg jati hain,
Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gai jab say,
Koi bhi lafz likhta hon to ankhain bheeg jati hain.
Is ki ankhoon main mohabat ka sitara hoga,
Aik din aaye ga woh shakhs hamara hoga,
Tum jahan meray liye sippian chunty hoge,
Wo kisi or hi dunya ka kinara hoga.
Mera dil ka dard kisne dekha hai, mujhe
bas khuda ne tadpte dekha hai,
hum tanhai main baithe rote hain,
logon ne hamain mehfil me hanste dekha hai..!
Dil k rishtey bhi kitney ajeeb hotey hain,
Door reh ker bhi kitney qareeb hotey hain,
jo log aapko roz dekhtey hain,
woh log kitney khush naseeb hotey hain.
Mila woh bhi nahi kertey,
Mila ham bhi nahi kertey.
Wafa woh bhi nahi kertey,
Jafa ham bhi nahi kertey.
Unhain ruswai ka dukh hai,
Hamain tanhai ka gham hai.
Gila woh bhi nahi kertey,
Gila ham bhi nahi kertey.
Kisi moar per takrao ho jata hai aksar,
Ruka woh bhi nahi kertey,
Ruka ham bhi nahi kertey.

 0 People liked it
0 Ratings

Chhu Ke Tere Komal Honth
Maine Shabnam-E-Jam Peeya
Sanson Mein Mahekti Rahi
Zakhm-E-Dil-E-Chingari Dahekti Rahi.

 0 People liked it
0 Ratings

Giri Dhankan-E-Dil Se Meri,
Masl Gai Tere Pairo.n Tale.
Sukhe Patte Ki Aahat Mein,
Tark-E-Mohabbat Fasurdaa Hue.
Dekhi Teri Ankhon Mein,
Gairon Ki Parchayee “Sheikh”.
Kya Muntazir-E-Maraasim,
Tajdiid-E-Wafa Ab Aur Nahi… Aadaab

 0 People liked it
0 Ratings

Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile
Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main Mile
Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main Mile

 0 People liked it
0 Ratings

Jhuka Le Nigaahein Us Mein Aitraaz Kya Hai
Kuch Guftagu Bhi Kar Le Yaha Woh Bewafa Kaha Hai
Tha Woh Zamaana Ke Woh Waqt Bhi Ajeeb Tha
Pilaa De Saaqi Dariye Bhar Mujhe
“Masroor” Ab Woh Kaatil E Shaks Kaha Hai.

***
Dard Ka Musafir Tu Kya-Kya Kahega
Zikr Kar ‘Masroor’ Ka Woh Usse Sharaab Se Bayaan Karega.

 0 People liked it
0 Ratings

Avval-e-shab wo bazm ke raunaq shama bhi thi paravana bhi
rat ke aakhir hote hote khatm tha ye afasana bhi
qaid ko tod ke nikala jab main uthake bagule sath hue
dasht-e-adam tak jangal jangal bhag chala virana bhi
hath se kis ne sagar pataka mausam ke bekaifi par
itna barasa toot ke badal dub chala maikhana bhi
khoon hi ke shirkat wo kyon na ho shirkat cheez hai jhagade ke
apanon se wo dekh raha hun jo na kare begana bhi
ek lagi ke do hain asar aur donon hasb-e-maratib hain
lau jo lagaye shamma khadi hai raqs mein hai paravana bhi
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Arzoo Lucknowi

 0 People liked it
0 Ratings

Rah-e-ashiqi ke mare rah-e-am tak na pahunche
kabhi subah tak na pahunche kabhi sham tak na pahunche
mujhe mast agar bana de ye nigah-e-mast teri
mera hath kya nazar bhi kabhi jam tak na pahunche
mujhe apni bekasi ka nahi gham khayal ye hai
kaheen baat badhate badhate tere naam tak na pahunche
jo ye daur bevafa hai tera gham to mustaqil ho
wo hayat-e-ashiqi kya jo davam tak na pahunche
ye anokhi barhami hai ke na bhule se labon par
basabil-e-tazaqira bhi mere naam tak na pahunche
kaheen is tarah bhi ruthe na kisi se koi ‘yahya'
ke payam tak na aaye ke salam tak na pahunche
Poet of The Poem or Ghazal or Nazam is Yahya Jasdanwalla

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Urdu Shayari 251 - 260 of 265, Page 26 of 27 pages.