Urdu Shayari

Urdu Shayari - A large collection of Urdu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Urdu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Urdu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Urdu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Urdu Shayari

Showing Urdu Shayari 261 - 270 of 265, Page 27 of 27 pages.

Gair lain mahafil mein bose jam ki
hum rahen yun tashnalab paigam ki
khastagi ka tum se kya shikwa ki ye
hathakande hain charkh-e-nili fam ki
khat likhenge garche matalab kuch na ho
hum to aashiq hain tumhare naam ki
raat pi zam-zam pe may aur subh-dam
dhoe dhabbe jama-e-eharam ki
dil ko aankhon ne phansaya kya magar
ye bhi halqe hain tumhare dam ki
shah ki hai gusl-e-sehat ki khabar
dekhiye din kab phiren hammam ki
ishq ne ‘ghalib' nikamma kar diya
varna hum bhi aadmi the kam ki
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Mirza Ghalib

 0 People liked it
0 Ratings


Jab pehli baar mile the hum
Mein tab se tumhe chahta  hoon
Fursat ke harr lamhe mein
Tumhe apne saath pata hoon
Tumhari yaadein jo aati hain
Mein saath unke lehraata hoon
Kaise kahoon mein tumse
Kitna tumhe chahta hoon.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ki mere beqarari mujhse kuchch puchcho nahi
Shab ki meri aah-o-zaari mujhse kuchh puchho nahi
Baar-e-Gham se mujhpe roz-e-hijr mein ik ik ghadi
Kya kahun hai kaisi bhaari mujhse kuchh puchcho nahi
Meri surat hi se bas maaloom kar lo ham-damon
Tum haqiqat meri saari mujhse kuchh puchho nahi
Shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
Maine ki akhtar-shumari mujhse kuchh puchho nahi
Ham-damon jo haal hai mera karunga gar bayaan
Hogi unki sharm-sari mujhse kuchch puchcho nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Wafa ke shish mahal mein saja liya main ne
wo ek dil jise pathar bana liya main ne
ye soch kar ki na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne
kabhi na khatm kiya main ne roshani ka muhaz
agar chirag bujha, dil jala liya main ne
kamal ye hai ki jo dushman pe chalana tha
wo tir apne kaleje pe kha liya main ne
‘qateel' jisaki adavat mein ek pyar bhi tha
us aadmi ko gale se laga liya main ne

 0 People liked it
0 Ratings


Honton pe hansi, ankhon main khushi
Gham ka khanin nam nahu,
ye “Diwali” laye app ki zindagi main itni khusiyan,
Jiski Khabhi sham na hu.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Showing Urdu Shayari 261 - 270 of 265, Page 27 of 27 pages.